Qatar Aur Iran To Koi Khaas Start Nahi Lay Sakay, Laikin Ab To Lag Raha Hay FIFA World Cup Mein Asia Ka Raj Hay. Saudi Arabia Kay Hathon Argentina Ki Upset Shikast Kay Baad Asia Nay Aik Aur Karnama Kardia Dikhaya Hay. Group 'E' Kay Japan Germany World Cup Match Mein Germany Ko Shikast Hui Hay, Yani ‘Parosi’ Mulkon Ki Jang Japan Kay Naam Rahi. 😉

Germany Nay Match Mein Start To Acha Lia Tha, Lead Bhi Li Aur Phir Japan Ki Goal Post German Strikers Kay Musalsal Hamlon Ki Zadd Mein Thi. Laikin Last 15 Minutes Mein Japan Match Mein Aisa Wapis Aaya Ke Lag Raha Tha Blue Shirts Mein Germany Khel Raha Hay.

Japan Kay Donon Goals Buhat Zabardast Thay, Laikin 83rd Minute Mein Honay Walay Decisive Goal Ki To Baat Hi Aur Hay. Takuma Asano Nay Apnay Half Say Aanay Walay Long Pass Ko Apnay Paun Par Roka Aur 3rd Touch Par Ball Opponent Kay Net Mein Thi. Faisla Ho Gaya! Japan 2-1 Germany. Aik Aur Tournament Favourite Nay Campaign Ka Bhayanak Start Lia.

Waisay Hum Germany Kay Baray Mein Pehlay Hi Keh Chukay Thay Ke Na Hi Us Mein Itna Dam Nazar Aata Hay Ke World Cup Kay Liay Favourite Samjhain, Aur Na Hi Itna Kamzor Hay Ke Ignore Hi Kardain.

History Badal Gai

Jis Tarah Argentina Consecutive 36 Matches Mein Unbeaten Rehnay Kay Baad World Cup Mein Aaya Aur Aatay Hi Saudi Arabia Say Haar Gaya. Waisay Hi Germany Bhi 1994 Kay Baad Pehli Baar Kisi World Cup Match Mein Lead Lainay Kay Bawujood Shikast Kha Betha. Aakhri Martaba Wo 1994 World Cup Mein Bulgaria Say Wo Tareekhi Match Haara The Jis Ka Zikar Hum FIFA World Cup Biggest Upsets Mein Kar Chukay Hain.

SA-ARG Ka Replay?

Mazay Ki Baat Ye Hay Ke Is Saudi Arabia Argentina Aur Japan Germany World Cup Match Kaafi Miltay Jultay Thay. Jis Tarah Argentina Lead Lay Kar Saudi Arabia Say Haara, Germany Kay Sath Bhi Yahi Hua. Aur Donon Nay Ye Lead First Half Mein Penalty Par Li Thi. Aur Donon Hi Is Lead Ko Bacha Nahi Sakay Aur Second Half Mein 2 Goals Kha Kar Haar Gaey.

Donon Matches Mein Jeetnay Wali Donon Teams Kay Goal Keepers Ka Kirdar Bhi Buhat Ahm Raha. Jahan Saudi Goalkeeper Mohammed Alowais Nay Shandar Khel Pesh Kia Aur Man Of The Match Bhi Rahay, Bilkul Waisay Hi Japanese Goal Keeper Shūichi Gonda Ke Khel Bhi Dekhnay Kay Laiq Tha. Jahan Shuroo Mein Hi Un Ki Ghalti Say Germany Ko Penalty Mili, Waheen 70th Minute Men Unhon Aik Naqabil-E-Yaqeen Goal Bacha Kar Talaafi Bhi Kardi.

Ab Germany Phans Gaya

Is Shikast Nay Germany Ko Hila Kar Rakh Dia Hay. Kyunke Abhi To Usay Apnay Group Ka Sab Say Mushkil Match Khelna Hay. Usi Spain Kay Khilaf Jis Nay Pehlay Muqablay Mein Costa Rica Ko 7-0 Say Haraya Hay. Yani Abhi Ishq Kay Imtehan Aur Bhi Hain!

FIFA World Cup 2022

Points Table Group E

MWDLPts.
Spain11003
Japan11003
Germany10010
Costa Rica10010
شیئر

جواب لکھیں