Aaj Pehli Tareekh Hay, Salary Mil Gai Hogi? Kash Salary Raise Ho Kar Milti To Kitna Acha Hota. Yahan Sawal Paida Hota Hay Ke Kya Salary Increase Mumkin Bhi Hay? Bilkul Hay, Aaen Aap Ko Batatay Hain Ke Ye 'Chamatkaar' Kaisay Mumkin Hay.

Jaab Ap Kaheen Job Shuru Kertay Hain To Pehlay Salary Decided Hoti Hay. Thori Bauhat Negotiation Kay Baad Ap Ki Current Aur Expected Kay Beech Aik Tankhwa Decide Kerli Jati Hay Jo Aap Ko Monthly Milti Hay. Laikin Sab Ki Khwahish Hoti Hay Ke Bus! Salary Thori Si Barh Jaey To Maza Aa Jaey. Phir Aik Waqt Aata Hay Salary Raise Ka. Tab Aap Apnay Boss Ya Related Authority Say Salary Increase Par Discussion Kartay Hain.

Laikin Negotiations Kay Liay Kuchh Cheezain Jan'na Zaruri Hay. Jaisa Ke:

Apni Qadar Pehchanain

Aap Jab Salary Fix Karnay Ya Barhanay Kay Marhalay Say Guzar Rahay Hon Tou Apnay Aap Say Sawal Karain Kay Aap Ki Waja Say Organisation Ko Kia Faida Hosakta Hay? Apni Success Aur Achievements Ki List Banaein. Jab Ap Feedback Session Ya Job Interview Kay Liye Jaein Tou Un Points Ko Paish Karain. Aisa Karnay Say Ap Ka Employer Aap Ki Qadar Janay Ga Aur Aap Ko Apna Point Of View Batanay Main Asani Hogi.

Industry Kay Trends Janain

Jaab Aap Salary Kay Hawalay Say Apnay Employer Say Baat Karain, Is Say Pehlay Aap Ko Industry Kay Trends Ka Pata Hona Chahiye. Aap Kay Pass Salary Range Aur Market Value Say Updates Honi Chahiyen. Industry Main Pehlay Say Moujoud Seniors Aur Recruiters Say Bhi Aap Is Silsilay Main Help Lay Saktay Hain.

Salary Kay Exact Amount Ka Ilm

Jab Bhi Aap Salary Per Baat Karnay Jaein, Aap Ko Chahiye Kay Exact Amount Per Baat Karain. Kabhi Bhi Salary Range Na Dain Balkay Aik Amount Per Focus Karain. Aisa Karnay Say Aap Kay Baray Main Yeh Impression Nahi Jaey Ga Kay Aap Kam Amount Per Agree Ho Saktay Hain Ya Aap Ki Demand Main Kuch Flexibility Bhi Hay.

Sawal Poochain

Hamesha Sawal Poochain. Aisay Sawal Jin Say Aap Ki Growth Aur Productivity Ka Link Ho. Yeh Impression Dena Zaroori Hota Hay Kay Aap Is Job Kay Liye Interested Hain Aur Chahtay Hain Kay Mutually Agreed Amount Per Salary Ki Baat Final Hojaey. Kabhi Bhi Negative Statements Say Apni Baat Shuru Na Karain Aur Apnay Remarks Aur Sawal Main Bhi Open Rahain.

Jawab Sunain

Jaab Aap High Salary Ki Demand Kartay Hain Tou Samnay Walay Ka Is Baray Main Jawab Zaroor Sunain. Jab Ap Sunain Gay Tou Ap Ko Anadaza Hoga Kay Doosri Party Ka Ap Ki Demand Kay Hawalay Say Kia Perspective Hay. Aisa Karnay Say Aap Doosri Taraf Say Anay Walay Jawab Ki Roshni Main Mutually Agreed Solution Ki Taraf Jasaktay Hain.

Inkaar Kay Liye Tayaar Rahain

Jab Aap Salary Raise Ya New Job Kay Liye “High” Salary Ki Demand Kertay Hain Tou Dosri Taraf Say “Inkaar” Kay Liye Bhi Tayaar Rehna Chahiye.

Aisay Honay Ki Surat Main, Ap Ko Tahammul Say Kaam Lena Hoga. Aap Ko Zarorat Nahi Kay Koi Dhamki Amaiz Rawaiya Ikhtiyar Karain Aur Koi Negative Remarks Pass Karain.

Ap Ko Chahiye Kay Inkar Ki Surat Main Yeh Jawab Dain Kay Aap Ki Taraf Say Di Gayi Offer Per Soch Ker Jawab Dounga.

Good Luck!

Ager Ap Apni Job Per Salary Main Raise Chahtay Hain Tou Is Kay Liye Ap Ko Apnay Boss Ya Concerned Authority Say Baat Kerna Hogi.

Aisa Na Karnay Ki Surat Main Yeh Impression Jata Hay Kay Aap Apni Current Salary Say Satisfied Hain.

Aaj Kay Is Doar Main Achi Salary Aur Job Kisi Naimat Say Kam Nahi. Is Liay Salary Raise Honay Ki Soorat Mein Jahan Shukar Ada Karna Chahiye, Waheen Khud Ko Mazeed Hard Work Kay Liay Bhi Ready Kar Laina Chahiye.

شیئر

جواب لکھیں