Angrezon Nay South Asia Par 200 Saal Hukumat Ki. Apni Gori Chamri Par Fakhar Karnay Walay Angrez India Kay Brown Logon Say Itni Nafrat Kartay Thay Kay Unhen Apnay Jesa Insan Bhi Tasleem Nahi Kartay Thay. Bohat Saray Muqamat Par Ye Board Lagay Hotay Thay Kay “Dogs And Indians Are Not Allowed”.

Raftar Bharne Do

Magar Phir Waqat Badla, Halaat Badlay, Jazbat Badlay. Angrezon Ko Ahista Ahista Ghulam Logon Ko Bhi Insani Huqooq Denay Paray. Phir Hindustan Se Brown Log UK Main Parhai Aur Kaam Kay Liye Janay Lagay. Ye Silsila 1947 Main Pakistan Aur India Ban Janay Kay Baad Bhi Jari Raha. UK Main South Asian Logon Ki Abadi Barhti Rahi. High Qualification Aur Sasti Labour Ki Wajah Say South Asian Logon Ko Qabool Bhi Kar Liya Gaya, Bus Apni White Ethnicity Par Naaz Karnay Wala Aik Makhsoos Tabqa Tha Jisay South Asiain Afard Ki Britain Main Maujudgi Buri Lagti Thi. Magar In Angrezon Nay Shayad Kabhi Khwab Main Bhi Nahi Socha Hoga Kay Aik Din Yehi Brown Log Un Par Hukumat Bhi Karnay Lagain Gay.

Pehlay South Asian Afrad House Of Lords Aur Parliament Kay Member Banay. Cabinet Main Bhi Shamil Ho Kar Policy Making Aur Legislation Ka Hissa Bannay Lagay. Phir May 2016 Main Dunya Nay Dekha Kay Bartanya Kay Darul Hukumat London Ka Mayor Aik Pakistani Nizhad Sadiq Khan Bana. Ye South Asian Community Ki Aik Bohat Bari Kamyabi Thi.

Raftar Bharne Do

Magar Ab Baat Us Say Bhi Aagay Barh Chuki Hay. Saltanat-e-Bartanya Ki Wizarat-e-Uzma Ka Taaj Ab Aik Ghulam Mulk Se Taluq Rakhnay Walay Rishi Sunak Kay Sar Sajnay Ja Raha Hay.

Indian Hindu Family Kay Chashm-o-Chiragh Rishi Sunak UK Ki Conservative Party Kay Naye Sarbarah Muntakhib Ho Gaye Hain. Yani Ab Wohi Bartanya Kay Pradhan Mantri Hon Gay.

Rishi Sunak September 2022 Main Bhi Prime Minister ship Kay Liye Umeedwar Thay Magar Liz Truss Nay Un Ki Umeedon Par Pani Phair Diya Tha.

Is Baar Sunak Ka Muqabal Sabiq Wazir-e-Azam Boris Jhonson Aur Penny Mordaunt Say Tha Magar Pehlay Boris Johnson Maidan Chhor Gaye Aur Phir Penny Mordaunt Ko Bhi Matlooba Arkan Ki Himayat Na Mil Saki.

42 Saal Kay Rishi Sunak UK Ki Tareekh Kay Pehlay Asian Aur Pehlay Hindu Wazir-e-Azam Hon Gay. Un Kay Dada Ka Taaluq Gujrawanala Se Tha, 1935 Main Wo Kenya Chalay Gaye Thay. 1965 Main Ye Khandan England Muntaqil Hua Tha. Kaha Jata Hay Kay Rishi Sunak UK Ki Parliament Kay Sab Say Ameer Rukn Hain.

Mukahlfeen Ye Bhi Ilzam Laga Rahay Hain Kay Rishi Sunak Prime Minister Ban Kar Aam Aadmi Kay Khilaf Faislay Karen Gay. Mukhalif Siyasi Jamaton Ke Arkan Mulk Main Fori Naye Election Ka Mutalba Kar Rahay Hain Lekin Rishi Sunak Nay In Mutalibat Ko Mustarad Kar Diya Hay.

شیئر

جواب لکھیں