2008 Kay Olympics Ki Mezbani China Ko Mili Thi, Aur Sath Hi Aik Zabardast Propaganda Machine Chal Parri, Jis Kay Mutabiq China Dunya Ka Bad-Tareen Mulk Hay, Human Rights Violations Karta Hay, Beijing Mein Buhat Air Pollution Hay, Yahan Tak Ke Olympics Mein Terrorist Attacks Ka Bhi Khatra Hay. Phir Ye Silsila Kabhi Ruka Nahi. Chahay Olympics Hon Ya FIFA World Cup, Dunya Kay Jis Mega Sporting Event Ki Mezbani ‘Global South’ Ko Mili, Propaganda Ka Toofan Hi Aaya.

2010 Mein FIFA World Cup Hua South Africa Mein. Pehli Baar Dunya Kay Poorest Continent Mein. Tab Bhi Dabay Dabay Lafzon Mein Kafi Batein Ki Gaeen. 2014 Mein FIFA World Cup Aur 2016 Mein Olympics Brazil Mein Huay To Ye Batein Aur Barhnay Lageen. Laikin Lava Tab Phata Jab 2018 Mein FIFA World Cup Russia Mein Hua.

Pehlay To Russia Ki Selection Par Hi Eitraz, Phir Wohi Human Rights Ki Baatein, Phir Corruption Kay Ilzam Aur Buhat Kuch. England Nay To Boycott Tak Ki Dhamki Bhi Day Di Thi.

Laikin Jis Level Ka Propaganda FIFA World Cup 2022 Kay Mezban Qatar Kay Khilaf Kia Ja Raha Hay, Us Ki Sports History Mein Koi Misaal Nahi Milti. Aap Nay Kabhi Kisi Global Sporting Event Kay Buildup Mein Aisi News Nahi Dekhi Hon Gi, Jaisi Qatar Kay Baray Mein Last Years Mein International Media Par Aa Rahi Hain. Ye Aik Organized Misinformation Campaign Lagti Hay. Aur Jaisay Jaisay FIFA World Cup 2022 Qareeb Aa Raha Hay, Is Ki Shiddat Bhi Barhti Jaa Rahi Hay.

15,000 Died For 5,760 Minutes Of Football?

Kuch Din Pehlay Germany Ki Bundesliga Kay Aik Match Mein Spectators Aik Buhat Barra Banner Lay Kar Maidan Mein Aaey Jis Par Likha Tha 5760 Minutes Ki Football Kay Liay 15000 Log Mar Diay Gaey. Sharm Aani Chahiye!

Sawal Ye Hay 15,000 Ki Figure Aai Kahan Say? Is Ka Jawab Hay: Amnesty International Ki Report Say. Laikin Ye Koi Nahi Bataey Ga Ke Ye 9 Saal Mein Qatar Mein Marnay Walay Tamam Non-Qataris Ki Figure Hay. Is Mein Natural Causes Say Marnay Walay Bhi Shamil Hain Aur Traffic Accidents Ka Shikar Honay Walay Bhi. Yani Sab Ka Ta’luq World Cup Say Nahi Hay.

Amnesty’s analysis of deaths data from multiple sources indicates that migrant worker deaths are going unexplained on a large scale. Official Qatari statistics show that over 15,021 non-Qataris – of all ages and occupations – died between 2010 and 2019, but data on cause of death is unreliable, due to the lack of investigations which Amnesty documented.

Qatar: Failure to investigate migrant worker deaths leaves families in despair

Phir Bhi 15,000 Kay Figure Ko Aisay Chalaya Ja Raha Hay, Jaisay Ye Abhi Aasman Say Utar Kar Aaya Hay.

Waisay Mazay Ki Baat Ye Hay Ke Is Figure Ko Qatar Ki Population Say Compare Karain To Ye Dunya Ki Lowest Death Rates Mein Say Aik Banti Hay.

Aik Naya Propaganda, Jo Last Kuchh Dinon Say Chal Raha Hay, Wo Ye Hay Ke Qatar To Buhat Mehnga Hay. Yahi Nahi Balkay Ye Bhi Kaha Gaya Ke Aanay Walay Fans Ko Pay Kia Ja Raha Hay Ke Wo Qatar Kay Baray Main Achi Achi Batein Karain.

FIFA Kay Former President Sepp Blatter Tak Keh Gaey Ke Qatar Ko Mezbani Dena Aik Ghalti Thi. Kya Wo Ye Jumla Kisi Doosray Mulk Kay Baray Mein Keh Saktay Thay?

Pierce Morgan Ka Karara Jawab

Sawal Paida Hota Hay Ke Kia West Ka Kaam Ab Sirf Rona Reh Gaya Hay? 22 Mein Say Half FIFA World Cup Tournaments Europe Mein Huay. Germany, Italy, France, Brazil Aur Mexico 2,2 Baar Mezbani Kar Chukay Hain. Phir Bhi Wo Chahtay Hain Ke Doosron Ko Mezbani Ka Aizaz Na Milay. Kya Koi Sports Is Tarah Ki Siyasat Ki Ijazat Day Ga?

Ye Batein Itni Barh Gai Hain Ke Ab Khud Western Experts Tang Aa Chukay Hain. Aur Wo Is Munafiqat Ka Parda Chaak Kar Rahay Hain.

Famous British Broadcaster Pierce Morgan Say Aik Podcast The News Agents Mein Jab Sawal Kia Gaya Ke Wo Qatar Jaen Gay? To Unhon Nay Kaha Ke "Mein Kyun Na Jaun? 32 Mulk World Cup Khel Rahay Hain, Un Main Say 8 Aisay Hain Jo Homosexuality Kay Against Qanoon Rakhtay Hain. Yani Har 4th Country. Agar Aap LGBT Laws Ko Bunyad Par Qatar Kay Against Baat Kar Rahay Hain, To Phir 7 Doosray Mulkon Ki Bhi Karain. Agar Aisa Kia Gaya To World Cup Hi Nahi Ho Sakay Ga."

Pierce Morgan Nay Kaha Ke Waqt Aa Gaya Hay Ke Is Moral Policing Ko Roka Jaey. Is Waqt Koi Itna Clean Nahi Ke Doosron Par Tanqeed Karay Aur Khud World Cup Ki Mezbani Lay Sakay.

“Kya UK Nay Iraq Par Illegally Attack Nahi Kia Tha? Jis Kay Baad Us Mulk Kay 20 Saal Terrorism Mein Chalay Gaey? Kya Hum Khud Itnay Paak Saaf Hain Ke World Cup Ki Mezbani Kar Sakain? Ye Khuli Munafiqat Hay.”

شیئر

جواب لکھیں