Indonesia Ke Jazeeray Bali Main In Dinon G20 Summit Jari Hay. Sidelines Per Mulaqaton Ka Silsila Bhi Chal Raha Hay. Aisi Hi Aik Mulaqat Main China Ke Sadar Xi Jinping Aur Canada Ke Wazir-e-Azam Justin Trudeau Ke Darmiyan Kuch Narazgi Peda Ho Gai, Jo Camera Per Record Bhi Ho Gai.

Video Main Dekha Ja Sakata Hay Ke Xi Jinping Justin Trudeau Se Naraz Ho Kar Kuch Keh Rahay Hain Aur Translator Us Ka Tarjuma Kar Raha Hay. Xi Jinping Ne Shikayat Ki Ke ‘Main Ne Aap Se Kal Jo Baaten Keen Wo Sab Ki Sab Akhabarat Main Leak Ho Gayeen, Ye Munasib Nahi Hay.’

Justin Trudeau Ne Jawab Dia Ke ‘Canada Mein Hum Azadana Aur Khuli Baat Cheet Per Yaqeen Rakhtay Hain. Aur Hum Is Ko Jari Rakhen Ge. Hum Mil Kar Kaam Karnay Ke Liye Pur Umeed Hain Lekin Kuch Cheezon Per Ikhtilafat Bhi Ho Saktay Hain.’

Trudeau Ke Jawab Ke Baad Dono Ne Haath Milaya Aur Mukhalif Samton Mein Chal Diye. Xi Jinping Ke Chehray Per Muskurahat Thi Lekin Us Mein Narazi Barqrar Thi. Unhon Ne Jatay Jatay Kaha Ke ‘Ye Acha Hay, Lekin Pehlay Aisa Mahol Peda Karna Ho Ga.’

Xi Jinping-Trudeau Mulaqat Mein Kiya Baaten Hui Theen?

Xi Jinping Aur Trudeau Ki 15 November Ko Mulaqat hui Thi. Canadian PM House Ke Mutabiq Trudeau Ne Canadian Election Mein China Ki Mudakhlat Per Tahafuzzat Ka Izhar Kiya Tha. Hukumati Zaraye Ke Mutabiq Justin Trudeau Ne Ukraine War, North Korea Aur Climate Change Ke Muamlat Bhi Uthaye Thay.

Trudeau Se Narazi Ke Elawa Aik Aham Waqya Ye Bhi Hua Ke British Prime Minister Rishi Sunak Aur Chinese President Ke Darmiyan Mulaqat Waqt Ki Kami Ki Waja Se Mansookh Kar Di Gayi.

Dunye Ki 20 Barri Economies Rakhnay Walay Mumalik (G20) Ke Sarbarahan Ki 2 Roza Summit Aaj Ikhtitam Ko Pohnchi. Summit Main Russia Ke Ukraine Per Hamlay Ki Sakht Muzammat Ki Gayi.

شیئر

جواب لکھیں