Hum Sab Aksar Aisay Logon Se Miltay Hain Jin Main Confidence Koot Koot Kar Bhara Hua Hota Hay Aur Un Ke Har Andaz Se Jhalakta Hay. Wo Kisi Ghar Main Dakhil Hon Tou Lagta Hay Ke Wo Us Ke Malik Hain. Wo Apnay Ideas Aitimad Se Share Kartay Hain, Un Ko Rejection Ka Koi Darn Ahi Hota. Wo Naye Logon Se Milnay Aur Unhen Apnay Personal Network Main Shamil Karnay Main Khushi Mehsoos Kartay Hain. Kya Aap Ne Kabhi Socha Ke Wo Aisay Kiun Hotay Hain?

Usheroff Institute Of Leadership And Branding Consultants Ki President Roz Usheroff Kehti Hain Ke “Confidence Andar Se Aata Hay. Aisay Afrad Kisi Apology Ke Baghair Apni Asal Personality Show Kartay Hain.”

Kuch Log Naturally Confident Hotay Hain, Lekin Ye Aisi Quality Hay Jo Aap Acquire Aur Improve Bhi Kar Saktay Hain. Is Ke Liye App Ko Confident Afrad Ki In 5 H Habits Ki Practice Karni Hogi.

1. Hamesha Grow Karen

Nayi Cheezen Seekhna Aap Ke Mindset Ko Expand Karta Hay. Confident Afrad Curious Hotay Hain Aur Explore Karna Pasand Kartay Hain. Ye Kehna Hay University Of New Haven Ke Professor Angeli Gianchandani Ka. Unhon Ne Mazeed Kaha Ke “Confident People Khoob Kitaben Parhtay Hain Aur Self-Care Per Focus Kartay Hain, Is Ke Liye Wo Meditation Aur Exercise Ke Liye Waqt Nikaltay Hain Takay Apnay Brain Ko Fuel Mil Sakay. Ye Un Ke Mamool Se Hat Kar Imagination Aur Ideas Ki Power Hi Hoti Hay Jo Unhen Aam Afrad Se Mumtaz Banati Hay.

Roz Usheroff Kehti Hain Ke Confidence Building Ke Liye Musalsal Growth Zaruri Hoti Hay. Confident People Sirf Natural Talent Per Depend Nahi Kartay Balkay Nai Skills Bhi Seekhtay Rehtay Hain. Aur Nai Knowledge Aur Circumstances Ke Lehaz Se Apnay Plan Of Action Main Tabdeeli Latay Hain, Wo Failure Ko Lesson Samjhtay Hain, Consequences Ko Accept Kartay Haina Aur Apnay Experience Share Kartay Hain.

2. Courage Ka Muzahira Karen

Roz Usheroff Ke Mutabiq “Confident People Advice Lenay Se Ghabraty Nahi Hain. Agar Unhen Koi Cheez Nahi Pata Hoti Tou Unhen Ye Aitraf Karnay Main Sharmindagi Nahi Hoti. Kiun Ke Wo Isay Koi Weakness Nahi Samajhtay.

Be Fearless: Change Your Life In 28 Days. Ke Author Jonathan Alpert Kehtay Hain Ke Courage Ka Matlab Ye Hota Hay Ke Aap Perfect Honay Ka Khayal Dil Se Nikal Den. Aksar Log Bohat Se Kam Ye Soch Kar Nahi Kartay Ke Wo Usay Theek Se Nahi Kar Payen Ge. Is Liye Agar Unhen Wo Kaam Karna Paray Tou Wo Anxiety Ka Shikar Ho Kar Ya Tou Wo Kaam Nahi Kartay Ya Aisay Kartay Hain Jis Main Confidence Nahi Hota.

Is Ke Muqablay Main Confident Afrad Ko Nakami Ki Fikr Nahi Hoti.

3. Apnay Inner Critic Per Qabu Paayen

“Kabhi Kabhi Aap Ka Inner Critic Aap Ko Himmat Deta Hay Aur Kabhi Ye Aap Ko Risk Lenay Se Rokta Hay. Dickinson College Ki Senior Lecturer Aur Psychologist Michele Patterson Ford, Ph.D. Kehtay Hain Ke “Confident Afrad Ko Pata Hota Hay Ke Ye Inner Voice Kab Helpful Aur Kab Harmful Hoti Hay. Aap Ko Negative Thoughts Se Aagah Hona Parta Hay Aur Un Ko Truth Ke Bajaye Sirf Thoughts Ke Tor Per Treat Karna Aana Chahiye.

Khud Se Aur Apni Struggle Se Hamdardi Bhi Aap Ka Confidence Barhati Hay. Aik Recent Study Se Pata Chala Hay Ke Self-Compassion Aur Self-Worth Ka Gehra Taaluq Hay. Michele Patterson Kehti Hain Apni Value Janna Confident Feel Karnay Ke Liye Lazmi Hota Hay. Is Silsilay Main Self-Esteem Ke Muqablay Main Self-Compassion Zyada Helpful Hoti Hay.

4. Uncomfortable Honay Main Comfort Feel Karen

Discomfort Ya Be Arami Progress Ki Sign Hay Aur Confident Afrad Discomfort Se Dartay Nahi Hain. Angeli GianchandaniKehti Hain Ke Wo Log Jo Discomfort Ka Samna Karnay Ko Tayyar Hotay Hain Wohi Log New Challenges Aur Risks Ka Muqabla Kar Kay Nai Achievements Hasil Kartay Hain. Discomfort Self-Growth Ki Aik Form Hay Jo Fear Per Overcome Karnay Ke Liye Aap Ko Mentally Tayyar Karta Hay. Tou Uncomfortable Honay Main Comfortable Feel Karna Aap Ko What If Mindset Say Free Kar Deta Hay.

5. Apni Baat Confidence Se Kahen

Confident Afrad Ko Bolnay Main Koi Hesitation Nahi Hoti. Jonathan Alpert Kehtay Hain Ke Mutabiq “Dunya Main Jo Bhi Mashhoor Log Hain Wo Apne Ideas, Apnay Khayalat Paish Kartay Hain Aur Chance Letay Hain. Aap Jis Cheez Main Believe Kartay Hain Usay Bayan Karnay Ki Himmat Bhi Peda Karen. Agar Aap Apnay Ideas Confidence Se Share Karen Ge Tou Aap Ko Hairat Hogi Ke Kitnay Log Usay Suntay Hain Aur Us Se Impress Hotay Hain.

Jonathan Alpert Kehtay Hain Ke Hamesha Kuch Log Hotay Hain Jo Aap Ki Baton Ki Nafi Ya Us Per Shak Kartay Hain. Aisay Logon Ke Khauf Se Kabhi Apni Baat Bayan Karnay, Chance Lenay Aur Jis Cheez Per Aap Believe Kartay Hain Wo Karnay Se Na Ruken. Criticism Ka Matlab Ye Hay Ke Aap Ne Un Ko Kuch Sochnay Per Majbur Kiya. Har Confident Shaksh Jis Ne Koi Bold Step Uthaya Us Ko Resistance Ka Samna Karna Para. Is Liye Aap Focused Rahen Aur Apni Manzil Ki Taraf Barhtay Jayen.

شیئر

جواب لکھیں