Election Commission Nay Toshakhana Case Ka Faisala Sunatay Hoay Imran Khan Ko Na Ahel Qarar Dai Diya.

Chief Election Commissioner Nay Faisala Sunatay Hoay Kaha Kay Imran Khan Ko Na Ahel Qaraar Daitay Hoay Un Kay Khilaaf Faujdari Karwai Ka Hukum Bhi Diya Hay.

Election Commission Kay Faisalay Kay Baad Imran Khan National Assembly Kay Member Nahe Rahay Aur Un Ki National Assembly Ki Seat Khali Qaraar Dai Di Gai Hay.

Unhonay Yeh Bhi Bataya Kay Election Commission Kay Tamaam Members Iss Faisalay Per Mutafiq Hain.

Election Commission Nay Toshakhana Reference May Imran Khan Ko Article 63 A Kay Tahit Na Ahel Qaraar Diya Hay.

Election Commission Nay Iss Case Ka Faisala 19th September Ko Mehfoos Kiya Tha.

Sabiq Wazeer e Azam Aur Pakistan Tehreek Insaaf Kai Chairman Imran Khan Kay Khilaf Toshakhana Say Gifts Lai Ker Baichnay Aur Unko Assets Main Zahir Nahe Kernay Ka Ilzam Tha.

Imran Khan Corrupt Practices Kay Murtakib Bhi Qaraar Dai Diye Gaey Hain.

Pakistan Muslim League (N) Kay MNA Mohsin Shahnawaz Ranjha Ki Application Per Speaker National Assembly Nay Ye Case Election Commission Ko Bhaija Tha.

Iss Case Main Imran Khan Ko Article 62-1 F Kay Taihaat Naahel Karnay Ki Darkhawast Ki Gai Hay.

Tehreek Insaf Iss Ko Siyasi Case Qarar Day Rahi Hay.

شیئر

جواب لکھیں