Silicon Valley Ke Baray Baray Tech Idaray Apnay Mulazmeen Par Baray Kulharay Chala Rahay Hain. Pichlay Haftay Tech Giant Facebook Ke Bani Mark Zuckerberg Ne 11,000 Meta Workers Ko Job Se Nikalnay Ke Hukm Per Sign Kiye. Jo Meta Ki Global Workforce Ka Almost 13% Hai. Is Se Pehlay Elon Musk Ne Twitter Ka Malik Bantay Hi Company Ke 50% Yani Almost 3700 Mulazimon Ko Naukri Se Nikal Diya Tha.

Isi Ke Saath Ye Khabar Bhi Aayi Ke Amazon 10,000 Job Cut Kar Rahi Hay.

Facebook, Twitter, Amazon
Naam Baray Aur Darshan Chotay! 1

Silicon Valley Ke Numayan Idaron Main Kaam Karnay Walon Ke Liye Ye Saal Khasa Sakht Guzra Hay.

Snap Ne Apne 20% Mulazmeen Ko Farigh Kar Diya Hay. Payment Platform Stripe Ne 1100 Logon Ko Kaam Se Nikala. Ride-Hailing Company Lyft Ne 700 Employees Ki Job Khatam Ki. Netfilx Ne Staff Mein 450 Afrad Ki Kami Ki. Salesforce Ne Bhi Apne Sainkron Mulazimeen Ko Borya Bistra Bandhnay Ka Hukm Diya Hay.

Tech Sector Mein Layoffs Kyun Ho Rahi Hain?

Ye Tamam Idaray Layoffs Ki Waja Financial Difficulties Ko Qarar De Rahay Hain. Amazon Ka Market Cap $2.8 Trillion Se Kam Ho Kar $1.3 Trillion Per Aa Chuka Hay.

Apple Ke Stock 16% Giray Hain. Bill Gates Ki Microsoft Aur Elon Musk Ki Tesla Ke Share Ki Prices Bhi Double Digits Main Kam Hui Hain.

Facebook Ko Bhi Financial Crunch Face Karna Par Raha Hay. Meta Ka Market Cap Jo Pichlay Saal $1.4 Trillion Tha Kam Ho Kar $440 Billion Reh Gaya Hay. Google Ki Parent Company Alphabet Bhi Neechay Ki Janib Safar Kar Rahi Hay.

In Idaron Ne Kam Earning Show Ki Aur Us Ke Baad Mulazmeen Ki Tadad Per Talwar Chalni Shuru Ki.

Kya Facebook, Twitter Ne Zyda Log Bhar Liye Thay?

Mahireen Ke Mutabiq Tech Industry 2020 Ke Shuru Main Bhi Kharab Halat Mein Thi. Lekin Covid19 Pandemic Ki Waja Se Is Ko Sahara Mil Gaya Tha. Kyunke Logon Ne Online Kharidari Zyada Shuru Kar Di Thi. Yehi Waja Thi Ke In Idaron Ne Baray Paimanay Per Hiring Kar Li.

Meta Ke Mulazmeen Ki Tadad March 2020 Mein 48,268 Thi Jo September 2022 Mein 87,000 Tak Pohnch Gayi.

Magar Us Ke Baad High Inflation Aur Recession Ke Khauf Ki Waja Se Awam Aur Advertisers Ne Online Kharch Karna Kam Kardiya.

Advertising Mein Kami Ki Wajah Se In Idaron Ko Sab Se Zyada Nuqsan Hua Hay. Khas Tor Per Meta, Google Aur Twitter Zyada Mutasir Hui Hain.

Elon Musk Ne Mulazmeen Ko Nikala Tou Twitter Ke CEO Jack Dorsey Ne Publicly Muafi Mangi. Un Ka Kehna Tha Ke Main Ne Company Ka Size Bohat Jaldi Barha Liya Tha.

Facebook Ke Bani Mark Zuckerberg Ne Bhi Aik Paigham Main Ghalati Ka Aitraf Kiya. Unhon Ne Kaha Ke Mujh Se Ghalati Hui Aur Mein Zimmedari Qabool Karta Hun.

شیئر

جواب لکھیں