Jhoot Chahay Kisi Se Bhi Bola Jaye Nuqsan Deh Hota Hay Lekin Sab Se Khatarnak Jhoot Wo Hotay Hain Jo Insan Khud Se Bolta Hay. Dusray Tou Kabhi Na Kabhi Jhoot Aur Such Ka Farq Pehchan Letay Hain Magar Insan Khud Se Bolay Wanay Jhoot Ko Hamesha Such Samajhta Rehta Hay. Is Tarah Aadmi Apnay Rastay Main Khud Baroodi Surangen Bachata Hay Jo Kamyabi Ki Manzal Ki Taraf Us Ke Safar Ko Rok Deti Hain.

Khud se Bolay Janay Walay 7 Khatarnak Tareen Jhoot

1- Log Mujh Per Hansen Ge

Ye Aik Aisa Jhoot Hay Jis Ke Jaal Se Nikalna Bohat Hi Mushkil Hota Hay. Is Raaz Ko Ya Tou Aksar Log Janna Nahi Chahtay Ya Us Watq Jantay Hain Jab Bohat Der Ho Gai Hoti Hay.

Such Ye Hay Ke Kisi Ko Is Ki Fikar Nahi Hoti, Kisi Ko Yaad Nahi Rehta.

Jab Aap Ye Raaz Jaan Jatay Hain Ke Aap Ki Nakami Se Kisi Ko Koi Khas Farq Nahi Parta Tou Khud Ko Halka Phulka Aur Qaid Se Azad Mehsus Kartay Hain. Ho Sakta Hay Kuch Log Aap Ki Ghalation Aur Nakamiyon Ko Notice Karen, Lekin Un Ko Yaad Rakhnay Walon Ki Tadad Ungliyon Per Gini Ja Sakti Hay.

Un Logon Ke Liye Aap Ye Yaad Rakhen Ke Agar Wo Aap Ki Taraf Ungli Uthatay Hain Tou Baqi 3 Ungliyon Ka Rukh Un Ki Taraf Hota Hay. Aisay Logon Ke Liye Aap Ki Khamoshi Sab Se Bara Jawab Hoti Hay.

Is Ke Wlawa Agar Aap Kisi Kaam Main Nakam Ho Jayen Tou Foran Kuch Aur Karna Shuru Kar Den Takay Aisay Logon Ko Notice Karnay Ka Moqa Hi Na Milay.

2. Mujh Se Ye Kaam Theek Se Nahi Hoga

Theek Se Se Kiya Matlab Hota Hay? Kiya Kisi Aur Ke Standards Se Theek Se Nahi Ho Ga? Kiya Bohat Zyada Paisa Kamanay Ke Liye Theek Se Nahi Ho Ga? Ya Aap Ke Zindagi Bhar Ka Profession Bannay Ke Liye Theek Se Nahi Ho Ga?

In Main Se Kisi Bhi Baat Ki Haqeeqat Main Koi Ahmiat Nahi Hay. Aap Jo Bhi Kaam Kartay Hain Us Ke 2 Result Nikaltay Hain.

  • Ya Aap Ko Kamyabi Milti Hay, Ya
  •  Ya Aap Us Se Koi Aisi Baat Seekhtay Hain Jo Baad Main Kaam Aati Hay.

Tou Koi Bhi Natija Niklay Wo Aap Ki Jeet Hay.

3. Ab Bohat Der Ho Chuki Hay/ Meri Umar Nahi Rahi

Aik Khatoon Shadi Ki Wajah Se Doctor Bannay Ka Khwab Pura Nahi Kar Sakeen. Intermediate Ke Baad Taleem Ka Silsila Ruk Gaya. Bachay Kuch Baray Huye Tou Unhon Ne MBBS Karnay Ka Faisla Kiya. Unhon Ne Hisab Lagaya Ke MBBS Aur Us Ke Baad House Job Kar Ke Doctor Bannay Tak Un Ki Umar 50 Saal Ho Chuki Hogi. Wo Mayus Ho Kar Apna Irada Tark Karnay Lageen. Un Ke Shauhar Ne Kaha Ke Agar Tum MBBS Nahi Karo Gi Tou Kitnay Saal Ki Ho Jao Gi?

Agar Hum Kisi 50 Saal Ki Umar Walay Ke Lehaz Se Sochain Tou Us Ki Har Guzishta Umar Present Ki Nisbat Young Hi Hoti Hay.

Is Liye Apnay Kisi Khwab Ko Pura Karnay Ke Liye Koi Bhi Umar Zyada Nahi Hoti.

4. Ye Kaam Meray Level Ka Nahi Hay

Is Jhoot Ko Khas Tor Per Note Kar Lain. Aksar Log Sochtay Hain Ke 100 Jaga Job Ke Liye Interview Dena Aur 99 Jaga Reject Hona Un Ka Level Nahi Hay. Aakhir Koi Un Ko ‘No’ Kese Keh Sakta Hay.

Kuch Log Sochtay Hain Ke Bhari Saman Utha, Kisi Kaam Main Haath Aur Kapray Gandat Karna, Daftar Daftar Phir Kar Order Lena, Kisi Office Main Baith Kar Customers Ki Complaint Sunna Un Ke Shayan-E-Shan Nahi Hay.

Zyada Tar Halat Main Ye Khayal Parents Ki Taraf Se Bachay Ke Zehn Main Bitha Diya Jata Hay Ke Wo Bohat Smart Hay, Wo Achay School, College Jana Deserve Karta Hay Aur Usay Logon Ka Boss Hona Chahiye.

Is Jhoot Se Bhi Insan Aisay Bohat Se Kaam Karnay Se Ruk Jata Hay Jo Usay Success Tak Pohncha Saktay Hain.

5. Main Isay Afford Nahi Kar Sakta

Kuch Log Kehtay Hain Ke Wo Apne Khwab Is Liye Puray Nahi Kar Saktay Kiuke Wo Afford Nahi Kar Saktay. Kuch Cases Main Ye Such Hota Hay, Lekin Aisay Afrad Ki Tadad Bohat Kam Hoti Hay.

Zyada Tar Logon Ka Asal Problem Ye Hota Hay Ke Wo Dusri Cheezon Ke Expenses Kam Nahi Karna Chahtay.

Ho Sakta Hay Aap Ke Paas Itna Waqt Ya Paisa Na Ho Ke Aap Apna Har Khwab Pura Kar Saken, Lekin Jo Khwab Aap Ko Sab Se Zyada Azeez Ho Us Ke Liye Waqt Aur Paisa Zarur Bachayen.

Is Silsilay Main Rukawat Ye Jhoot Nahi Hota Ke Aap Ke Paas Koshish Ke Liye Waqt Aur Paisa Nahi.  Jhoota Khauf Hota Hay Ke Aap Wo Kaam Shuru Karen Aur Phir Waqt Aur Paisay Ki Kami Ho Jaye Gi.

6. Kisi Ne Pehlay Se Is Per Socha Ho Ga

Bilkul, Kuch Logon Ne Zarur Us Ideay Per Socha Hoga, Lekin Un Ko Bhi Is List Main Diye Gaye Lies Ne Apna Dream Pursuit Karnay Se Rok Liya Ho Ga.

Is Nazar Se Socha Jaye Tou Ye Jhoot Kisi Ke Liye Faidamand Bhi Hotay Hain.

Zyada Tar Log Game Se Pehlay Hi Haar Maan Letay Hain. Aap Zyada Tar Logon Main Shamil Na Hon.

7. Main Ye Pehlay Bhi Kar Chukka Hun

Waisay Tou Har Rule Main Exceptions Hoti Hain, Lekin Zyada Tar Halat Main “Main Ye Pehlay Bhi Kar Chukka Hun” Asal Main Ye Zahir Karta Hay Ke Kehnay Wala Solution Ki Talash Main Nahi Hay Bulkay Excuse Ki Talash Main Hay Takay Usay Solution Ki Talash Main Mehnat Na Karni Paray.

“Main Ye Pehlay Bhi Kar Chukka Hun” Aik Negativity Hay, Aap Positivity Ikhtiyar Karen.

  • Main Pichli Baar Ke Muqablay Main Kese Behtar Kar Sakta Hun.
  • Pichli Baar Ki Ghalati Janany Ke Liye Kisi Ki Madad Loon.
  • X Se Kaam Nahi Bana Tha, Ab Main Ne Y Seekh Liya Hay, Is Liye Mera Khayal Hay Ke Mujhe Z Try Karna Chahiye.

Tou Aap Bhi In Jhoot Ko Apnay Pairon Ki Zanjeer Na Bannay Dain. Such Ka Haath Tahmen Aur Success Ke Path Per Safar Shuru Karen. Is Safar Main Apna Confidence Barhanay Ke Kamyab Logon Ki In 5 Habits Ko Apnayen.

شیئر

جواب لکھیں