Mehengai Tou Hai, Par Issey Tackle Kese Karein, Kyunke Karna Tou Hai Boss, Zindagi Lambi Hai, Jeena Tou Hai!

Inflation Ke Samne Harna Nahi Hai Balke Muqabla Karna Hai. Government Se Muqabla Nahi Balke Apne Roz Ke Expenses Ko Sahi Se Manage Karna Hai.

Start Budgeting

Chahey Jitna Bhi Kamalo Laikin Wallet Khaali Ho Raha Hai Hai, Solution Hai Proper Budgeting.

Tareeqa Simple Hai, Apne Ek Ek Rupey Ko Timely Job Dein, Ye Sun'ne Mein Jitna Ajeeb Hai Utna Karne Mein Asaan. Asaan Ese Ke Jab Aap Shuru Mein Hi Apne Pure Month Ke Expenses Ko Review Karein, Key Kharche Kahan Kahan Aur Kyun Hote Hein. Phir Paison Ko Job, Yaani Ek Task Assign Kardein Kay Itne Paiso Ko Kisi Particular Jaga Hi Kharch Hona Hai. Ye Task Budgeting Plan Zaruri Hai Kyunke Hum Aam Tour Pe Fazool Kharche Kar Dete Hein Jin Ka Track Rakhna Bohat Baar Mushkil Ho Jaata Hai. Par Jab Ye Plan Proper Discipline Ke Sath Pura Hoga Tou Saare Kharche Saamne Hon Ge.

Spending Review

Raftar Bharne Do
Inflation Se Jang 2

Paise Aatey Hein Aur Foran Chale Jaate Hein, Kaise? Iska Pata Apko Lagana Hai. Kuch Sawal Apne Aap Se Puchein. Aap Kis Pe Spend Kar Rahe Hein Jo Ap Kuch Waqt Tak Na Karein Tou Guzara Ho Jaye? Kahan Pe Ziada Paise Nikal Rahay Hein Jiska Hisaab Nahi Ho Pa Raha. Streamline Aur Review Tou Karna Ho Ga.

For Example, Jab Bhi Koi Purchasing Karein Ya Kahin Dine Ya Kahin Bhi Kharcha Karein Tou Us Ko Din Ke Akhir Mein Ek Dairy Mein Zaroor Likh Lein, Taakey Uska Record Samne Ho. Aur Jab Saare Hisab Samne Hon Gey Tou Us Ko Review Karna Asaan Ho Ga. Review Karne Ka Matlab Simple Hai, Record Jo Apke Samne Ho Ga Tou Aap Aram Se Ye Dekh Sakeinge Ke Mahine Mein Kia Zaruri Aur Fazool Kharche Hoe Hein. Jo Next Month Ki Planning Ke Liye Ap Ko Madad Karein Ge.

Expenses Ko Cut Karein

Mehengai
Inflation Se Jang 3

Shuru Mein Mein Ne Kaha Tha Ke Aap Wo Wali Spending Dekhein Jo Aap Kuch Waqt Na Bhi Karein Tou Guzara Ho Jayega? Ye Sawal Yahan Yani Expenses Cut Karnay Mein Kaam Aata Hai. Ye Asaan Nahi Hai Par Kuch Waqt Ka Guzara Aanay Walay Waqt Ko Sukoon Mein Laa Sakta Hai.

Jahan Rozana Dosto Mein Bethna Hota Hai Wahan Usko Hafte Hein Ek Bar Karlein, Issey Aap Ki Kaam Ki Activities Ka Time Bhi Barh Jaata Hai. Netflix Type Subscriptions Pe Paise Kharch Karne Ki Kia Zarurat Jab Easily HD Streaming Hujaati Hai. Ese Hi Easy Alternatives Har Cheez Mein Available Hote Hein Jispe Ya Tou Apko Kam Paise Kharch Karne Parain Ge Ya Tou Bilkul Hi Naahi.

Ye Thoray Strict Rules & Regulations Tou Lag Rahay Hein Par Jab Government Hamare Liye Kuch Behtar Nahi Kar Rahi To Phir Hamein Khud Apni Life Ko Ese Asaan Karna Huga. Kyunke Boss! Ye Long March Mein Jaa Kar Ya Government Ke Khilaaf Ehtejaj Kar Ke  Kuch Nahi Hone Waala, Bus Time Aur Taqat Hi Zaya Hogi.

Thora Survey Karliya Jae

Mehengai
Inflation Se Jang 4

Alternatives Ki Baat Ki Jae Tou “Survey” Karna Bahut Zaruri Hai. Wo Daur Aur Tha Jab Ek Special Item Ek Hi Store Se Milta Tha. Par Ab Har Jaga Har Cheez Available Hai, Wo Bhi Different Prices Mein. Tou Thora Time Nikalein, Ghumein Phirein Aur Pata Lagaein Ke Groceries Kahan Sasti Milti Hein. Bahut Si Grocery Stores Tou Discount Aur Points Redeeming Cards Bhi Issue Karti Hein. Waqt Nikalna Aur Ese Survey Karna Bahut Zaruri Hai, Is Ke Bina Kuch Nai Hosakta.

Salary Ko Transportation Se Bachao

Mehengai
Inflation Se Jang 5

Gaari Wala Bike Pe Agaya, Bike Wala Sarak Pe, Arey Bhai Ye Roona Dhona Ab Purana Ho Gaya!

Pata Hai Petrol Mehegna Hogaya Hai. Office Door Hai Tou Carpooling Dhundo, Ye Bhi Mahengi Lag Rahi Hai?

Ab Tou Pakistan Mein Bhi Redline Aur Green Line Buses Agai Hein, Tou Kia Hua Agar Ghar K Samne Nai Utarti. Samne Ek Local Transportation Lelein Aur Thora Sa Rasta Usse Cover Karlein. Din Ka Aane Jaane Ka Kharcha Aram Se Rs. 200 K Andar Ho Jayega. Buses Mein Bhaley Thori Dair Ke Dhakke Lageinge Par Month Ke Akhir Mein Paise Pocket Mein Tou Bacheinge.

Aur Office Agar Ghar Se Kuch Kilometers Door Hai Tou Bicycle Lelein. Dunya Mein Kai Mulko Mein Log Cycle Se Travel Karte Hein, Koi Judge Nai Karta. Phir Health Bhi Achi Hogi, Yani Double Faida!

Ziada Paise Kamao!

Ye Koi Scheme Ya Koi Jaadu Nahi. Ye Trick Ziada Mehnat Ki Bhi Nahi. Aaj Kal Digital Age Hai Aur Bahut Kaam Ghar Se Aram Se Bhi Horahe Hein.

Koi Hunar Apne Andar Dekhein Jisay Aap  Cash Kara Sakte Hon. Jesa K Copy Writing, Graphic Designing, Social Media Management Aur Bhi Bahut Kuch As-A-Freelancer Kiya Jaa Sakta Hai Aur Ache Paise Bhi Mil Jaate Hein. Ham Aam Tour Par Ghanto Apne Smartphone Pe Zaya Kar Dete Hein, In Ghanto Mein Se Agar Aap 1.5 Hr. Bhi Nikal Lein Tou Aram Se Achi Kamai Ho Jayegi.

شیئر

جواب لکھیں