Huye Naamwar Be Nishan Kaisay Kaisay, Zameen Kha Gayi Aasmaan Kaisay Kaisay. Yeh Couplet Sirf Individuals Per Hi Nahi Companies Per Bhi Sacha Sabit Hota Hay. Baray Baray Business Jin Ka Kisi Zamanay Main Bohat Naam Aur Maqam Hota Hay Wo Band Ya Shrink Ho Kar Gumnami Ke Andheron Main Kho Jatay Hain. Kitni Ajeeb Baat Hay Ke 1955 Main Fortune 500 Ki List Main Shamil 88% Companies Ab Is List Main Nahi Raheen. Ya Tou Wo Bankrupt Ho Gayeen, Merge Ho Gayeen Ya Itni Neechay Aa Gayeen Ke Un Ko Fortune 500 Main Jagah Hi Nahi Mil Saki.

Ab Tou Companies Ki Life Expectancy Mazeed Kam Ho Chuki Hay. Aisay Main Har Business Ko Mazeed Vigilant Rehna Parta Hay Takay Woh Bdalty Huye Waqt Ke Sath Chal Sakay. Neechay Un 7 Companies Ki List Hay Jo Innovate Karnay Main Nakaam Ho Gayeen Jis Ka Result Business Failure Ki Soorat Mein Nikla.

1. BLOCKBUSTER (1985 – 2010)

Raftar Bharne Do
7 Big Business Failures 1

BLOCKBUSTER Home Movie Aur Video Game Rental Services Giant Company Thi. 2004 Main Ye Apnay Peak Per Thi Aur Dunya Bhar Main Is Ke 9,049 Stores Aur 84,300 Employees Thay. Ye Company Digital Model Ke Taraf Transition Main Nakam Rahi Aur 2010 Main Is Ne Bankruptcy Ke Liye File Kar Diya.

2000 Main Netflix Ne Apna Business Blockbuster Ko Sirf  $50 Million Dollar Main Sell Karnay Ki Offer Ki Hi.

Blockbuster Ke CEO Nay Offer Main Koi Interest Nahi Show Kiya Kyunke Un Ka Khayal Tha Ke Netflix Bohat Small Business Hay Aur Us Waqt Loss Main Hi Ja Rahi Thi.

2. POLAROID (1937 – 2001)

Raftar Bharne Do
7 Big Business Failures 2

Polaroid Camera Aik Zamany Main Bohat Maqbool Tha. Kiun Ke Is Se Tasveer Foran Nikal Aati Thi. Negative Ko Develop Karanay Ki Zarurat Nahi Parti Thi. Polaroid Ne Jald Aik Bari Market Capture Kar Li Thi Kiun Ke Us Ka Koi Competitor Nahi Tha. Magar Polaroid Digital Camera Ke Impact Ko Samjhany Aur Us Ke Mutabiq Innovation Karnay Main Fail Ho Gayi.

Original Polaroid Corporation Ne 2001 Main Khud Ko Bankrupt Declare Kar Diya Aur Is Ka Brand Aur Assets Bech Diye Gaye. May 2017 Main Brand Aur Intellectual Property Largest Hareholder Impossible Project Ne Hasil Kar Liye. Lekin Ab Bhi Ye Company Koi Numayan Business Nahi Kar Saki Hay. 

3. TOYS R US (1948 – 2017)

Raftar Bharne Do
7 Big Business Failures 3

Toys “R” Us Dunya Ke Largest Toy Store Chains Main Se Aik Thi. 2000 Main Toys "R" Us Ne Amazon Per Exclusive Toy Vendor Honay Ka 10-Year Contract Sign Kiya Tha. Amazon Ne Jab Dusray Vendors Ko Bhi Toy Sell Karnay Ki Ijazat Di Tou Toys “R” Us Ne Us Per Sue Kiya Aur 2004 Main Contract Khatam Kar Diya.

Us Waqt Toys “R” Us Ne Apni E-Commerce Site Kholnay Ki Opportunity Miss Kar Di. March 2017 Main Toys “R” Us Ne Ecommerce Business Ke Liye $100 Million Investment Se Apni Website Revamp Karnay Ka Ailan Kiya, Lekin Tab Tak Bohat Dair Ho Chuki Thi. Srptember 2017 Main Company Ne Bankruptcy File Ki Aur Is Ke Zyada Tar Store Band Ho Gaye.

4.  PAN AM (1927 – 1991)

Raftar Bharne Do
7 Big Business Failures 4

Pan American World Airways (Aka Pan Am), Kabhi United States  Ki Largest International Air Carrier Thi. Ye Company Industry Innovation Ke Liye Jani Jati Thi Jis Ne Sab Se Pehlay Computerised Reservation Systems Aur Jumbo Jets Ka Istemal Shuru Kiya.

Pan Am Ka Downfall Corporate Mismanagement, Government Ki Laparwahi Aur Flawed Regulatory Policy Ke Combination Ko Qarar Diya Jata Hay. Apnay Existing Model Main Over-Investing Aur Future Main Invest Na Karna Bhi Us Ka Aik Pehlu Tha. 1991 Main Pan Am Ne Bankruptcy File Ki.

5. COMPAQ (1982 – 2002)

Raftar Bharne Do
7 Big Business Failures 5

1980s Aur 1990 Main Compaq Puri Dunya Main Pcs Ki Largest Sellers Main Se Aik Thi. Company Ne Sab Se Pehlay IBM PC Compatible Computers Banaye Thay Aur Ye IBM Personal Computer Ko Legally Reverse Engineer Karnay Wali Sb Se Pehli Company Thi. Compaq Aakhir Main Dell Se Price War Haar Gayi Aur 2002 Main Isay HP Ne  $25 Billion Main Kharid Liya. HP Ne Lower-End Systems Ke Liye Compaq Brand Ka Use 2013 Tak Jari Rakha Baad Main Wo Bhi Khatam Kar Diya.

6. GENERAL MOTORS (1908 – 2009)

Raftar Bharne Do
7 Big Business Failures 6

GENERAL MOTORS 100 Saal Tak Most Important Car Manufactures Main Shamil Rahi Aur Dunya Ki Largest Companies Main Se Aik Thi. Magar Yehi Company History Ki Largest Bankruptcies Main Bhi Shumar Ki Jati Hay. Innovation Main Failure Aur Competition Ko Ignore Karna Company Ki Nakami Ki Bari Wajah Qarar Di Jati Hain. Company Ne Customers Ki Demand Per Dhiyan Nahi Diya Aur Nai Technology Main Invest Nahi Kiya. US  Government Ki Janib Se Major Bailout Milnay Ke Baad 2009 Main General Motors Company ("New GM") Qaaim Ki Gayi Jis Ne Old GM Ke Zyada Tar Assets Aur Brand Naam "General Motors" Kahreed Liya.

7. KODAK (1889-2012)

Raftar Bharne Do
7 Big Business Failures 7

Kisi Zamnay Main Kodak Dunya Ki Sab Se Bari Film Company Thi, Lekin Ye Bhi Waqt Ki Rafter Ke Saath Humqadam Na Reh Saki. Company Ke Paas Bohat Chance Tha Ke Wo Digital Technology Ke Lehaz Se Apne Photographic Equipment Ko Re Design Kar Le. Kodak Ne Mobile Phones Aur Dusray Digital Devices Se Pictures Lenay Ki Technology Per Billions Of Dollars Invest Kiye Magar Khud Mass Market Ke Liye Digital Cameray Nahi Banaye Kiunke Company Ko Dar Tha Ke Us Ka Film Business Khatam Ho Jaye Ga.

Kodak Ke Competitorsmaslan Japanese Firm Canon Ne Opportunity Avail Ki Aur Apnay Digital Cameron Se Market Capture Kar Li. Isi Tarah Kodak Ne 2001 Main Aik Photo Sharing Site Ofoto Acquire Ki, Magar Usko Digital Images Ke Print Ki Site Bana Diya. Agar Kodak Us Ko Sirf Digital Photo Sharing Site Ke Tor Per Tarraqi Deti Tou Wo Instagram Se Pehlay Aisa Social Platform Ban Jati.

Kodak Ne 2012 Main Bankruptcy File Ki Aur Apni Bohat Si Product Lines Khatam Karnay Ke Baaad 2013 Main  Aik Chhoti Company Ke Tor Per Re-Emerge Hui Jo Sirf Commercial Customers Per Focus Karti Hay.

شیئر

جواب لکھیں