British Prime Minister Rishi Sunak Nay UK-India Young Professionals Scheme Shuru Karnay Ka Ailaan Ker Dia Hay. India Pehla Mulk Hay Jis Kay Sath Ye Scheme Shuru Ki Ja Rahi Hay.

Ye Ailan Donon Mulkon Kay PMs Rishi Sunak Aur Narendra Modi Kay Darmian G-20 Ijlas Ki Sideline Mulaqaat Kay Kuch Dair Baad Kia Gaya. Ye Rishi Ki Wazeer-e-Azam Bananay Kay Baad Indian Prime Minister Say Pahli Mulaqat Thi.

Kaun Kaun Ja Sakta Hay?

 UK-India Young Professionals Scheme Doosri Schemes Say Mukhtalif Hay. Is Ki Tafseelat Kay Mutabiq 18 Say 30 Saal Kay 3,000 Indian Naujawan, Jin Ki 3 Salon Ki Higher Education Mukammal Ho Chuki Ho, Aur Woh Apnay Aap Ko English Main Achay Tareeqay Say Express Kar Saktay Hain. To Wo 2 Saal Kay liye England Ja Sakain Gay.

Kaisay Ja Saktay Hain?

Indian Media Kay Mutabiq UK-India Young Professionals Scheme 2023 Main Shuru Hogi. Is Ki Mazeed Tafseelat Abhi Samnay Aana Baqi Hain. Laikin Scheme Kay Structure Say Lagta Hay Kay Is Kay Liye UK Say Koi Sponsorship Ya Job Offer Letter Lazmi Hoga.

India England Kay Sath Free Trade Agreement (FTA) Bhi Karnay Ja Raha Hay. Jis Say Donon Mulkon Kay Darmian Tijarat Main Mazeed Izafa Hoga. Is Waqt India Aur UK Ki Bilateral Trade 24 Billion British Pounds Hay.

شیئر

جواب لکھیں