FIFA World Cup Pehli Baar Middle East Main Honay Ja Raha Hay. Ye Qatar Kay Liay Aik Proud Moment Hoga, Laikin Is Ki Qeemat Buhat, Buhat Ziada Hay. Ye Hoga History Ka Sub Say Mehnga Football World Cup, Jis Par 220 Billion US Dollars Kharch Hongay. Yani 2018 Main Honay Walay Last World Cup Say Almost 20x Ziada. Laikin Itna Paisa Kyun?

Asal Main Qatar Nay World Cup Kay Liay New Stadiums Hi Nahi Banaey, Balkay Infrastructure Kay Mega Projects Bhi Complete Kiay Hain. 10 Billion Dollars To Sirf Stadiums Par Hi Lag Gaey. Phir Hotels, Metro Network Aur Airport Bhi Banaey Hain.

Qatar Main Underground Transportation Par 36 Billion Dollars Ki Lagat Rahi Hay. Hamad International Airport Par Bhi 16 Billion Dollars Ki Cost Ai. Ye Airport 2014 Main Khola Gaya Tha. World Cup Kay Dinon Main Daily Approx. 1300 Flights Yahan Land Karain Gi. Phir Aik Barra Kharcha New City Lusail Banay Par Bhi Hua Hay.

Tournament Ki Communication Executive Director Fatma Al Nuaimi Kehti Hain Ke World Cup Qatar Kay National Vision 2030 Ka Hissa Hay, Jo Mulk Ko Modern Bananay Kay Liay Government Ka Plan Hay. Ye Saray Projects World Cup Khatam Honay Kay Baad Bhi Istamal Main Rahain Gay. New Roads, Metro, Airport Aur Hotels Ye Sub Tourists Kay Kaam Aaen Gay.

Qatar Kitnay Barray Scale Par Is World Cup Ki Tayari Kar Raha Hay, Is Ka Andaza 220 Billion Dollars Kay Sath Sath Is Baat Say Bhi Hota Hay Ke Last 1 Year Main Mulk Ki Population Main 13.2 Percent Ka Izafa Ho Chuka Hay. Qatar Ki Population 1 Saal Main 3 Lakh 70 Hazar Ka Izafay Kay Sath 29.4 Lakh Tak Puhanch Gai Hay. World Cup Kay Dinon Main Approx. 15 Lakh Afraad Qatar Aamad Expected Hay.

Maazi Main Dekhain To Germany Main Honay Walay 2006 World Cup Par 4.3 Billion Dollars Kharch Huay Thay. Phir 2010 Main South Africa World Cup Par 3.6 Billion Dollars Ki Cost Aai.

2014 Main Jab Brazil Nay 15 Billion Dollars Kharch Kar Diay Thay To Buhat Hungama Hua Tha, Kyunke Ye Us Waqat Sub Say Mehnga World Cup Tha. Laikin Ab Qatar Nay Saray Records Torr Diay Hain.

شیئر

جواب لکھیں