Pakistan Main Jab Petrol Nay “Double Century” Ki To logon Nay Electric Vehicles (EVs) Ka Naam Laina Shuru Kardia. Laikin Dunya To Is Say Buhat Pehlay Petrol Car Ki Bajaye EVs Ko Tarjeeh Daina Shuru Ho Chuki Thi. Especially Chinese EVs Ki Market To Aagay Hi Aagay Ja Rahi Hay.

China Car Manufacturing Main To Buhat Dair Say Ayaa, Magar EV Manufacturing Main West Ka Muqablay Karnay Aur Us Say Bhi Aagay Nikal Janay Kay Saray Intazamat Kar Raha Hay.

Chinese EVs Aur 2014

Chinese EVs
(Photo: AFP)

China Main EV Manufacturing Ki Baat Karain To 2014 Buhat Aham Saal Hay. Us Saal Main EVs Ka Share Vehicle Market Main Double Digit Ko Touch Kia Tha.

2014 Main China Main EVs Ki Yearly Sales 74,476 Thee, Jo 2021 Main 3.5 Million Salana Tak Puhanch Gaeen.

China Main is Waqt Sarkon Par 10 Million EVs Chal Rahi Hain Jo Total Vehicles Ka Taqreeban 3% Hain. Magar China EV Aur EV Infrastructure Par Tezi Say Kaam Kar Raha Hay. Hukumat 2025 Tak Mulk Bhar Main 20 Million Charging Points Bananay Ka Irada Bhi Rakhti Hay.

Chinese EVs Europe Main

Chinese EVs

Chinese EV Manufacturers Europe Main Bhi Apna Share Barhanay Kay Liye Koshish Kar Rahay Hain. NCAP Five Star Ratings Europe Main EV Kaa Sab Say Behtareen Ma’yaar Hay. Chinese Companies NCAP Five Star Ratings Hasil Karnay Kay Sath Sath Europe Main Cheap EVs Faraham Karnay Ki Position Main Aa Chuka Hay. Jaisay Chinese Company Great Wall Motor Apni Gari ORA Funky Cat 32,000 Pounds Main Offer Kar Raha Hay, Jo VW Ki ID.3 Ki Nisbat 5,000 Pound Sasti Hay.

Chinese EVs Ka Europe Main Market Share 5.8% Hay, Jo 2030 Tak 12% Say 20% Tak Puhanch Sakta Hay.

Chinese EVs in Pakistan

Pakistan Kay Liye Achi Khabar Ye Hay Kay China Ki EV Companies Nay Pakistan Main Bhi Manufacturing Plants Lagana Shuru Ker Diye Hain.

Is Main Sab Say Aham Great Wall Motors Aur Pakistani Company Sazgar Engneering Ltd. Ka Ishtarak Hay. Donon Nay Mill Kar Pakistan Ki Pehli Hybrid Electric Vehicle HAVAL Launch Kar Di Hay. Company Mustaqbil Main Pakistan Main Fully Electric Vehicle Bananay Ka Irada Bhi Rakhti Hay.

Chinese EVs
Chinese EVs Ka Zamana Aa Gaya? 1

China Ka Gauss Auto Group Karachi Main AKD Group Kay Sath Mil Kar industrial Plant Laganay Ja Raha Hay. Jabkay MG JW Chinese Company SMIL Aur JW Limited Ka Joint Venture Hay, Woh Mustaqbil Qareeb Main Pakistan Main EV Manufacturing Shuru Karday Ga. Inka Plant Lahore Main Hay.

Chinese EVs

Government Aur Chinese EVs

Hukumat Nay 2020 Main EV Policy 2020-25 Jari Ki. Jis Main 2030 Tak Bari Garion Aur Truck Ki Sales Main EVs Ka 30% Hissa Rakhnay Ka Hadaf Rakha Gaya Tha. Jabkay 2040 Tak Ye 90% Tak Puhanch Jaye Ga.

Is Kay Liye Chinese Companies Kay Sath Baat Cheet Kar Kay Un Ko Ziada Say Ziada Mara’aat Di Jain, Takay Africa Aur Middle East Ki Demand Ko Poora Karnay Kay Liye Pakistan Main Manufacturing Plants Lagaye Jain Aur Pehlay Say Mojoud Plants Ki Capacity Barhai Jaye.

China EVs Market Main Dunya Ko Lead Karnay Ja Raha Hay. Is Liay Pakistan Ko Chinese Companies Kay Sath Mil Kar Is Main Ziada Say Ziada Hissay-dar Ban’na Chahiye.

شیئر

جواب لکھیں