Aaj Pakistan Cricket Kay Almost Her Fan Ka Dil Udas Hay. England Nay Pakistan Ko Pehlay Test Match Main Aisay Haraya Kai Youn Laga Kay Dou Char Hath Lab e Baam Reh Gaya.

Iss Match Ki Kuch Khas Khas Baaton Per Aik Nazar Daltay Hain Jo Yaadon Ka Hisa Ban Gai Hain.

Match Ka Aghaz Hotay Hi Is Ground Ki Pitch Per Tanqeed Shuru Hogai. Rawalpindi Ki Pitch Aam Toar Per Cricket Friendly Hoti Hai Mager Bowlers Ko Koi Khas Help Na Milnay Per Curator Say Laiker PCB Management Taak, Sab Ko Bharpur Batain Suna Parein.

Test Say Aik Din Pehlay Tak Yeh Clear Nahi Tha Kai Match Hoga Bhi Nahi. Waja? Iss Liye Kion Kay England Ki Adhi Say Ziada Team Bemar Thei. Match Wali Subha, England Nay Apnay 11 Players Poray Kiye Aur Youn Match Ka Aghaz Hoa.

England Nay Rawalpindi Test Match Kay Pehlae Din 500 Runs Score Kerkai Record Bana Diya. Is Kay Sath Hi England Kay 4 Batters Nay Century Bhi Score Kia, Yeh Bhi Aik World Record Tha.

Aik Aur Unique Record Jo Is Match Main Bana, Woh Yeh Tha Kay Dono Teams Nay Majmoi Toar Per 1768 Runs Score Kiye. Is Say Pehlay Kisi Team Match Main Itnay Runs Score Nahi Hoay Thay.

Pakistan Kay Debutant Leg Spinner Zahid Mahmood Nay Pehli Innings Main 235 Runs Dai Ker, Career Kay Pehlay Match Main Saab Say Ziada Runs Denay Ka Record Bhi Bana Diya.

شیئر

جواب لکھیں