Pakistan Aur England Ki Historic Series Shuru Hui, Laikin Pehla Hi Din Aisa Hoga? Kisi Nay Socha Bhi Na Tha. Kahan Aik Din Pehlay England Ki Aadhi Team Beemar Pari Thi, Aur Kahan Ye Ke Usi Team Nay Maar Maar Kar Pakistan Ko Beemar Kardia Hay.
Pakistan England First Test Kay Pehlay Din England Nay 4 Wickets Par 506 Runs Bana Dalay Hain, Wo Bhi Sirf 75 Overs Mein Aur 6.74 Kay Run Rate Kay Saath. Khel Jaisay Jaisay Aagay Barhta Raha, Speed Main Aur Izafa Hota Raha. Yahan Tak Ke Din Kay Last 10 Overs Mein England Nay 96 Runs Banaey, Balkay Aakhri Overs Mein Bhi 18 Runs Loot Kar Din Ka Ikhtatam Kia. Andaza Lagaey!
England Tour of Pakistan
1st Test, ,Rawalpindi, Day 1
England Batting | 506-4 (75 ov.) | Pakistan Bowling | |
---|---|---|---|
Zak Crawley | 122 (111) | Zahid Mehmood | 160-2 (23 ov.) |
Ollie Pope | 108 (104) | Haris Rauf | 78-1 (13 ov.) |
Ben Duckett | 107 (110) | Mohammad Ali | 96-1 (17 ov.) |
Harry Brook | 101 (81) | Naseem Shah | 96-0 (15 ov.) |
England Ka Score Lunch Par 174-0 Tha, Tea Par 332-3 Aur Last Session Mein 174 Runs Kay Izafay Kay Sath Puhancha 506 Runs Tak. Is Toofani Innings Mein Zak Crawley, Ben Duckett, Ollie Pope Aur Harry Brook, Sab Nay Centuries Score Keen. Yani Runs Ki Behti Ganga Mein Sabhi Haath Dho Gaey.
Centurian!
England Ki Janib Say Zak Crawley Nay 111 Balls Par 122 Runs Banaey. Un Ki Innings Mein 21 Fours Shamil Thay. Itnay 4s Din Bhar Kisi Nay Nahi Lagaey. Phir Ben Duckett Ki 110 Balls Par 107 Runs Ki Innings Thi, Jis Mein 15 Fours Thay. Wicketkeeper Ollie Pope Nay 104 Balls Kheltay Huay 14 4s Ki Madad Say 108 Runs Score Kiay. Aur Phir Aakhir Mein Harry Brook Ki 81 Balls Par 101 Runs Ki Not Out Innings, Jis Main Unhon Nay 14 Fours Aur 2 Sixes Lagaey Hain. Aur Yaad Rakhain Abhi Ye Innings Khatam Nahi Hui, Na-Janay Kahan Tak Jaey Gi? 😬
Most Runs In First Day
506 Runs Cricket History Mein Kisi Bhi Test Match Kay Pehlay Din Ban’nay Walay Sab Say Zyada Runs Hain. Pakistan England First Test Say Pehlay Ye Record Australia Kay Paas Tha, Jis Nay 1910 Mein South Africa Kay Khilaf Sydney Test Kay Pehlay Din 494 Runs Banaey Thay. Yani England Nay 112 Saal Purana Record Torra Hay.
Australia Nay 2012 Mein South Africa Kay Against Bhi Adelaide Mein 482 Runs Banaey Thay, Aur 1934 Mein England Kay Khilaf Bhi 475 Runs, Yani England Kay Baad Australia Hi Australia Hay.
Waisay England Pehli Team Bani Hay Jis Nay Kisi Match Kay Pehlay Din Hi 500 Runs Ka Milestone Paar Kia Ho. Us Say Pehlay Koi Ye Karnaama Nahi Kar Saka Tha.
Test: Most Runs In First Day
vs. | Score | Date | |
---|---|---|---|
England | Pakistan | 506-4 | Dec 2022 |
Australia | South Africa | 494-6 | Dec 1910 |
Australia | South Africa | 482-5 | Nov 2012 |
Australia | England | 475-2 | Aug 1935 |
Most Runs In One Day
Agar Hum Pehlay Din Banaey Gaey Total Runs Dekhain To Ye Record 1936 Kay England-India Old Trafford Test Ko Haasil Hay. Jahan Match Kay Doosray Din Total 588 Runs Banay Thay.
Phir 1924 Mein England-South Africa Lord’s Test Kay Second Day Par Bhi Sirf 522 Runs Banay Thay.
2002 Mein Sri Lanka Aur Bangladesh Kay Colombo Test Mein 2nd Day Mein 509 Runs Banaey Gaey Thay.
In Kay Ilawa Kisi Din Mein 500+ Runs Ban’nay Ka Only Instance 1935 Kay England-South Africa Oval Test Mein Tha. Is Test Kay Third Day Par Donon Teams Nay 508 Runs Banaey Thay.
Test: Most Runs In One Day
Runs | Wickets | Date | ||
---|---|---|---|---|
England | India | 588 | 6 | Jul 1936 |
England | South Africa | 522 | 2 | Jun 1924 |
Sri Lanka | Bangladesh | 509 | 9 | Jul 2002 |
England | South Africa | 508 | 8 | Aug 1935 |
Pakistan | England | 506 | 4 | Dec 2022 |
Khair, Pakistan Ko Shukar Ada Karna Chahiye Ke Rawalpindi Test Ka Pehla Din 75 Overs Hi Mein Mukammal Ho Gaya. Agar 90 Overs Ka Khel Hota To Na-Janay Kya Hota?