Ye Hum Sab Jantay Hain Kay Time Aik Mehdood Resource Hay, Jisay Khatam Ho Jana Hay. Ghaur Karain Tu Waqt Hamaray Samnay Khatam Hota Ja Raha Hay, 60 Seconds Main Aik Minute, 60 Minutes Main Aik Ghanta Aur 24 Ghanton Main Aik Din. Ab Ye Aap Par Hay Ke Is Mehdood Waqt Ko Kaisay Manage Kartay Hain, Ya Ye Ahista Ahista Aap Kay Hath Say Nikal Jaey, Hamesha Kay Liye!

Time Management Kay Liye Hum Aap Kay Liye Lay Kar Aye Hain 3 Most Important Tips, Jin Ki Madad Say Aap Waqt Ka Behtareen Istaymaal Kar Kay Ziada Say Ziada Productivity Hasil Kar Saktay Hain.

Flexible Deadlines

Kabhi Bhi Khud Ko Ya Apni Team Ko Hard Deadlines Na Dain.

Hard Deadlines Baaz Auqaat Aap Ki Productivity Ko Muta’sir Karti Hay Aur Aap Ki Creativity Kam Karti Hain.

Employees Ko Bhi Apni Deadline Banany Dain Aur Un Kay sath Close Coordination Jari Rakhain. Agar Bara Project Hay Tu Usay Sub-Tasks Main Divide Kar Lain Aur Har Task Ki Aik Alag Deadline Bana Lain.

Ab Aap Ko Jo Waqt Dia Gia Hay Us Say Kuch Kam Duration Ki Deadline Banain, Takay Task Mukammal Karnay Kay Baad Aap kay Pass Review Kay Liye Bhi Munasib Waqt Maujood Ho.

Purposeful Task

Time Management Ki Important Tips

Time Management Ki Important Tips Mein 2nd Cheez Hay Purposeful Task. Baat Ye Nahe Hay Ke Aap Ziada Kaam Karain, Ziada Aham Yeh Hay Ke Aap Behtareen Kaam Karain.

Apnay Tasks Main Zaruri Aur Ghair-Zaruri Task Ki List Is Tarah Banain Ke Jo Task Aap Ki Growth Kay Liye Aham Hay, Aap Ki Company Kay Liye Zaroori Hay Us Par Focus Karain. Ghair Zaroori Kaam Aap Ki Energy Ko Muta’sir Kartay Hain.

Aik Waqt Main Aik Kaam Karain Aur Us Par Sari Energy Laga Dain. Is Say Aap Zehni Taur Par Pressure Main Nahi Aain Gay Aur Kaam Barwaqt Mukammal Karnay Main Madad Milay Gi.

Kis Waqt Kya Karna Hay?

Time Management Main 3 Sawal Aap Ki Zindagi Kay Har Morr Par Bohat Aham Hain. Aik Career Shuru Karnay Say Pehlay, New Job Start Karnay Say Pehlay, Yaa Kisi Bhi Naey Kaam Say Pehlay. Aur Wo 3 Sawal Hain Ye:

  1. Aap Ko Sab Say Ziada Kon Si Cheez Inspire Karti Hay?
  2. Aap Kis Kaam Main Sab Say Ziada Ba-Salahiyat Hain?
  3. Aap Ka Kam Dunya Kay Liye Kitna Aham Hay?

Agar Aap Ko In sawalon Kay Musbat Jawab Miltay Hain To Foran Kaam Shuru Kar Dain.

Ab Is Kaam Main Apnay Waqt Ki best Investment Karain.

Time Management Ki Important Tips

Aik Aur Buhat Zaruri Kaam Hay Apnay Tamam Important Kaamon Ka Task Chart Banana. Agar Management Priority List Bana Rahi Hay To Theek, Otherwise Khud Aisi Fehrist Bana Lain Jis Main Sab Say Aham Kaam Sab Say Pehlay Hona Chahiyen Aur Us Ki Completion Ka Mumkina Time Bhi Likhain, Aur Us Par Sakhti Say Amal Karain.

Koshish Karin Har Roz Kaam Shuru Karnay Say Pehlay Is Task Chart Ko Study Karain. Agar Is Main Tabdeeli Ki Zaroorat Hay To Change Kar Lain.

Kaam Shuru Karnay Say Pehlay Planning Bhi Buhat Aham Hay, Jis Say Aap Apna Kaam Kam Waqt Main Khatam Karnay Kay Qabil Ho Sakain Gay. Task Kay Liye Darkaar Wasail Ki Fahrist Banain Aur Is Main Shamil Tamam Afraad Say Coordination Karain Takay Aap Ka Kaam Kaheen Bhi Ruk Naa Sakay.

Har Task Mukammal Karnay Kay Baad Review Zaroor Karain. Is Say Mistakes Kam Say Kam Hon Gi Aur Creativity Barhay Gi Aur Aap Ko Good Milnay Ka Imkaan Barhnay Lagay Ga.

شیئر

جواب لکھیں