Achay Mustaqbil Ke Liye Apni Janam Bhoomi Chhor Kar Dusri Jagah Jana Koi Naya Rivaaj Nahi Hai. Emigration Ki Tareekh Itni Purani Hai Jab Tareekh Ka Record Rakhnay Ka Rivaaj Bhi Nahi Tha. Sadiiyon Se Aisa Hota Araha Hai Ke Log Behtar Opportunities Ke Liye Village Se Shehar, Chhotay Shehar Se Baray Shehar Aur Aik Mulk Se Dosray Mulk Ka Rukh Karte Hain. Yeh Opportunities Education Ki Bhi Hosakti Hain, Behtar Job Ki Aur Behtar Law And Order Ki Bhi .

Ab Bhi Duniya Bhar Mein Log Apna Mulk Chhor Kar Dosray Mulk Hijrat Kar Jatay Hain. Khaas Tor Par Backward Aur Developing Countries Se Log Developed Countries Migrate Karte Hain.

Pakistan Se Emigration Ki History

Pakistan Ki Bad Qismati Hai Ke Yeh Mulk 75 Saal Se Developing Country Hi Hai. Developed Honay Ki Manzil Door Door Tak Nazar Nahi Aati. Log Taleem, Rozgaar, Kaarobar, Tahaffuz Ke Liye Gaon Dehaat Se Shehar, Aik Shehar Se Dosray Shehar Chalay Jatay Hain. Is Ke Ilawa Har Gaon, Qasbay, Zilay Aur Shehar Se Logon Ki Dusray Mulkon Ko Migration Bhi Hoti Rehti Hai. Dusray Mulk Jane Ka Silsila Pakistan Ke Qayam Ke Sath Hi Shuru To Hua Tha Magar Is Ki Sharah Bohat Kam Thi. Kyunkay Us Zamane Mein Passport Mushkil Se Banta Tha Aur Har Kisi Ke Paas Nahi Hota Tha. Zulfiqar Ali Bhutto Ke Daur Mein OIC Ki Dusri Summit Ke Baad Afradi Quwat Ko Khaleeji Mulk Bhejnay Ke Muahiday Huye Aur Phir Is Mein Saal Ba Saal Tezi Aati Gayi. Sirf 1981 Se 2022 Tak 41 Saal Mein 1 Crore 17 Laakh Se Ziyada Afraad Mulk Chhor Kar Ja Chukay Hain.

District Ke Lehaaz Se Baat Karen Tou Pakistan Bureau of Emigration & Overseas Employment Ke Mutabiq Guzashta 41 Saal Mein Mulk Se Migrate Karne Walon Mein Karachi Ke District Central Ka Number Pehla Hai. Wahan Se Taqreeban Saarhay 5 Laakh Afraad Beron-e-Mulk Gaye Hain. Sialkot Sawa 5 Laakh Ke Sath Dosray Number Par Hai. Lahore Se 41 Saal Mein 4 Laakh 31 Hazaar Log Dusray Mulkon Ko Gaye. Rawalpindi Se Jane Walon Ki Tadaad 4 Laakh 21 Hazaar Rahi. Lower Dir Se 4 Laakh 13 Hazaar Afraad Ne Beron-e-Mulk Hijrat Ki. Gujranwala Aur Swat Se Bhi 41 Saal Mein 4,4 Laakh Se Ziyada Afraad Mulk Chhor Kar Ja Chukay Hain. Emigration Ki Is List Mein Baluchistan Aur KP Ke Door Daraz Ke Districts Bhi Nazar Atay Hain.

Kon Si Occupation Mein Sab Se Ziyada Emigration Hui?

Pakistan Mein Aam Tor Par Yeh Tassur Paya Jata Hai Ke Mulk Se Brain Drain Ho Raha Hai. Mulk Ke Aala Dimagh Munasib Opportunities Nah Honay Ki Wajah Se Dusray Mulk Chalay Jatay Hain Aur Wahan Ki Taraqqi Ka Hissa Bantay Hain. Yeh Baat Is Lehaaz Se Bilkul Durust Hai Ke Pakistan Jaisay Developing Country Mein Pehlay Hi Highly Qualified Logon Ki Kami Hoti Hai. Kyunkay Mulk Mein Gurbat, Naaqis Educational System Ki Wajah Se Naujawanon Ki Barri Tadaad Higher Qualification Haasil Nahi Kar Pati. Maslan WHO Ke Standards Ke Lehaaz Se Pakistan Mein 4 Laakh Se Ziyada Doctor Honay Chahiyen Lekin Is Waqt Pakistan Mein Sirf Sawa 2 Lakh Registered Doctor Hain. Jabkay Pakistan Ke 25 Hazaar Se Ziyada Doctor Dusray Mulkon Ko Ja Chukay Hain. Yahi Haal Engineers, Chartered Accountants, Scientists Aur Deegar Highly Qualified Afraad Ka Hai. Mulk Ko Un Ki Shadeed Zaroorat Hai Magar Un Ki Achi Khasi Tadaad Behtar Opportunities Ke Liye Samandar Paar Ja Chuki Hai.

Occupation Ke Lehaaz Se Dekhen To Pakistan Se Emigration Mein Aksariyat Un Skilled, Semi Skilled Aur Skilled Logon Ki Hoti Hai. Un Skilled Aur Semi Skilled Mein Labour, Mason, Driver, Chokidaar, Maali Waghera Aatay Hain. Skilled Mein Electrician, Plumber, Mechanic, Technician Waghera Shaamil Hotay Hain.

1971 Se Ab Tak Ki Baat Karen Tou 50 Saal Mein Mulk Se Bahar Jane Walon Ki Tadaad 1 Crore 23 Laakh Hai. Un Mein Se 52 Laakh Se Ziyada Un Skilled, Taqreeban Saarhay 11 Laakh Semi Skilled Aur 52 Laakh Se Ziyada Skilled Afraad Shaamil Hain. 50 Saal Mein Mulk Chorney Walon Mein Highly Skilled Logon Ki Tadaad Saarhay 4 Laakh Jabkay Highly Qualified Afraad Ki Tadaad Dhai Laakh Hai.

1977 Se Emigration Mein Tezi Ka Jo Silsila Shuru Hua Tha Woh Nai Sadi Ke Aaghaz Se Urooj Par Pahonch Gaya. Pehlay Har Saal Laakh Derh Laakh Afraad Bahar Jatay Thay Lekin 2008 Se Un Ki Tadaad 4 Laakh Salana Se Ziyada Hogayi. PML N Ke Teesray Daur Mein Sab Se Ziyada Emigration Hui. 2015 Mein Emigrants Ki Tadaad 9 Laakh 64 Hazaar Se Ziyada Rahi Jo Aik Record Hai. Dusri Aham Baat Ye Hay Ke Ye Sirf Qanooni Tor Per Mulk Se Bahar Janay Walon Ke Numbers Hain. Ghair Qanooni Zarai Se Mulk Se Bahar Janay Walon Ki Tadad In Ke Elawa Hay. Aik Aur Baat Ye Bhi Hay Ke Ye Sirf Janay Walon Ka Data Hay. In Main Se Bohat Se Afrad 5, 10 Saal Ki Mulazmat ke Baad Wapas Bhi Aa Jatay Hain. Tou Estimate Lagaya Gaya Hay Ke Pakistan Ke Permanet Emigrants Ki Tadad 75 Lakh Tak Ho Sakti Hay.

Emigration Ka Pakistan Ko Faida Hota Hai Ya Nuqsaan?

Pakistan Chunkay Aik Ziyada Abadi Wala Mulk Hai. Aur Pakistan Ki 64 Percent Abadi 15 Se 35 Saal Ke Naujawanon Par Mushtamil Hai. Aik Ghareeb Aur Taraqqi Pazeer Mulk Honay Ki Wajah Se Pakistan Mein Itni Barri Tadaad Mein Naujawanon Ke Liye Taleem Aur Rozgaar Dastyab Nahi. Dusri Janib Duniya Mein Kayi Mulk Aisay Hain Jo Abadi Mein Kami Ki Wajah Se Pareshan Hain Aur Unhein Afradi Quwat Mein Kami Ka Samna Hai.

Aisay Mein Pakistan Se Be Hunar Ya Hunarmand Afraad Wahan Ja Kar Rozgaar Haasil Karte Hain Aur Apni Family Ka Sahara Bantay Hain. Yeh Emigrants Wahan Mehnat Mazduri Karkay Jo Zar-e-Mubadla Bhaijtay Hain Is Se Mulk Ki Economy Ko Bhi Supports Milti Hai. Pakistan Mein Foreign Remittance Taqreeban 30 Billion Dollars Tak Pahonch Chuki Hai. Dusri Janib Pakistan Ki Exports Bhi Taqreeban 30 Billion Dollars Hain. Jabkay Hamari Imports 80 Arab Dollars Se Ziyada Hain. Tou Agar Yeh Foreign Remittance Na Hon To Mulk Ka Trade Deficit Aur Current Account Deficit Na Qabil-e- Bardasht Ho Jata Aur Pakistan Ki Economy Bohat Pehlay Tabah Ho Chuki Hoti.

Dusri Janib Highly  Skilled Aur Highly Qualified Afraad Ke Janay Se Mulk Ko Nuqsaan Tou Hota Hai Kyunkay Agar Yeh Afraad Mulk Mein Rehtay To Mulk Ki Taraqqi Ke Liye Mufeed Saabit Ho Saktay Thay. Highly Skilled Aur High Qualified Afraad Ke Khalaa Ko Pur Karne Ke Liye Zaroori Hai Ke Mulk Mein Achi Taleem Ko Farogh Diya Jaye Taakay Ziyada Se Ziyada Naujawan Doctor, Engineer, Scientist, Programmer Waghera Bun Kar Mulk Ko Taraqqi Ki Raah Par Gamzan Kar Saken.

شیئر

جواب لکھیں