Pakistan England Kay Khilaf Test Match Kiya Hara, Wohi Lame Joke Phir Shuru Hogaya Kay "Hamara National Sport Tou Hockey Hay."

Yahan Sawal Paida Hota Hay Ke Kya Hamara “Qoumi Khel” Waqai Hockey Hay? Abhi Kal Hi 4th December Tha, Aik Aisa Din Jis Ki Pakistan Hockey Ki History Main Buhat Significance Hay, Laikin Kitni Khamoshi Say Guzar Gaya Ke Kisi Ko Pata Hi Nahi Chala. Pakistan 4th December Ko Aakhri Martaba Hockey World Cup Jeeta Tha. Aur Us Kay Baad Charaghon Mein Roshni Na Rahi!

Pakistan Hockey Nay 4th December 1994 Ko Apna Urooj Dekha, Aur Yahi Din Zawal Ka Aghaz Bhi Sabit Hua. Aaj 28 Saal Baad Pakistan Ka Jeetna To Kya Hockey World Cup Khelna Bhi Aik Khwab Lagta Hay.

Aik Zamana Tha Salimullah, Kaleem Ullah Say Gaind Hasan Sardar Kay Pass Aur Hanif Khan Say Hoti Hoi Goal Main Jaati Tou Maidan Main Shour Mach Jata Tha. Waqt Guzra Aur Shehbaz Senior Kay Barq Raftar Dodges Aur Stick Work Nay Dunya Ko Apna Aashiq Banaey Rakha. Aur Yahi Shehbaz They, Jin Ki Performance Say Pakistan Apna 4th Aur Last World Cup Jeeta.

Akhri Bara Title

1994, December Ki 4 Tareekh, Commentator S. M. Naqi Nay Pakistan Kay World Champion Ban'nay Ka Ailan Kia Aur Phir World Cup Tou Kya, Pakistan Champions Trophy Ya Olympics Main Bhi Gold Medal Na Jeet Saka. Pakistan Kay National Sport Mai Jeet Routh Gai Aur Nakami Ka Ghalba Ho Gaya.

Pakistan Nay 1994 Mein Hi Champions Trophy Ka Title Bhi Apnay Naam Kiya Tha. Is Liay World Cup Main Bhi Favorite Tha. 1990 Kay Hockey World Cup Final Main Pakistan Ko Holland Nay 1-0 Say Shikast Bhi Hui Thi. Ab Sunheri Mouqa Tha Rematch Mein Us Defeat Ka Badla Laita.

Final Main Donon Teams Nay Behtareen Khel Paish Kia. Muqarara Time Tak Match Ka Score 1-1 Raha. Penalty Shootout Mein Holland Kay Star Player Floris Jan Bovelander Ka Stroke Bahar Chala Gaya. Us Kay Baad Holland Kay Players Kay Hoslay Toot Gaey.

Last Penalty Kay Liay Holland Nay Jeroen Delmee Ko Chuna. Woh Pooray Match Main Maidaan Main Nahi Thay. Delmee Ka Push Goal Keeper Mansoor Nay Apnay Seedhi Janib Dive Laga Ker Rok Lia. Pakistan 4th Time, Hockey Ka World Champion Ban Gaya.

Dilchasp Baat Yeh Kay Us Waqt Pakistan, Dunya Ka Wahid Mulk Tha Jis Kay Pass, Cricket, Squash, Snooker Aur Hockey Kay Aalmi Aizaz Thay.   

Phir Pakistan Spain Main Honay Walay 1998 Kay World Cup Main Apnay Title Ko Defend Nahi Ker Saka. Is Event Main 5th Position Kay Baad, Pakistan Hockey Ka Downfall Shuru Ho Gaya Aur Ye Silsila Aaj Tak Chal Raha Hay.

Yaadgar Maazi, Bhayanak Mustaqbil

Yahan Say Rewind Kartay Hain Aur Peechay Chaltay Hain 1948 Kay London Olympics Main. Pakistan Ka Aik Alag Mulk Ki Haisiyat Say Pehla Sport Event. Jahan Green Shirts Nay Apni Performance Say Opponents Kay Liye Khatray Ki Ghanti Baja Di. Pakistan Nay Event Main 4th Position Hasil Ki.

1956 Say 1976 Tak To Pakistan Nay Olympics Main Raj Kia. Is Duration Main Pakistan Kabhi Bhi Podium Say Neechay Nahi Utra. Kabhi Pehli Tou Kabhi Doosri Aur Aik Baar Teesri Position Bhi Hasil Ki. Pakistan Hockey Players Ka Game Urooj Per Tha Aur Kisi Bhi Tournament Main Pakistan Ki Shirkat Jeet Per Hi Khatam Hoti.

Pakistan 1984 Olympics Main 1st Aur 1992 Olympics Main 3rd Position Per Raha. Phir Kabhi Bhi Olympics Main Top Position Hasil Nahi Ker Saka.

World Cup Main Bhi 1994 Kay Baad Pakistan Kabhi Podium Per Nahi Aya. In 28 Years Main, 2014 Aur 2023 Kay World Cup Edition Main Tou Pakistan Qualify Hi Nahi Ker Saka.

Pakistan Hockey Main Ab Super Stars Nahi Hotay

Pakistan Kay Akhri Hockey Super Star Sohail Abbas Thay. Un Ko Retire Huay Aaj 10 Saal Ho Chukay Hain, Magar Un Kay Level Ka Koi Star Player Pakistan Ko Na Mil Saka.

Forward Line Main Jahan Shehbaz Senior Ka Jadu Chalta Tha, Wahan Ab Koi Qabil e Zikar Left In Nahi. Hasan Sardar, Tahir Zaman, Kamran Ashraf Ka Stick Work Ab Sirf Videos Main Hi Dekha Jasakta Hay.

Half Line Per Bhi Kai Saal Say Koi Tagrra Player Forward Line Ko Feed Kernay Kai Liye Maujoud Nahi Hota.

Hockey Main Zawal Ki Waja Kia Hay ?

Pakistan Main Hockey Kay Zawaal Ki Waja Grass Root Level Per Hockey Kay Khel Per Focus Na Hona Bhi Hay. Is Kay Ilawa, Asian Countries, Pakistan Aur India Nay Apna Natural Game Bhi Bhula Diya. Grassy Ground Say Astro Aur Synthetic Outfield Per Hockey Honay Say Rahi Sahi Kasar Puri Hogai.

Pakistan Ko Ager Apna Khoya Hua Muqam Dobara Hasil Kerna Hay Tou Modern Techniques Kay Sath At Least 150 Players Ka Pool Banana Hoga. Is Game Main Investment Kay Sath Players Ko International Exposure Dai Ker Aur Unko Financially Strong Kerkay Hum Hockey Ko Dobara Durust Simt Main La Saktay Hain.

شیئر

جواب لکھیں