• Aik Jaali Bayaniya Bana Kar Mulk Mein Afra Tafri Ki Kefiyat Peda Ki Gayi, Army Cheif
  • Fauj Ki Qayadat Kabhi Bhi Mulk Ke Mafaad Ke Khilaaf Nahi Ja Sakti, General Qamar Bajwa
  • Koi Bairooni Saazish Ho Aur Fauj Kuch Nah Kere, Yeh Namumkin Balkay Gunah Hai, Qamar Bajwa
  • Fauj Par Tanqeed Siyasi Jamaaton Ka Haq Hai Lekin Alfaaz Ke Intikhab Mein Ahthyat Karen, Army Cheif
  • 1971 Ka Saneha Mashriqi Pakistan Fauji Nahi Siyasi Nakami Thi, Army Cheif General Qamar Bajwa

Yeh Nikaat Hain Army Cheif General Qamar Javed Bajwa Ki Us Last Speech Ke Jo Unhon Ne GHQ Mein Yaum-e-Difaa-o-Shohada Ki Taqreeb Mein Ki.

General Qamar Javed Bajwa Ka Kehna Tha Ke Mein Bator Army Cheif Aap Se Aakhri Baar Khitaab Kar Raha Hun. Mein Jald Retire Ho Raha Hun.

Army Cheif Ka Kehna Tha Ke Pak Fauj Ka Bunyadi Kaam Mulk Ki Geographical Sarhadoon Ki Hifazat Hai Lekin Pak Fauj Deegar Mhazon Par Bhi Qoum Ki Khidmat Mein Masroof Rehti Hai. Is Ke Bawajood Fauj Apne Bunyadi Kaam Aur Dehshat Gardi Ka Muqaabla Karne Se Kabhi Ghaafil Nahi Hogi.

General Qamar Javed Bajwa Ne Kaha Ke Main 1971 Ke Hawalay Se Kuch Haqayiq Durust Karna Chahta Hun. Sab Se Pehlay Saneha Mashriqi Pakistan Aik Fauji Nahi Siyasi Nakami Thi. Larnay Walay Faujion Ki Tadaad 92 Hazaar Nahi Thi Balkay Sirf 34 Hazaar Thi. Baqi Log Mukhtalif Hukoomati Mehakmon Mein Thay. Un Ka Muqaabla Dhai Laakh Bharti Fauj Aur 2 Laakh Tarbiyat Yafta Mukti Bahini Se Tha. Hamari Fauj Bahaduri Se Lari Aur Be Misaal Qurbaniyan Paish Keen.

Aindah Fauj Kisi Siyasi Muamlay Mein Mudakhlat Nahi Kere Gi, Army Chief

Pak Fauj Ke Sarbarah Ne Kaha Ke Mein Kuch Baatein Aaj Ke Siyasi Halaat Ke Mutaliq Bhi Karna Chahta Hun. Mein Kayi Barson Se Is Baat Par Ghor Kar Raha Tha Ke Duniya Mein Sab Se Ziyada Insani Huqooq Ki Pamaali Bharti Fauj Karti Hai Lekin Un Ke Awam Kam Hi Un Par Tanqeed Karte Hain. Doosri Janib Pakistani Fauj Jo Din Raat Qaum Ki Khidmat Mein Masroof Rehti Hai Aksar Tanqeed Ka Nishana Banti Hai.

Un Ka Kehna Tha Ke Mere Nazdeek Is Ki Sab Se Barri Wajah 70 Saal Se Fauj Ki Mukhtalif Sooraton Mein Siyasat Mein Mudakhlat Hai Jo Ke Ghair Aaeni Hai. Is Liye Pichlle Saal Feb Mein Fauj Ne Soch Bichaar Ke Baad Faisla Kiya Gaya Ke Aindah Fauj Kisi Siyasi Muamlay Mein Mudakhlat Nahi Kere Gi. Mein Yaqeen Dilaata Hun Ke Is Par Sakhti Se Karband Hain Aur Aindah Bhi Rahen Ge. Taham Is Aaeni Amal Ka Kher Muqaddam Karne Ke Bajaye Kayi Halqon Ne Fauj Ko Shadeed Tanqeed Ka Nishana Bana Kar Bohat Ghair Munasib Aur Ghair Shaista Zabaan Ka Istemaal Kya.

Koi Saazish Hoti Tou Fauj Khamosh Na Rehti, General Bajwa

Army Cheif Ne Kaha Ke Fauj Par Tanqeed Awam Aur Siyasi Jamaaton Ka Haq Hai Lekin Alfaaz Ke Chnao Aur Istemaal Mein Ahthyat Brtni Chahiye. Aik Jaali Bayaniya Bana Kar Mulk Mein Iztarab Ki Kefiyat Peda Ki Gayi, Aur Ab Isi Jhutay Narrative Se Raah-e-Faraar Ikhtiyar Ki Ja Rahi Hai.

Un Ka Mazeed Kehna Tha Ke Jo Log Yeh Samajte Hain Ke Fauj Aur Awam Mein Darar Daal Den Ge, Woh Bhi Hamesha Nakaam Hon Ge. Fauj Ki Qayadat Ke Paas Jawab Dainay Ke Liye Bohat Se Mawaqay Aur Wasail Thay Lekin Fauj Ne Mulk Ke Wasee Tar Mafaad Mein Hauslay Ka Muzahira Kiya Aur Koi Bhi Manfi Bayan Dainay Se Ijtinab Kya. Lekin Yeh Baat Sab Ko Zehen Mein Rakhni Chahiye Ke Sabr Ki Bhi Aik Had Hai. Mein Apne Aur Fauj Ke Khilaaf Is Na Munasib Aur Jarehana Rawaiye Ko Dar Guzar Karkay Agay Barhna Chahta Hun Kyunkay Pakistan Hum Sab Se Afzal Hai. Afraad Aur Partiyan To Aati Jati Rehti Hain Lekin Pakistan In Sha Allah Hamesha Qaim Rahay Ga.

Siyasi Jamaten Jamhuri Culture Apnayen, Army Chief

Army Cheif Ne Kaha Ke Mein Yaqeen Se Keh Sakta Hun Ke Pakistan Aaj Sangeen Muashi Mushkilaat Ka Shikaar Hai. Aur Koi Bhi Aik Party Pakistan Ko Is Muashi Bohraan Se Nahi Nikaal Sakti Jis Ke Liye Siyasi Istehkaam Lazim Hai. Ab Waqt Agaya Hai Ke Tamam Stakeholders Apni Zaati Anaa Ko Aik Taraf Rakhtay Hue Maazi Ki Ghaltion Se Seekhen Aur Agay Barheen Aur Pakistan Ko Is Bohraan Se Nikalen.

Un Ka Kehna Tha Ke Is Ke Sath Sath Hamein Jamhuriat Ki Rooh Ko Samajte Huye Adam Bardasht Ki Fiza Ko Khatam Karte Hue Pakistan Mein Sacha Jamhoori Culture Apnaana Hai. 2018 Ke Intikhabaat Mein Baaz Partiyon Ne RTS Ke Bethnay Ko Bahana Bana Kar Jeeti Hui Party Ko Selected Ka Laqab Diya. Aur 2022 Mein Aetmaad Ka Vote Khonay Ke Baad Aik Party Ne Doosri Party Ko Imported Ka Laqab Diya, Hamein Is Rawaiye Ko Radd Karna Hoga.

Unhon Ne Kaha Ke Haar Jeet Siyasat Ka Hissa Hai Aur Har Jamaat Ko Apni Fatah Aur Shikast Ko Qubool Karne Ka Hosla Peda Karna Hoga. Taakay Aglay Intikhabaat Mein Aik Imported Ya Selected Hukoomat Ke Bajaye Muntakhib Hukoomat Aaye. Jamhoriat Hosla, Bardasht Aur Awam Ke Raye Aama Ke Ehtram Ka Naam Hai. Agar Pakistan Ko Agay Barhna Hai To Hamein Adam Bardasht Aur Mein Na Manoon Ke Rawaiye Ko Tark Karna Hoga.

شیئر

جواب لکھیں