Aap Kay Phone Mein Buhat Say Features Hon Gay. Shandar Display, Jandar Camera, Zabardast Processor Aur Barri RAM, Laikin Battery Kharab Ho To Ye Features Chahay Kitnay Hi Achay Hon, Kisi Kaam Kay Nahi. Is Liay Buhat Zaruri Hay Ke Aap Apnay Android Phone Battery Health Check Karain.

Battery, Most Crucial Part

Battery Kisi Bhi Phone Ka Most Crucial Part Hota Hay. Is Ka Direct Asar Phone Ki Performance Aur Life Par Bhi Parta Hay, Kyunke Aik Kharab Battery Doosray Parts Ko Bhi Buri Tarah Muta’sir Kar Sakti Hay. Yahi Waja Hay Ke Battery Health Kay Baray Mein Malumat Rakhna Buhat Zaruri Hay.

Kisi Bhi Android Device Par Battery Health Check Karnay Kay Kai Tareeqay Hain. Ye Zyada Tar Devices Par To Chaltay Hain, Laikin Ho Sakta Hay Ke Kuchh Models Mein Ye Tareeqa Mukhtalif Ho.

Checking Battery Usage

Agar Android Device Ka Battery Usage Check Karna Chahtay Hain To Phone Ki Settings Say Dekh Saktay Hain. Yahan Har Phone Mein Battery Menu Lazmi Hota Hay. Us Mein Battery Usage Dekhain. Normally Ye Last 24 Hours Mein Battery Kay Istamal Kay Baray Main Batata Hay.

Laikin Ye Battery Health Nahi!

Battery Health Asal Mein Ye Hay Ke Aap Ki Battery Apni 100% Performance Day Rahi Hay Ya Nahi? Ye Ma’lumat Mukhtalif Devices Par Changed Ho Sakti Hain. Kuchh Devices To Kafi Ma’lumat Deti Hain Aur Kuch Buhat Kam.

Battery Health Check Karain, Code Say

Aik Tareeqa Jis Say Aap Phone Ki Battery Health Ka Pata Chala Saktay Hain, Wo Hay Code Say. Bus Phone Ka Dialer Kholain Aur Ye Code Likh Dalain: *#*#4636#*#*

Jaisay Hi Aap Aakhri * Likhain Gay, Aap Kay Samnay Aik Menu Khul Jaey Ga, Jis Mein Aap Battery Health Ko Select Karain. Ye Aap Ko Charge Level, Battery Ki Health Balkay Us Ka Temperature Bhi Bataey Ga.

Zyada Tar Phones Par To Ye Code Chalta Hay. Laikin Afsos Ki Baat Ye Hay Ke Kuch Companies Nay Is Option Ko Lock Kar Rakha Hay, Jaisa Ke Samsung Nay.

Samsung Ka Anokha Tareeqa

Samsung Ki Devices Par Battery Health Check Karnay Kay Liay Aap Ko Samsung Members App Istamal Karna Paray Gi. Is Mein Interactive Checks Mein Jaen Aur Battery Ko Select Karlain. Yahan Samsung Aap Ko Battery Power, Life Aur Capacity Waghaira Kay Baray Mein Bataey Ga.

Third Party Apps

Waisay Third Party App Say Bhi Battery Health Malum Kar Saktay Hain. AccuBattery Is Hawalay Say Kafi Mashoor App Hay. Phir CPU-Z Bhi Aati Hay Jo Capacity, Usage Kay Sath Sath Temperature Waghaira Bhi Batata Hain. Laikin Aik Mas’la Hay, In Apps Ka Basic Version To Free Hay, Laikin Pro Version Kay Paisay Lagtay Hain.

شیئر

جواب لکھیں