Pakistan Ke Logon Ke Liye Achi Kahabr Ye Hay Ke Mulk Mein Pehli Hybrid Electric Vehicle (HEV) Muqami Tor Per Assemble Kar li Gayi Hay. Ye Khabar Pakistan Ki Largest Rikshaw Maker Company Sazgar Ne Pakistan Stock Exchange (PSX) Ke Aik Letter Ke Zariye Di. Company Ke Mutabiq Ye Hybrid Electric Vehicle 'Haval' Brand Name Se 17 November Ko Launch Ki Jaye Gi.
Pichle Saal Hi Haval Ki SUVs Ko Manufacture Karne Ka Sazgar Ko Government Ki Taraf Se Green-Field Status Milgea Tha.
Iss Saal June Mein Sazghar Ne Apni Facilities Ko Kamyabi Se Khara Karliya Tha. Taake Wo Haval Ki Manufacturing Shuru Karsake. Aur Phr August Tak Iski Manufacturing Hukar Test Trail Bhi Puri Ki Ja Chuki Thi. Company Ne Kaha Tha Ke Isi Mahine CKD Rollout Bhi Expected Hai.
Auto Development Policy (ADP-2016-21) Mein Government Ne Car Manufacturers Ko Tax Incentives Offer Kiye The Taake Wo Is Sector Mein Ba Asaani Invest Karein Aur Duty Aur Tax Incentives Hasil Kar Sakein.
Is Policy Ne KIA, Hyundai, MG Motors, Proton, Chagan, DFSK Jese Bohat Saray Auto Makers Ki Attention Ko Gain Kiya.
Pakistan Mein Chand Auto Makers Hein Jo Ek Tareeqe Se Market Ko Control Kar Rahe Thay. Is Policy Ki Waja Se Is Control Ka Khatma Hua Hai Aur “Customer Choice Market” Mein Izafa Dekha Gaya Hai.
ADP-2016-21 Ki Waja Se Market Mein Aur Bhi Nai Auto Makers Enter Hue Hein Jin Mein Se Ziada Tar Premium High-Tag SUV Ko Assemble Kar Rahi Hein.