Kya Ye Upsets Ka World Cup Hay? Pehlay Saudi Arabia Nay Argentina Ko Haraya, Phir Japan Nay Germany Ko Shikast Di Aur Ab Morocco vs Belgium Match Mein Morocco Nay World No. 2 Ko Hara Kar Tehlka Macha Dia Hay.

Al Thumama Stadium Mein Honay Walay Is Yaadgar Match Mein Decisive Moment Aaya 73rd Minute Mein. Jab Abdelhamid Sabiri Nay Free Kick Par Tournament Ka Pehla Goal Mara. Un Ki ‘Kamaal Kick’ Belgian Goalkeeper Thibaut Courtois Ko Bhi Dhoka Day Gai Aur Seedha Net Mein Gai.

Phir Stoppage Time Mein Zakaria Aboukhlal Kay Goal Nay Lead Ko Double Kardia Aur Aakhir Mein ‘Atlas Lions’ 2-0 Say Jeetay.

Waisay Morocco Nay Aik Goal First Half Kay Aakhri Moments Mein Bhi Kia Tha. Hakim Ziyech Ki Free-Kick Opponent Kay Net Mein Chali Gai Thi. Laikin VAR Par Off-Side Qaraar Dia Gaya Aur Youn Score 0-0 Hi Raha.

Moroccan Mayhem

Match Mein Belgium Ki ‘Golden Generation’ Ki Aik Nahi Chali. Wo To Tournament Favourite Thay, FIFA Rankings Mein No. 2, Last World Cup Mein 3rd Position Lainay Walay. Laikin Belgium 36 Years Kay Baad Qualify Karnay Walay Canada Say Bhi Allah Allah Karkay Jeeta Tha Aur Aaj To Morocco Nay Usay Bandh Hi Dia Ye 28 Saal Baad Pehla Mauqa Tha Ke Belgium Kisi World Cup Ki Group Stage Mein Koi Match Haar Gaya.

28 Saal Baad

Mazay Ki Baat Ye Hay Ke Aakhri Maratba Bhi Belgium Kisi Arab Team Say Hi Haara Tha. Ye Saudi Arabia Tha Jis Nay 1994 Kay FIFA World Cup Mein Belgium Ko 1-0 Say Shikast Di Thi. Saeed Al-Owairan Kay Usi Goal Say, Jisay Aaj Bhi History Kay Best Goals Mein Say Aik Samjha Jata Hay.

Group Wide Open

Morocco Ki Is Kamyabi Nay Group F Ko Wide Open Kar Dia Hay. Morocco Pehlay Hi Croatia Kay Against Apna Match Draw Khel Chuka Hay, Aur Ab Is Kamyabi Nay Us Kay Chances Buhat Barha Diay Hain, Laikin Baqi Teams Bhi Abhi Tak Round Of 16 Ki Race Mein Zinda Hain.

FIFA World Cup 2022

Points Table Group F

MWDLPts.
Morocco21104
Belgium21013
Croatia10101
Canada10010

Arab Dunya Mein Jashan

Is Kamyabi Par Sirf Morocco Mein Hi Nahi Balkay Poori Arab World Mein Zabardast Jashan Manaya Jaa Raha Hay. Bilkul Waisa Hi Jaisa Saudi Arabia Ki Argentine Kay Against Historical Jeet Par Manaya Gaya Tha.

Waisay Chahay West Kitna Ho Rona Dhona Karlay, Media Kay Zariay Kitna Hi Propaganda Karlay, Ye World Cup Buhat Shandar Ja Ra Hay. Unexpected Results Aur Zabardast Matches Isay Aik Yaadgar World Cup Bana Rahay Hain.

شیئر

جواب لکھیں