FIFA World Cup 2022 Ho To Qatar Mein Raha Hay, Laikin Is Mein Dunya Bhar Kay Rang Mojoud Hain, Especially China Kay. Jis Ki E-Buses Qatar Ki Roads Par Daur Rahi Hain.

China Ki Bus Manufacturer Company Yutong Ki 1,500 Buses Is Waqt Qatar Main Hain. Jo World Cup Daikhnay Walon, Officials Aur Journalists Ko Hotels Say Stadiums Aur Markets Tak Shuttle Service Faraham Kar Rahi Hain. In Buson Main 888 Electric Buses Bhi Hain.

Yutong Ka China Say Bahir Kisi Bhi Mulk Say Electric Buses Ka Yeh Sab Say Bara Order Hay, Balkay Ye Dunya Main E-Buses Ka Bhi Sab Say Bara Order Tha.

Qatar Main Hi Dunya Ka Sab Say Bara E-Buses Ka Depot Bhi Banaya Gaya Hay, Jahan Aik Waqt Main 478 E-Buses Khari Ho Sakti Hain.

E-Buses Project Par Company 4 Barson Say Kaam Kar Rahi Thi, Jis Hawalay Say World Cup 2022 Aik Aham Sang-E-Meel Hay.

E-Buses
FIFA World Cup China Chala Raha Hay 1

China Say Buson Kay Ilawa 126 Afrad Ki Technical Team Bhi Qatar Main Aai Hay. Buses Mein Kisi Bhi Kharabi Say Bachanay Aur Smooth Operation Kay Liay Buses Kay Spare Parts Aur 2,000 Drivers Bhi Qatar Main Hain. Jin Ka World Cup Mein Buhat Important Kirdaar Hay.

Company Is Say Pahlay 2020 Main Norway Ko 102 E-Buses Bhi Faraham Kar Chuki Hay. Jabkay Mexico Ko 63 Dual Fuel E-Buses Bhi Export Ki Hain.

Yutong Bus Manufacturer China Main Buses Bananay Ka Aham Idara Hay. Jo China Ki Industry Ka 38% Share Rakhta Hay. Is Ki Salana Sales 41,000 Say Ziyada Hain, Jin Main E-Buses Ki Tadad 11,400 Tak Hay.

Yutong Aur Pakistan

Yutong Pakistan Main Bhi Buses Faraham Kar Chuka Hay. Khushi Ki Baat Yeh Hay Kay Karachi Main China Kay Counsel General Nay Aik Retweet Main Khush-Khabri Di Hay Kay Yutong Pakistan Main Bhi Bus Manufacturing Plant Laganay Ka Irada Rakhta Hay. Company Karachi Ya Hyderabad Main Plant Lagaye Gi, Jis Kay Liye 15 Say 18 Acre Zameen Darkaar Hogi.

E-Buses And China

China Main E-Buses Buhat Taizi Say Aam Buses Ko Replace Kar Rahi Hain. 2014 Kay Baad China Main E-Buses Kay Share Main Taizi Say Izafa Hona Shuru Hua, Jo Barh Kar Total Buses Ka 66% Ho Chuka Hay. 2020 Kay End Tak China Main 466,000 Electric Buses Theen. Jabkay 2025 Main China Main Chalnay Wali Har 4 Main Say 3 Buses E-Buses Hongi. China Kay Kai Shehr Aisay Bhi Hain Jahan 100% Electric Buses Chal Rahi Hain.

Laikin Aik Bara Masla E-Buses Ki Charging Ka Hay. Ziada Aabadi Walay Shehron Main In Buson Kay Charging Terminal Banana Mushkil Kaam Hay Jiss Kay Liye Mukhtalif Options Par Kaam Jari Hay.

شیئر

جواب لکھیں