Kamyabi Sirf Ability Aur Capability Say Nahi, Junoon Aur Risk Taking Say Bhi Milti Hay. Ye Baat Aik Baar Phir Sabit Ki Hay England Cricket Team Nay. Pak-England Rawalpindi Test Mein Ben Stokes Kay Aik Faislay Nay “Most Boring Test” Main England Ko One Of The “Most Memorable Victory” Dila Di.

Last Day 343 Runs Chase Kartay Huay Pakistan Achi Position Par Tha. Aadhay Runs To 3 Wickets Par Hi Ban Chukay Thay. Last Session Shuru Hua To Sirf 86 Runs Required Thay Aur 5 Wickets Bhi Baqi Theen. Azhar Ali Aur Agha Salman Ki Fifty Partnership Lagta Tha Pakistan Ko Aik Unforgettable Win Dila Day Gi. Pakistan Kay Most Pessimist Fans Ko Bhi Aik Umeed Ho Chali Thi. Laikin...

England Nay Last Day Kay Last Session Mein Sirf 9 Runs Kay Izafay Par Pakistan Ki Last 5 Wickets Lay Leen. Kahani Khatam, Aur Dil Kay Arman Aanso'on Mein Beh Gaey!

England Tour of Pakistan 2022 - 1st Test

Pakistan vs England

1-5 December 2022

Rawalpindi Cricket Stadium, Rawalpindi, Pakistan

Result: England 74 Runs Say Jeet Gaya

Raftar Bharne Do ENG1st Innings657
Harry Brook153 (116)Zahid Mehmood4-235
Zak Crawley122 (111)Naseem Shah3-140
Raftar Bharne Do PAK1st Innings579
Babar Azam136 (168)WIll Jacks6-161
Imam-ul-Haq121 (207)Jack Leach2-190
Raftar Bharne Do ENG2nd Innings264-7d
Harry Brook87 (65)Mohamad Ali2-64
Joe Root73 (69)Naseem Shah2-66
Raftar Bharne Do PAK(Target: 343)268
Saud Shakeel76 (159)James Anderson4-36
Imam-ul-Haq48 (77)Ollie Robinson4-50

Match Ka Last Session Pakistan Kay Liay Buhat Zalim Sabit Hua. Sirf 9 Runs Kay Izafay Say Last 5 Wickets Gireen Aur Match Ka Faisla Ho Gaya.

Deficit Difference Sabit Hua

England Kay First Innings Mein 657 Runs Kay Baad Pakistan Nay Babar Azam, Imam Ul Haq Aur Abdullah Shafique Ki Centuries Ki Madad Say 579 Runs Banaey Thay. Yani 78 Runs Ka Deficit, Aur Yahi Aakhir Mein Difference Bana.

"Wo" Brave Decision

England Nay Apni 2nd Innings Us Waqt Declare Ki Thi Jab Us Ka Score Sirf 264 Runs Tha. Last 3 Wickets Par Jo Runs Bantay, Wo Buhat Qeemti Hotay Laikin England Overs Zaya Nahi Karna Chahta Tha, Kyunke Usay Itnay Overs Bachanay Thay Ke Pakistan Chase Kay Liay Jaey. Agar Pakistan Ko 343 Runs Kay Target Kay Liay Kam Overs Miltay To Wo Draw Kay Liay Khelta. Ye Ben Stokes Nahi Chahtay Thay.

Aur Ye Gamble Kaam Kar Gaya! Pakistan Chase Kay Liay Gaya Aur England Kay Jaal Mein Phans Gaya. Innings Kay Shuru Mein Hi Abdullah Sahfique Aur Babar Azam Donon Out Huay, Aur Last Day 263 Runs Banana Mushkil Ho Gaya.

Pakistan Ka Last Pair Agar 5,6 Overs Aur Khel Jata To Match Draw Ho Jata, Kyunke Rawalpindi Mein Light Buhat Tezi Say Kam Ho Rahi Thi. Yani Stokes Nay Bilkul Perfect Time Par Apni 2nd Innings Declare Ki Thi. Aik Batting Wicket Par, Aisi Wicket Par Jahan 1768 Runs Banay, Wahan Par Itna Bold Decision Laina Hi Kamal Hay.

17 Saal Baad Aaey Aur...

Pak-England Rawalpindi Test Kay Is Result Par To Hum Yahi Kahain Gay: Wo 17 Saal Baad Aaey, Aur Kamal Kar Gaey!

Yaad Rahay Key England Ko Aadhi Cricket Team Is Match Say Pehlay Beemar Pari Thi, Aur Lag Raha Tha Ke Match Aik Din Late Start Hoga. Laikin Beemar Ka War Buhat Khatarnaak Sabit Hua.

Karachi Reloaded

Raftar Bharne Do
Karachi Test 2000, England Ki Yadgaar Tareen Kamyabion Mein Say Aik (Photo: Getty Images)

Is Match Mein Pak-England Karachi Test 2000 Ki Yaadein Bhi Taza Kardi Hain. Bus Farq Itna Hay Ke Tab England Chase Kartay Huay Jeeta Tha. Usay Last Day Kay Last 44 Overs Mein 176 Runs Ka Target Mila Tha. Pakistan Nay Sust Khelna Shuru Kardia Takey Sooraj Ghuroob Ho Jaey Aur Match Khatam Ho Jaey. Yahan Tak Ke Aik Ghantay Mein Sirf 9 Overs Phenkay. Laikin Us Din Koi Negative Tactic Nahi Chali Aur Determined England Nay Sunset Kay Baad Bhi Khel Jari Rakha Aur Aik Memorable Victory Hasil Ki. Ye Karachi Mein Pakistan Ki Pehli Test Shikast Thi.

Ab Kya Hoga?

Ab Pak-England Test Series Ka Next Match Juma 9 December Say Multan Main Hoga. Aur Aakhri Test 17 December Say Karachi Mein Khela Jaey Ga. In Donon Matches Mein Pakistan Ko Apni Salahiyat Say Barh Kar Kuch Dikhana Hoga, Warna England Bazi Maar Jaey Ga.

شیئر

جواب لکھیں