Aik Waqt Tha Jab Pakistan Main Drone Ka Naam Suntay Hi Zehan 'Drone Attack' Ki Taraf Jata Tha. Magar Waqt Badla, Dunya Kay Halaat Badlay, Jiddat Ayi Aur Drone Ka Istaymal Kai Shobon Main Honay Laga. Aur Ab Drones Punjab Main Bhi Urrain Gay.

Wazeer-e-Ala Punjab Pervaiz Ilahi Nay 1200 Drone Cameray Khareednay KI Manzoori Di Hay. In Ka Istaymal Kaha Hoga? Aaen Aap Ko Batatay Hain.

Pervaiz Ilahi Ka Bara Faisla

Punjab Main Sab Say Ziada Drone Policing Kay Liye Khareeday Jain Gay. Is Project Main Police Ko 1,000 Drone Dainay Ka Irada Hay. Hukumat Ka Khayal Hay Kay Is Say Moharram Aur Dosaray Mazhabi Programs Ki Bahter Monitoring Ho Sakay Gi. Phir Night Vision Drone Bhi Khareednay Ka Irada Bhi Hay, Takay Raat Kay Waqt Bhi Nazar Rakhi Ja Sakay.

Drones Punjab Agri Sector Main

Dunya Bhar Main Agriculture Yani Zara'at Main Bhi Drone Ka Istaymal Barh Raha Hay. India 2030 Tak Agri Sector Kay Liay Drones Lainay Par 121 Million Dollar Lagaye Ga.

Punjab Hukumat Bhi Isi Cheez Ku Madd-e-Nazar Rakhtay Huay Zara'at Main Drone Technology Ka Istaymal Barha Rahi Hay. Policing Kay Baad Ziada Drones Punjab Main Zara'at Kay Liye Hi Istamal Hon Gay.

Is Kay Ilawa Floods Ki Pehlay Say Maloomat, River Flows ko 24 Ghantay Monitor Karnay, Khas Taur Par Sailaab Kay Dino Main, Par Bhi Drones Use Hongay. Spray Kay Liye Baray Drones Bhi Khareeday Jayen Gay. Drones Ko Shajarkari Muhim Kay Bad Podon Ka Khayal Rakhnay Kay Liye Bhi Istaymal Kiye Jayen Gay.

Drones, Geological Surveys Kay Liye

Salt Range Aur Soobay Kay Dosaray Ilaqon Main Geological Surveys Kay Liye Bhi Drones Ki Madad Li Jaye Gi. CM Punjab Nay Tamam Departments Ko Hidayat Ki Hay Kay Who Apni Apni Drone Ki Zarooriat Batain. Drone Technology Kay Behtareen Istaymal Kay Liye Aik Alag Department Banaya Jaye Ga. Is Silsilay Main Wazeere-e-Ala Nay China Ki Company Da-Jiang Innovations Say Bhi Mulaqat Ki Hay.

شیئر

جواب لکھیں