Election Commission Ki Janib Se Tosha Khanah Reference Case Mein Na Ehli Kay Faislay Kay Khilaaf Imran Khan Ki Darkhwast Par Samaat Chief Justice Islamabad High Court Justice Athar Minallah Nay Ki. Imran Khan Ki Janib Se Wakeel Ali Zafar Nay Adalat Main Paish Ho Kar Election Commission Kay Faislay Ke Khilaaf Dalail Diye. Wakeel Ne Adalat Ko Bataya Ke Humain Election Commission Ki Janib Se Faislay Ki Musaddiqa Naqool Faraham Nahi Ki Ja Raheen.

Raftar Bharne Do
Chief Justice islamabad High Court Athar Minallah

Chief Justice Ne Pucha Kay Is Main Jaldi Kya Hay? Jis Par Ali Zafar Ne Bataya Ke Hum Ko Chand Din Baad Election Larna Hay Aur Na-Ehli Ki Wajah Say Masail Ka Saamna Hay. Imran Khan Kay Khilaaf 63(i)(p) Kay Tehat Kaarrwai Ki Gayi. Chief Justice Nay Remarks Diye Kay Ye Na-Ehli Tou Isi Had Tak Hi Hay Jis Kay Liye Wo Pehlay Muntakhib Huye Thay. Election Larnay Main Tou Koi Harj Nahi. Wakeel Nay Darkhwast Ki Kay Adalat Election Commission Kay Faislay Ko Muattal Kar Day. Cheif Justice Nay Kaha Kay Kis Ko Muattal Karen? Adalat Kay Samnay Election Commission Ka Faisla Hi Nahi Hay. Hum Election Commission Ke Musaddiqa Faisla Aanay Say Pehlay Hukm-e-Imtina Jari Nahi Kar Saktay.

Adalat Nay Imran Khan Ki Election Commission Ka Faisla Fori Muattal Karnay Ki Darkhwast Mustarad Kartay Huye 3 Roz Main Darkhwast Par Aitrazaat Door Karnay Ki Hidaayat Ki Aur Kaha Ke Umeed Kartay Hain Imran Khan Ko Faislay Ki Musaddiqa Copy Election Commission Jald Faraham Kery Ga.

21 October Ko Election Commission Nay Toshakhana Case Ka Faisala Sunatay Hoay Imran Khan Ko Na Ahel Qarar Diya Tha.

شیئر

جواب لکھیں