Dunya Ke Chothay Ameer Tareen Shaksh Jeff Bezos Ne Bhi Charity Main Apna Hissa Barhana Shuru Kar Diya Hay. Amazon Ke Baani Ne CNN Ko Interview Main Ye Ailan Kiya Ke Wo Apni 124 Billion Dollar Dolat Ka Bara Hisa Charity Main Kharch Karen Gay.

Aik Taraf Charity Dusri Taraf Chanti

Dusri Janib Usi Din Ye Khabar Bhi Aayi Ke Amazon Isi Haftay 10,000 Logon Ko Naukri Se Nikal Rahi Hay. Ye Company Ki Tareekh Main Sab Se Bari Layoff Hay.

Ye Inkishaf New York Time Main Shaya Honay Wali Report Main Kiya Gaya. Report Ke Mutabiq Guzishta 2 Saal Amazon Ki Tareekh Ke Kamyab Tareen Saal Thay, Isi Liye Cpmpany Ne Apni Work Force Double Kardi Thi. Magar Covid19 Ke Lockdown Khatam Honay Ke Baad Online Shopping Normalize Ho Rahi Hay. Is Liye Company Apni Restructuring Kar Rahi Hay.

Amazon Se Pehlay Meta Ne Bhi 11,000 Mulazmeen Ko Nikalnay Ka Amal Shuru Kar Diya Hay. Elon Musk Bhi Twitter Ka Control Sambhaltay Hi Adhay Mulazmeen Ko Farigh Kar Chukay Hain.

Agarchay Jeff Bezos Amazon Ke CEO Ka Ohda 2021 Main Chhor Chukay Hain. Magar Wo Ab Bhi Company Ke Executive Chairman Hain. Aur Log Ab Bhi Amazon Aur Jeff Bezos Ko Aik Hi Naam Samjhtay Hain.

Jeff Bezos Per Bohat Arsay Se Tanqeed Ki Ja Rahi Thi Ke Unhon Ne Giving Pledge Per Sign Nahi Kiye. Ye Aik Aisa Muhaida Hay Jis Per Elon Musk Aur Bill Gates Samait Dunya Ke Kai Ameer Tareen Afrad Dastkhat Kar Chukay Hain. Is Muhaiday ke Mutabiq Wo Apni Dolat Ka Zyada Tar Hissa Falahi Kamon Ke Liye Donate Kar Den Gay. Unhen Apni Company Blue Origin Ke Mehngay Space Program Ke Liye Bhi Tanqeed Ka Samna Raha Hay.

Ghairon Pe Karam Apnon Pe Sitam!
Jeff Bezos And His Ex Wife Mackenzie Scott

Jeff Bezos Ki Ex Wife Un Se Aagay

Dusri Janib Bezos Ki Sabiq Ehlia Mackenzie Scott Charity Program Main Barh Charh Kar Hissa Le Rahi Hain. Mackenzie Scott Ko 2019 Main Jeff Bezos Se Talaq Per 38.3 Arab Dollar Milay Thay. March Main Unki Foundation Ne Ailan Kiya Tha Ke Wo Ab Tak 12 Billion Dollar Donate Kar Chuki Hain. Jeff Bezos Ke Ailan Ke Waqt Tak Wo Mazeed 2 Arab Dollar Atya Kar Chuki Theen. Jis Ke Baad Un Ke Donation 14 Arab Dollar Tak Pohanch Chukay Hain.

Jeff Bezos Kin Kamon Main Dolat Kharch Karen Gay?

CNN Ki Inteview Main Jeff Bezos Ne Apni Charity Ki Mukammal Tafseelat Nahi Batayeen. Taham Un Ka Kehna Tha Ke Wo Apni Dolat Climate Change Ke Khilaf Larai Main Kharch Karna Chahtay Hain. Aur Un Afrad Ko Support Karna Chahtay Hain Siyasi Aur Samaji Taqseem Ke Is Daur Main Logon Ko Mutahid Kar Saken. Unhon Ne Is Saal Singer Dolly Parton Ki Tanzeem Ke Liye 10 Crore Dollar Donate Karnay Ka Elan Kiya Hay. Dolly Parton Mukhtalif Charity Program Chalati Hain. 2020 Mian Unhon Ne Moderna Vaccine Pe Tehqeeq Ke Liye Aik University Ko 10 Lakh Dollar Atya Kiye Thay.

Raftar Bharne Do
Jeff Bezos and Lauren Sánchez. Photo Courtesy CNN

CNN Ko Interview Main 58 Saal Ke Jeff Bezos Ka Kehna Tha Ke Wo Aur Un Ki Dost Lauren Sánchez Is Per Kaam Kar Rahay Hain Ke Donation Kese Ki Jaye. Jab Un Se Pucha Gaya Ke Wo Apni Dolat Apni Zindagi Main Hi Atya Karen Ge Tou Un Ka Jawab Haan Main Tha.

شیئر

جواب لکھیں