Kisi Bhi Mulk Ki Khush Hali Ka Raaz Chand Cheezon Per Hota Hay Jin Main Sab Se Numayan Wahan Ki Gross Domestic Product, Tax To GDP Ratio, Exports Shamil Hain. Agar Kisi Mulk Ki GDP Achi Ho Magar Tax To GDP Ratio Kam Ho Tou Us Mulk Ko Budget Deficit Ka Samna Ho Sakta Hay. Isi Tarah Agar Kisi Mulk Ki Imports Exports Se Zyada Hon Tou Trade Deficit Sangeen Problem Ban Jata Hay. Pakistan 75 Saal Se In Dono Masail Ka Shikar Hay. Hamari Exports Hamesha Imports Ke Muqablay Main Bohat Kam Rahi Hain. Is Liye Pakistan Shuru Se World Bank, IMF Aur Dusray Idaron Se Qarza Leta Aa Raha Hay. Aisay Main Overseas Pakistanion Ki Janib Se Bhijwai Jani Wali Remittances Pakistani Ki Economy Ko Bohat Bara Sahara Deti Hain.

Pakistani Shehrion Ke Bairun-e-Mulk Janay Ka Silsila Tou Mulk Bannay Ke Foran Baad Hi Shuru Ho Gaya Tha Lekin Us Main Tezi 1970s Main Aayi. Guzishta 10 Saal Main Tou Ye Silsila Urooj Per Pohncha Gaya Aur Ab Har Saal 6, 7 Lakh Se Zyada Pakistani Mulk Se Chalay Jatay Hain. Pakistan Bureau Of Emigration & Overseas Employment Ke Mutabiq Guzashta 51 Saal Mein Mulk Se Migrate Karne Walon Ki Tadad 1 Crore 23 Lakh Thi. In Main Se Bohat Se Afrad Chand Barson Tak Berun-E-Mulk Job Ke Baad Watan Wapas Aa Jatay Hain, Lekin Aik Bari Taadad Ab Bhi Mulk Se Bahar Hay. World Bank Ke Report Ke Mutabiq Taqreeban 65 Se 70 Lakh Pakistani Is Waqt Dusray Mulkon Main Rehtay Hain. Ye Overseas Pakistani Har Saal Bhari Raqam Pakistan Bhijwatay Hain. Jis Se Pakistan Ko Apna Trade Deficit Aur Current Account Deficit Kam Karnay Main Madad Milti Hay.

Top Foreign Remittances receivers in 2022

Dunya Bhar Ki Baat Karen Tou Foreign Remittances Main India Ka Pehla Number Hay. World Bank Ke Mutabiq 2022 Main India Ki Remittances Barh Kar Record $100 Billion Dollar Tak Pohanch Jayen Gi. India Ke Taqreeban 1 Crore 80 Lakh Afrad Dusray Mulkon Main Kaam Kartay Hain.

Foreign Remittance Ki List Main Dusray Number Per Mexico Ho. Central America Ka Is Mulk Ko Ki Foreign Remittances Is Saal  $60 Billion Rehnay Ka Imkan Hay. Mexico Ke Zyada Tar Log America Main Kaam Kartay Hain. America Ne Mexico Se Emigrants Ki Aamad Roknay Ke Liye Sarhad Paer Diwar Bhi Khari Kar Di Hay.

China Ke Shehri Bhi Dunya Ke Almost Har Mulk Main Kaam Kartay Dikhayi Detay Hain. Specially China Ke Belt And Road Initiative Ke Baad Se Is Main Izafa Hua Hay. China Ki Foreign Remittance 2022 Main $51 Billion Rehnay Ki Paishgoi Ki Gai Hay.

Philippine Asia Ke Middle Income Mulkon Main Shamil Hay. Wahan Ke Log Bhi Job Ke Liye Bahar Ke Mulkon Main Janay Per Majbur Hotay Hain. Is Saal Wo $38 Billion Dollar Apnay Mulk Ko Bhejen Ge.

Egypt Muslim Dunya Ka Aham Aur Tareekhi Mulk Hay Magar Political Instability Ki Wajas Se Wahan Bhi Rozgar Ke Masail Bohat Zyada Hain. Egypt Ko Is Saal Apnay Diaspora Se $32 Billion Millen Ge.

Pakistan Is List Main 6th Number Per Hay. Pichlay Saal Pakistan Ki Foreign Remittances $ 31 Billion Rahi Thi. Is Saal 7.4 Percent Kami Ke Saath Remittances $29 Billion Rehnay Ka Imkan Hay.

Foreign Remittance
Foreign Remittance Main Kami 1

Top Seven Mulkon Main Bangladesh Aakhri Number Per Hay.  Dusray Mulkon Main Muqeem Bangladeshi 2022 Main $21 Billion Apnay Watan Bhijwayen Ge. Kam Remittances Ke Bawajood Bangladesh Ki Economy Pakistan Se Zyada Stable Hay Kiun Ke Wahan Ki GDP Aur Exports Musalsal Barh Rahi Hay. November 2022 Main Un Ki Monthly Export Record $ 31 Billion Tak Pohnch Chuki Hain. Yani Is Fiscal Year Main $ 50 Billion Se Zyada Ki Exports Expected Hay. Ji Ske Baad Bangladesh Ka Trade Deficit Khatam Honay Ka Imkan Hay.

Dusri Taraf Pakistan Ko 45 Sy 50 Billion Dollars Ke Trade Deficit Ka Samna Hay. 29 Billion Dollars Ki Foreign Remittances Bhi Current Account Deficit Khatam Karnay Ke Liye Nakafi Hain. Yehi Wajah Hay Ke Pakistan Main Dollar Ki Shortage Sangeen Hoti Ja Rahi Hay.

شیئر

جواب لکھیں