Kabhi Kabhi, Janay Anjanay Main, Kuch Aisa Ho Jata Hay Kay Aap Mala Maal Ho Jatay Hain. Aik Hungarian Researcher Nay Android Operating System Main Aik Bug Ka Pata Chala Kar 70,000 Dollars Kama Liye Hain. Jahan Ye Naseeb Ka Khel Hay To Waheen Salahiyat Ki Bhi Baat Hay, Warna Ye Bug Kisi Doosray Nay Kyun Nahi Dhoonda?

Ye Karnama Kia Hay Hungary Kay Researcher David Schütz Nay, Jinhon Nay Apnay Android Phone Main CVE-2022-20465 Bug Dekha. Is Maslay Main Code Main Logic Error Ki Waja Say Lock Screen Bypass Ho Jati Hay. Jis Ki Waja Say Phone Unsecure Ho Jata Hay.

David Nay Yeh Pata Chalaya Kay Android Phone Ki Screen Lock Honay Ki Surat Main Bhi Cellphone Ko Unlock Kiya Jasakta Hay. Cellphone Pin, Shape, Password, Fingerprint Ya Face Lock Sub Ko Bypass Karkay Khola Ja Sakta Hay.

Pata Kaisay Chala?

Yeh Saab Us Waqt Pata Chala Jab David 24 Hours Tak Safar Main Thay. Tab Kay Android Phone (Pixel 6) Ki Battery Khatam Hogai.

Unhon Nay Cellphone Ko Charger Say Connect Ker Kay Reboot Kiya Tou Cellphone Per Sim’s Pin Code Ka Message Aa Gaya. Yeh Lock Screen Code Say Mukhtalif Tha. Is Ka Maqsad Sim Card Ki Security Tha. David Ko Woh Pin Code Yaad Nahi Tha. Unhon Nay Koi Random Code Enter Kiya Jis Ki Waja Say Sim Lock Hogai.

Tab Sim Ko Unlock Karnay Kay Liye Code Ko Reset Kerna Zaroori Tha. Yeh Code Sim Card Ki Packaging Per Darj Hotay Hain. Is Kai Ilawa In Ko Sim Company Kay Customer Care Office Call Kar Kay Bhi Hasil Kiya Jasakta Hay.

David Nay Sim Per Likha Code Enter Kiya Tou Us Ka Pin Reset Ho Gaya. Us Kay Bad Lock Screen Password Ki Request Milnay Kay Pixel Nay Sirf Finger Print Screen Ka Poocha. Android Phone Main Security Reasons Ki Waja Say Reboot Kay Baad Passwords Ya Pin Code Poochay Jatay Hain.

Schütz Nay Pata Chali Lia Kay Device Ko Reboot Kiye Baghair Screen Unlock Ho Jati Hay. Jabkay Is Say Pehlay Screen Per Full Lock Lagaya Gaya Tha. Is Kay Liye Finger Print Ki Zaroorat Bhi Nahi Pari.

Android Phones Khatray Ka Shikar

Yeh Sab Method Android Phone Kay Pixel 5 Aur Pixel 6 Per Azmaey Gaey. Google Nay Android Ki 5 November Ko Aanay Wali Update Main Is Ko Durust Kar Dia Hay. Magar Yeh Maslay 6 Months Pehlay Say Moujoud Thay Aur Cellphone Ko Unlock Karna Buhat Aasan Tha.

Android Phone
Android Phone

Woh Tamaam Devices Jo Android 10 Say Android 13 Tak Hain Aur November 2022 Kay Patch Par Updated Nahi, Woh Khatray Ka Saamna Kar Rahi Hain.

Google Ka Inam

Is Maslay Ko Talash Kernay Per, Google Nay David Ko 70,000 Dollar Ada Kiye Hain. Waisay Google 1 Lakh Dollar Deta Hay Laikin Is Maslay Ki Nishandahi Kisi Aur Nay Bhi Ki Thi.

شیئر

جواب لکھیں