Olympics Kay Baad Dunya Ka Sub Say Barra Sporting Event Hay FIFA World Cup. Jo Bus Shuroo Honay Hi Wala Hay. History Mein Pehli Baar Middle East World Cup Ka Mezban Banay Ga. Qatar Is Event Ko Kamyab Bananay Ki Koshish To Kar Hi Raha Hay, Laikin Sath Hi Apnay Khilaf Propaganda Ko Torrnay Ki Strategies Bhi Bana Raha Hay.
Is Silsilay Mein Aik Project Hay Dunya Kay Mukhtalif Mulkon Kay Fans Ko Invite Karnay Ka, Ke Wo World Cup Dekhnay Qatar Aaen. Aur Un Say Expect Bhi Kia Ja Raha Hay Ke Wo Social Media Par Qatar Aur World Cup Kay Liay Positive Comments Karain Gay.
Is Waqt Qatar Ko Zabardast Criticism Ka Samna Hay. Kuch Tanqeed Jaiz Bhi Hay, Kuchh Na-Jaiz Bhi. Jis Ko Torrnay Kay Liay Qatar 'Fan Leaders' Ko Istamal Karnay Ki Koshish Kar Raha Hay. Laikin Kaisay? Netherlands Ka Sarkari Radio NOS Batata Hay Ke Qatar 50 Dutch Fans Ko Flights Aur Hotels Ki Payment Offer Kar Rahay Hay.
Offer Lo, Positive Raho!
Is Dawat Say Qatar World Cup Ki 'Supreme Committee' Chahti Hay Ke Ye Supporters Aik 'Code Of Conduct' Par Sign Karain. Is Code Mein Un Par Zor Dia Gaya Hay Ke Wo Tournament Kay Hawalay Say Social Media Par Positive Comments Karain. Aur Agar Koi Offensive Ya Abusive Comment Karay To Usay Committee Ko Report Karain.
Radio Nay 2 Dutch 'Fan Leaders' Say Baat Ki Hay. Jo Qatar Ka Free Tour Karnay Walay 50 Dutch Fans Mein Shamil Hain.
Qatar 2022 Ki Supreme Committee Nay Bhi Confirm Kia Hay Ke Us Nay Active 'Fan Leaders' Ko Invite Kia Hay. Jo Qatar Kay Mehman Hon Gay.
World Cup Ki Website Par Likha Hay Ke Fan Leaders Program 60 Countries Kay Taqreeban 400 Fans Aur Influencers Ka Aik Network Hay. Jo Tournament Kay Hawalay Say Apni Insight Denay, Research Karnay, Content Creation Aur Message Amplification Ka Kaam Kartay Hain. Qatar 2022 Kay Organizers Nay Ye Nahi Bataya Ke Wo In Mein Say Kitnay Fans Ko Invite Kar Chukay Hain.
Committee Nay Apnay Code Of Conduct Mein 'Fan Leaders' Say Kaha Hay Ke Wo Social Media Par World Cup Kay Haq Mein Mojood Third-party Content Ko Like Aur Reshare Karain. Waisay Ye Bhi Likha Hay Ke Wo Fans Ko Qatar Ka ‘Mouthpiece’ Nahi Banana Chahtay, Laikin Qatar, Supreme Committee Ya FIFA World Cup Ko Badnaam Karna Bhi Munasib Nahi.