Smartphone Se Pehle Zindagi Asaan Lagti Thi, Lekin Agar Socha Jaye Tou Smartphones Ne Hamari Zindagi Ko Aur Bhi Asaan Kardiya Hai. Tou Is Zindagi Ko Aur Asaan Karnay Kay Liay Hum Naey Smartphone Ki Talash Main Rehtay Hain.

Is Talash Mein Pehli Baat Hamesha Budget Ki Hoti Hai. Mehengai Ke Is Daur Mein Har Koi iPhone Ya Premium Samsung Galaxy Phones Nahi Afford Kar Sakta. Par Smartphone Aaj Kal Itni Bari Zarurat Ban Gaya Hai Ke Agar Aap Na Ho Tou Kitne Hi Kaamon Mein Peeche Reh Jayen Ge.

Lekin Zaruri Nahi Ke Aap iPhone Ya Samsung Ke Phones Khareedne Ke Liye Saal Bhar Paise Jama Karein. Market Mein Kuch Arsey Se “Budget Phones” Ki Category Aa Mojoud Hai, Jis Mein Rs. 30,000 Ke Andar Aaram Se Ek Acha Smartphone Khareeda Jaa Sakta Hai.

Ye Budget Phones Kisi Premium Category Ko Takkar To Nahi De Saktay, Laikin Istemal Karne Mein Kisi Se Kam Nahi Hotey.

Konsa Smartphone Khareeden?

Market Mein Bey-Tahasha Smartphones Available Hein. Aur Confusion Bhi Yahin Peda Hoti Hai Ke Konsa Phone Aapki Needs Aur Exact Budget Ke Mutabiq Aapko Suit Karega.

Jab Log Ek Smartphone Khareedna Chahte Hein To Un Ki Preference Bhi 2 Type Ki Hoti Hai. Ya Tou Acha Camera Ho Ya Tou Sirf Achi Performance, Jisay Zyada Tar Gaming Kay Liay Istamal Kia Jata Hay.

Pakistani Market Mein Jo Top 5 Budget Smart Phones Dastyab Hain, Wo Hain:

Top 5 Camera Smartphones

Raftar Bharne Do

Ye Phone 5000 mAh Battery, Snapdragon 680 Processor Chipset, 3/4 Gb Ram Aur 64/128 Gb Storage Memory Ke Sath Aata Hai.

Is Phone Mein 6.71-Inch Ka IPS Display Hai Jo 1650x720 Full HD Resolution Ko Support Karta Hai.

Selfie Camera 5MP Aur Backside Mein 50x2 MP Camera Hai. Samnay Wala Camera 30 FPS Par 1080p Tak Video Rerecording Ko Support Kar Sakta Hai. Jabkay Peechay Wala Camera 30 FPS Par 1080p Tak Ki Video Recording Karta Hai.


Raftar Bharne Do
Best Affordable Phones 1
  • Samsung Galaxy A03
  • Starting Price Rs. 25,100

2 GB RAM And 32 GB Storage Memory, 5000 mAh Battery, 6.5-Inch PLS Display Ke Sath 1600x720 Resolution Supported.

5 MP Front Selfie Camera Aur Back Pe 8 MP Main Camera Hai Aur Ye Dono 1080p 30 FPS Pe Video Record Karte Hein. Camera Features Mein LED Flash, Portrait, Face Unlock Shamil Hain.


Raftar Bharne Do
Best Affordable Phones 2
  • Tecno Pova Neo
  • Starting Price Rs. 25,300

Powered By Mediatek Helio G25 Processor, 6000 MAH Battery, 4/6 GB Ram, 64/128GB Storage, 6.8 Inch LCD Display Jo 1640x720 Resolution Ko Support Karta Hai.

Cameras Ki Baat Ki Jae Tou Front Selfie Camera 8 MP, Backside Pe 2 Main 13x2 MP Camera Hein, Ye Sab 1080p 30 FPS Video Record Kar Sakte Hein.

Dual LED Flash Ke Sath Selfie Mode, Face Unlock Aur AI Camera Feature Milta Hai.


Raftar Bharne Do
  • Vivo Y15s
  • Starting Price Rs. 28,200

Powered By Mediatek Helio P35 Processor, Ye Smartphone 3GB Ram Aur 32GB Storage K Sath Aata Hai.

5000 MAH Battery, 6.51-Inch LCD Display Jiski Resolution 1600x720 Tak Jaati Hai Iske Ilawa Is Mein Display HD+, Halo Full View, Eye Protection Mode Bhi Hai.

Camera Ki Baat Ki Jaye Tou Is Phone Mien Front Selfie Camera 8 MP Hai Aur Backside Mein 13MP Dual Cameras Hein, Aur Dono Front And Back Cameras 1080p 30 FPS Ki Video Recording Karte Hein.

Camera Features Ke Andar Wide Angle, Depth Camera, Panorama, HDR, LED Flash, Portrait, Time Lapse, Slow Motion, AI Camera, Live Photo Shamil Hai.


Raftar Bharne Do
Best Affordable Phones 3
  • Oppo A52
  • Starting Price Rs. 26,400

Powered By Snapdragon 460 Processor, Ye Smartphone 4/6 GB Ram Aur 64/128 GB Storage Mein Aata Hai.

5000 MAH Battery, 6.5-Inch LCD Display Jo 1600x720 Resolution Ke Sath 90Hz Refresh Rate Aur Corning Gorilla Glass 3 Is Mein Maujood Hai.

Camera Ki Baat Ki Jaye Tou Is Mein 16 MP Ka Front Selfie Camera Aur Backside Mein Main 13 MP Ke Sath 2 Aur Cameras Hein. Ye Sare Cameras 1080p 30 FPS Ki Video Recording Kar Lete Hein Aur Features HDR, Wide Angle, Selfie Mode, AI Beautification, Bokeh Effect Hein.


Top 5 Performance/Gaming Smartphones

Raftar Bharne Do
Best Affordable Phones 4
  • Tecno Pova 2
  • Starting Price Rs. 29,000

Is Smartphone Ke Andar Mali-G52 Processor Maujood Hai Jo ET Gaming GPU Ko Support Karta Hai. Is Phone Ke 2 Variants Hein, 4/6 GB Ram Aur 64/128 GB Storage Aur Khatarnak 7000 MAH Battery Capacity.

Display Size 6.9-Inch Hai Jo 180 Hz Touch Sampling K Sath FHD+ 1080x2460p Ko Support Karta Hai.

In Specifications Ki Waja Se Is Phone Mein High Responsive, 60 FPS, Long Hours Smooth Gaming Easily Ho Sakti Hai On A Single Charge.

Jahan Ye Gaming Mein Beast Hai Wahin Ye Camera Mein Bhi Ek Dam Kamal Hai. Front Camera 8 MP Aur Back Cameras Mein Main 48 MP K Sath 3 Aur Cameras Bhi Hein. Front Camera 1080p 30 FPS Video Record Karsakta Hai Aur Back Main Camera 1440p 30 FPS Pe Video Record Karta Hai.


Raftar Bharne Do
Best Affordable Phones 5
  • Realme C25Y
  • Starting Price Rs. 28,600

Powered By Unisoc Ki T610 Processor Chip. Ye Smartphone 4/6 GB Ram Aur 64/128GB Ram Ke Variants Mein Aata Hai.

Display Is Ka 6.5-Inch LCD Hai Jo 1600x720p HDR Ko Support Karta Hai. Battery Capacity 5000 MAH Hai.

Gaming Ki Baat Karein Tou Is Device Pe 60 FPS Smooth Gaming Ghanto Tak Ba Asaani Se Ho Jayegi.

Cameras Bhi Iske Bure Nahi Balke Outclass Hein. Front Selfie Camera 8 MP Hai Aur Back Pe Main Camera 50 MP K Sath Ek Macro Aur Ek Depth Camera Paya Jaata Hai.


Raftar Bharne Do
Best Affordable Phones 6

  • Infinix Hot 12
  • Starting Price Rs. 28,000

Powered By Mediatek Helio. Ye Ek Hi Variant Mein Aata Hai Jis Mein 6GB (Extended 5GB) Ram Aur 128 GB Hoti Hai.

Display Size 6.82-Inches LCD Hai Jo 1612x720p Resolution Ko Support Karta Hai. Battery Capacity 5000 MAH Hai.

Gaming K Lehaz Is In Features Mein “Fairly Good” 60 FPS Gaming Ho Jaaye Gi.

Front Selfie Camera 8 MP Aur Back Main Camera 13 Mp K Sath 2 Aur Cameras Bhi Hein. Front Aur Back Cameras Easily 1440p 30 FPS Recording Kar Lein Ge.


Raftar Bharne Do
Best Affordable Phones 7
  • Tecno Camon 18T
  • Starting Price Rs. 28,000

Powered By Mediatek Helio G85 Processor. Is Ka Ek Hi Variant Aata Hai Jiski Ram 4 GB, Storage Hai 128 GB. 

Is Smartphone Ka Display IPS LCD 6.8-Inch Hai Jo 1080x2460p Ko Support Karta Hai. Battery Capacity Is Ki 5000 MAH Hai.

60 FPS Gaming Is Device Mein Aaram Se Ho Jaye Gi Kisi Stutter Ke Baghair.

Cameras Is Ke Kaafi Ache Hein. Front Selfie Camera 8 MP Hai Dual LED Flash Ke Sath Aur Back Mein Camera 48 Mp 2 Aur Macro Aur Wide Cameras Hein. Ye Sare Cameras 1080p 30FPS Video Record Kar Lete Hein.


Raftar Bharne Do
Best Affordable Phones 8
  • Redmi 10
  • Starting Price Rs. 27,000

Powered By Mediatek Helio G88 Processor. Iska Ek Hi Variant Hai Under Rs. 27,000, Jiski Ram 4 GB Hai Aur Storage 64 GB.

Is Phone Ka LCD Display Size 6.5-Inch Jo FHD+ 1080x2400p Ko Support Kar Leta Hai. Is Ki Battery Capacity Hai 5000 mAh.

Gaming Ke Lehaz Se Ye Smartphone “Above Average” Hai, Jo 60 FPS Easily De Dega.

Cameras Is Ke Kaafi Achay Hein. Front Selfie Camera 8MP Hai Aur Back Mein 50MP Main Camera Ke Sath Ek 8 MP Ultra Wide, 2 MP Macro, Aur 2 MP Depth Camera Bhi Hai.

شیئر

جواب لکھیں