Bar-e-Sagheer Pak-o-Hind Main Darhi Aur Deen Ko Lazim o Malzoom Tassawur Kiya Jata Hay. Yani Agar Kisi Ne Darhi Rakhi Hoti Hay, Khas Tour Per Aik Mutthi Se Zyada Tou Ye Farz Kar Liya Jata Hay Ke Wo Deendar Bhi Ho Ga. Ya Usay Maulvi Samajh Liya Jata Hay. Isi Tarah Agar Koi Shakhs Islam Ki Baaten Karay Magar Chehra Safa Chat Ho Tou Khat Se Ye Taana De Diya Jata Hay Ke Darhi Tou Rakhi Nahi Aur Baray Aaye Islam Ke Thekedar.

Darhi Sunnat Hay Ya Wajib, Is Per Behes Tou Zamana-e-Qadeem Se Chali Aa Rahi Hay. Magar Zyada Tar Ulema Is Ke Wajib Honay Ki Raaye Rakhtay Hain. Albatta Jadeed Daur Ke Chand Roshan Khayal Mazhabi Scholar Darhi Ke Wajib Honay Ke Qaail Nahi. Lekin Un Ka Halqa-e-Asar Chunkay Mehdood Hay Is Liye Awam Ki Aksaryat Ab Bhi Darhi Ko Kisi Mazhabi Shaksiyat ke Liye Lazmi Samajhti Hay. Doosri Taraf Hairat Angez Baat Ye Hay Ke Islam Ke Naam Per Bannay Walay Mulk Ki Qayadat Zyada Tar Baghair Darhi Walo Ke Paas Rahi Hay.

Pakistan Ke Bani Aur Pehlay Governor Genral Quaid-e-Azam, Pehlay Wazir-e-Azam Liaqaut Ali Khan Se Le Kar Shehbaz Sharif Tak 2 Ke Elawa Sab Wazir-e-Azam Clean Shave Thay. Un 2 Main Aik Zafar Ullah Jamali (Tenure: 23-11-2002 to 26-06-2004) Aur Dusray Shahid Khaqan Abbasi (Tenure: 1 August 2017 to 31 May 2018) Thay Jinhon Ne Darhi Rakhi Thi.

Raftar Bharne Do
Darhi Wala Army Chief 1

 Isi Tarah Pakistan Ke Pehlay Sadar Maj. General Iskandar Mirza Se Le Kar Sadar Arif Alvi Tak Sirf 1 Sadar Justice (R) Mohammed Rafiq Tarar (Tenure: 1998 To 20-06-2001) Aisay Thay Jin Ki Darhi Thi. Un Ke Elawa Mohammad Mian Soomro Acting Sadar (18-08-2008 to 09-09-2008) Aur Nigran Wazir-e-Azam (16-11-2007 to 24-03-2008) Rahay, Unhon Ne Bhi Darhi Rakhi Hui Thi.

Presidents Of Pakistan
Darhi Wala Army Chief 2

Army Chiefs Of Pakistan

Dilchasp Baat Ye Bhi Hay Ke Pakistan Main Aaj Tak Koi Darhi Wala Army Chief Nahi Aaya. Mulk Ke Pehlay Muqami Commander In Chief General Ayub Khan Thay. Wo Sadar Banay Tou Unhon Ne General Musa Khan Ko Commander In Chief Muqrar Kiya. Ayub Khan Ne Tou 1962 Main Pakistan Ka Dusra Aayeen Banay Tou Mulk Ka Naam 'Islamic Republic Pakistan' Ke Bajaye Sirf 'Republic Of Pakistan' Rakhna Chaha Taham Awami Ehtijaj Ke Baad Un Ko Ye Faisal Wapas Lena Para. General Musa Khan Ke Baad 1966 Main General Yahya Khan Commander In Chief Banay. 1969 Main Ayub Khan Ne Pura Iqtedar Un Ko Sonp Diya Tha Jis Ke Baad Wo Sadar Bhi Ban Gaye Thay. Kaha Jata Hay Ke Yaha Khan Ke Daur Main Aiwan-e-Sadar Sharab-o-Shabab Ki Mehfilon Ka Markaz Ban Gaya Tha. Yani Yahya Khan Ko Islam Se Koi Khaas Dilchaspi Nahi Thi.

Raftar Bharne Do
Darhi Wala Army Chief 3

Yahya Khan Ke Baad Zulfiqar Ali Bhutto Ke Daur Main General Gul Hasan Aur Un Ke Baad General Tikka Khan Army Chief Banaye Gaye. Zulfiqar Ali Bhutto Ne Islami Socialism Ki Baaten Ki. Mulk Ko Islami Nizam Ke Mutabiq Dhalnay Ke Waday Kiye. Sharab Khanay Band Karaye. Itwar Ke Bajaye Jummay Ko Chutti Nafiz Ki, Lekin Darhi Un Ki Bhi Nahi Thi. 1976 Main Bhutto Ne General Zia Ul Haq Ko Army Chief Lagaya Tha. 1977 Main Zia Ul Haq Ne Bhutto Ka Takhta Ulat Kar Martial Law Laga Diya. Zia Ul Haq Pehlay Din Se Mulk Main Islami Qawaneen Ke Nifaz Ke Daway Kiye. Bohat Se Qawaneen Ko Unhon Ne Islami Jaama Bhi Pehnaya. 1984 Mian Unhon Ne Jo Referendum Karaya Us Main Tou Sawal Hi Yehi Kiya Gaya Tha Kie 'Kiya Aap Mulk Ke Qawaneen Ko Quran-o-Sunnat Ke Mutabiq Dhalnay Ki Himayat Kartay Hain?' Zia Ul Haq Ne Islami Qawaneen Mutarif Tou Karaye Lekin Khud Kabhi Darhi Nahi Rakhi.

Zia Ul Haq Ke Baad General Mirza Aslam Baig, General Asif Nawaz Janjua, General Abdul Waheed Kakar, General Jehangir Karamat Civilian Daur Main Army Chief Rahay. Ye Sab Bhi Clean Shave Thay. Un Ke Baad Army Chief General Pervez Musharf Ne October 1999 Main Nawaz Sharif Ko Hata Kar Mulk Per Qabza Kiya. 2002 Main America Ne Afghanistan Per Hamla Kiya. General Pervez Musharraf Ne America Ka Saath Diya. Tanqeed Ki Gayi Ke Aik Islami Mulk Per Hamlay Main Aap America Ka Saath Kyun De Rahay Hain Jis Ke Jawab Main Pervez Musharraf Ka Kehna Tha Ke Un Ki Nazar Main Sab Se Pehlay Pakistan Hay.

Musharraf Ki Rukhsati Ke Baad Pehlay Ashfaq Pervez Kyani, Phir General Raheel Shareef Aur Phir General Qamar Javed Bajwa Army Chief Banay. Ittefaq Se In Ki Bhi Darhian Nahi Theen.

Naya Army Chief Darahi Wala Ho Sakta Tha Magar...

Pakistan Ke Naye Army Chief Ke Liye Fauj Ki Janib SE 6 Naamon Ki Summary Bheji Gayi Thi.

Summary Main Lt. General Asim Munir, Lt. General Sahir Shamshad Mirza, Lt. General Azhar Abbas, Lt. General Nauman Mehmood, Lt. General Faiz Hameed Aur Lt. General Mohammad Aamir Ke Naam Shamil Thay.

Candidates For The Next Army Chief Of Pakistan

In Main Se Sirf Lt. General Nauman Mehmood Darhi Walay Hain Jo Seniority Ke Lehaz Se Wo 4th Number Per Thay. Agar Wo Muntakhib Hotay Tou Pakistan Army Ki Kaman Pehli Baar Kisi Dari Walay Ke Paas Aa Jati. Magar Wifaqi Hukumat Ne Lt. General Asim Munir Ko Naya Sipah Salar Laganay Ka Faisal Kiya Hay. Kaha Jata Hay Ke Lt. General Asim Munir Hafiz-e-Quran Hain.

شیئر

جواب لکھیں