Vitamin Ke Capsule Aur Dietary Supplement Ka Suntay Hi Dimagh Main Khayal Aata Hay Ke In Se Taqat Milay Gi Sehat Achi Hogi. Magar Haqeeqat Main Aisa Nahi Hay.

Aik Research Report Main Kaha Gaya Hay Ke Nicotinamide Riboside Dietary Supplement Cancer Samait Kai Sangeen Bimariyon Ka Khatra Barhata Hay.

Nicotinamide Riboside (NR) Vitamin B3 Ki Aik Qisam Hay. Pehley Tehqeeqat Main Kaha Gaya Tha Ke NR Jesay Dietary Supplement Se Dil, Dimagh Aur Metabolism Ko Faida Hota Hay.

Nai Tehqeeq Main Pata Chala Hay Ke NR Ke Zyada level Se Na Sirf Triple-Negative Breast Cancer Honay Ka Khatra Barh Jata Hay. Bulkay Is Ye Cancer Ko Metastasize Kar Ke Dimagh Tak Bhi Phela Sakta Hay.

University of Missouri Ki Associate Professor Elena Goun Ka Kehna Hay Ke Jab Aik Baar Caner Dimagh Tak Pohnch Jaye Tou Khatarnak Nataij Hotay Hain. Kyunke Filhal Uski Treatment Mumkin Nahi Hay.

Dietary Supplements Ke Mutaliq Ghalt Fehmian Hain, Researcher

Unhon Ne Mazeed Kaha Ke Kuch Log Vitamin Aur Supplements Is Liye Letay Hain Kyunke Unhon Ne Farz Kar Liya Hota Hay Ke In Ka Sirf Faida Hi Hota Hay. Jabkay Ye Vitamin Aur Supplements Jism Main Kis Tarah Kaam Kartay Hain Is Ke Mutaliq Abhi Bohat Kam Malumat Hain. Isi Liye Hum Ne Is Per Tehqeeq Karnay Ka Socha.

Dietary Supplement Se Cancer Ka Khatra!
Elena Goun, Associate Professor of Chemistry, University of Missouri

Lead Researcher Elena Goun Ke Walid Ka 59 Saal Ki Umar Main Inteqal Ho Gaya Tha. Inteqal Se Sirf 3 Mahinay Pehlay Un Main Colon Cancer Ki Tashkhees Hui Thi. Walid Ki Maut Ne Unhen Cancer Metabolism Per Behtar Scientific Tehqeeq Ki Taraf Raghib Kiya.

Chunkay NR Cellular Energy Ka Level Barhanay Ke Liye Maroof Hain. Jabkay Cancer Ke Cell Metabolism Barhnay Ki Waja Se Us Energy Ko Istemal Kartay Hain. Elena Goun Janna Chahti Theen Ke Cancer Honay Aur Phelnay Main NR Ka Kiya Kirdar Hay.

Elena Goun Ke Mutabiq Cancer Ke Patients Main NR Baray Paimanay Per Istemal Ho Rahi Hay. Is Liye Hamari Tehqeeq Bohat Important Hay.

Research Ke Dauran Technolgy Ki Madad Se Cancer Cells, T Cells Aur Healthy Tissues Main NR Ke Levels Ka Mawazna Kiya Gaya.

Tamam Dietary Supplement Per Tehqeeq Ki Zarurat Per Zor

Goun Ka Kehna Hay Ke Un Ki Tehqeeq Is Baat Ki Ehmiyat Ko Ujagar Karti Hay Ke Kisi Bhi Dietary Supplement Ke Istemal Se Pehlay Achi Tarah Tehqeeq Ki Zarurat Hoti Hay. Kyunke Har Mareez Ki Health Condition Mukhtalif Hoti Hay.

Unhon Ne Kaha Ke Har Shakhs Main Tamam Cancer Aik Jesay Nahi Hotay. Khas Tor Per Metablic Signatures Ke Hawalay Se. Aksar Chemotherapy Se Pehlay Ya Baad Main Cancer Ka Metablism Tabdeel Ho Jata Hay.

Elena Goun Aur Un Ki Team Ki Research Biosensors and Bioelectronics Main Publish Hui Hay. Team Ke Deegar Arkan Main University of Missouri; the Swiss Federal Institute of Technology; The Ludwig Institute for Cancer Research in Switzerland aur  the Nestlé Institute of Health Sciences in Switzerland Ke Scientist Shamil Hain.

Tehqeeq Ke Liye Funding European Research Council, Swiss National Foundation, NCCR Ne Ki Thi.

شیئر

جواب لکھیں