Insan Nay Pehli Bar Chand Per Qadam 1969 Main Rakha Tha, Laikin 50 Ho Gaey, Dubara Chand Par Nahi Gaya. Ab Kai Saalon Say Aik Lunar Mission Ki Batein Ho Rahi Hain. Aur 10 Saal Ki Mehnat Kay Baad, NASA Apnay Mission Artemis 1 Kay Sath Is Khwab Ko Poora Karnay Ki Taraf Pehla Qadam Utha Chuka Hay. Artemis 1 Say Filhaal Koi Astronaut To Nahi Gaya, Magar Future Main Is Mission Kay Buhat Results Saamnay Aein Gay.

Cape Canaveral, Florida Kay Kennedy Space Center Say Dunya Ka Sab Say Powerful Rocket Apnay Space Mission Per Rawana Hoa.

Artemis 1 Moon Mission Ka Maqsad Space Launch System Aur Orion Crew Capsule Ki Daikh Bhal Kerna Hay. Artemis 1 Kay Operi Hissay Main Orion Crew Capsule Nasb Hay.

Yeh 26 Days Ka Space Mission Hay Jis Main Sensitive Sensors Kay Zariye Space Mission Kay Doran Radiation Levels Check Kiye Jaein Gay.

Raftar Bharne Do

Orion Spacecraft Kuch Roz Tak Chand Kay Madar (Orbit) Main Rahay Ga. Yeh Spacecraft Pacific Ocean Main 11 December Ko Wapis Aa Jaey Ga.

Space Mission Kay Liye 30 Lakh Ultra Cold Liquid Hydrogen Aur Oxygen Istemal Hoi Hay.

NASA Artemis 1 Ki 1st Try Fail Hoi Thi

Is Space Mission Ki 1st Try 30 August Ko Ki Gai. Us Waqt Technical Issues Ki Waja Say Aisa Mumkin Na Hosaka Tha.

NASA Kay Administrator Bill Nelson Nay Bataya Tha Kay Rocket Main Technical Issue Ko Door Kerna Eham Tha. Unhonay Yeh Bhi Kaha Tha Kai Yeh Bauhat Complicated Machine Hay. Is Space Mission Kay Liye Kai Stages Hotay Hain.

1st Try Is Liye Kamiyab Nahi Hoi Kion Kay Rocket Kay 4 RS-25 Engine Main Say Aik Start Nahi Hosaka Tha.

2nd Try Bhi Mumkin Na Hosaki

Space Rocket Ko Bhejnay Ki Dosri Koshish 4th September Ko Nakaam Hoi Thei.

Iss Baar Scientists Rocket Say Fuel Leakage Roknay Main Nakam Rahay Thay.

Rocket Kaisa Hay?

Artemis 1 Ki Lambai 322 Feet Hay. Is Main Koi Astronaut Nahi Hai. Agency Ki Taraf Say Is Spacecraft Per 10 Saal Say Kaam Jari Tha. NASA Artemis 1 Ka Size Apollo Moon Program Kay Saturn 5 Rockets Say Bara Hay.

NASA Artemis 1

NASA Ki Director Charlie Blackwell-Thompson Nay Bataya Kay Yeh Space Mission Anay Wali Generations Kay Liye Faida Mand Hoga. Unhonay Is Project Per Kaam Kernay Walon Ko Kaha Kay Aap Logon Nay Is Mission Per Kaam Kerkay History Main Jagha Banali Hay.

شیئر

جواب لکھیں