Pakistan Ki Automobile Market Aur Car Industry Tabdeel Horahi Hay. Economic Survey Of Pakistan 2021-22 Ki Report Main Bataya Gaya Hay Kay 3.7 Million Say Ziada Four-Wheel Vehicles Register Hoi Hain. Year 2016 Kay Bad Say 6 International Car Companies Pakistan Main Aai Hain Jin Main MG Motors, KIA Motors, Proton Aur Hyundai Bhi Shamil Hain.

In Main Say Kai Companies Nay 2023 Kay Liay Kuch New Models Announce Kiye Hoay Hain. Aayen Dekhtay Hain Pakistan Most Anticipated Cars In 2023, Aur Un Kay Features Bhi.

MG RX8

MG Motors Nay 2023 Kay Liay MG RX8 Car Announce Kar Rakhi Hay. Yeh Sports Utility Car (SUV) Saal Kay Mid Main Launch Ki Jarahi Hay. Pakistan Main Is Gari Ka Muqabla Kia Sorento, Toyota Fortuner Aur Hyundai Santa Fe Say Hoga.

Pakistan Most Anticipated Cars in 2023

Yeh Aik Fully Loaded 4WD SUV Hogi, Jis Ka Ladder Frame Chassis Isay Sub Say Mumtaz Banaey Ga. 2.0-Liter Turbocharged Petrol Engine Aur 6-Speed Transmission Car Lovers Kay Liye Exciting Hogi.

Is Kay Mazeed Features Main 6 Airbags, Hill Start Assist, Hill Descent Control, ESC, Traction Control, Cruise Control, Lane Departure Warning Aur Collision Warning Shamil Hain.

Toyota Corolla – 12th Generation

Pakistan Main Toyota Ko Most Popular Sedan Manufacturer Kehtay Hain, Aur Ye Baat Ghalat Bhi Nahi Hay. Laikin Us Nay Abhi Tak Pakistan Main Koi Hybrid Car Nahi Banai. Ab Lagta Hay Kay Pakistan Ki Auto Market Main Pehli Hybrid Technology Car Toyota Hi Lai Ker Aaey Ga. Laikin Zara Ruko, Sabar Karo! Is Main Kuch Waqt Lagay Ga.

Pakistan Most Anticipated Cars in 2023

Experts Ka Kehna Hay Toyota Corolla – 12th Generation 2023 Kay Mid Tak Asakti Hay. Is Ka Interior Innovative Design Hoga Aur Is Main Toyota Kay Traditional Lineup Ki Jhalak Bhi Nazar Aaey Gi.

Toyota Corolla – 12th Generation Kay Exterior Main Sleeker Lines Kay Sath Solid, Sharp Aur Smoother Accents Hongay. Is Ka Dashboard Perfectly Blended, Sporty Aur Luxurious Hoga. Phir Transmission 7-Speed CVT-I With Sequential Shift Hogi, Jo Is Ko Mazeed Impressive Bana Dai Gi.

Is Kay Safety Features Main Hill-Start Assist, Vehicle Stability Control, ABS, Pressure Monitoring System, Traction Control, 7 SRS Airbags Aur Brake Assist Shamil Hoga.

DFSK Glory 500

Pakistan Main DFSK Glory 500 Brand Ki Newest Product Hogi. Yeh Aik Subcompact Crossover Sports Utility Vehicle Hogi. Is Ki Aamad Say SUVs Ka Competition Mazeed Barh Jaey Ga.

Pakistan Most Anticipated Cars in 2023

Yeh Five Seater Crossover SUV Hay Jis Kay Engine Ki Capacity 1.5 Liter Hay. Is Main 4-Cylinder Petrol Engine Bhi Hay Jis Kay Several Features Is Ko Fantastic Bana Daitay Hain. Automatic Headlamps, Wipers, Electronic Parking Aur Brake Auto-Hold Feature Bhi Is Ki Khas Baat Hain.

Experts Ka Kehna Hay Kay Good Fuel Economy Aur Power Output Ki Waja Say Yeh Is Segment Main Good Choice Hogi. Glory 500 Say Aap Ka Driving Experience Mazeed Convenient Hojaey Ga. Engine Aik Button Say On Aur Off Honay Ka Feature Bhi Hay. Is Kay Safety Features Main Additional Airbags Emergency Ki Surat Main Best Option Hongay.

Suzuki Swift - 4th Generation

Is Saal Kay Liay Suzuki Nay Naya Swift Model Announce Kar Rakha Hay. Yeh Model Bhi 2023 Kay Middle Main Market Main Ajaey Ga.

Pakistan Most Anticipated Cars in 2023

Ye Suzuki Swift Ki Fourth Generation Hogi, Jo International Markets Main To March 2017 Main Launch Hoi Thi, Laikin Pakistanion Ko Yeh 2023 Main Naseeb Hogi.

Pakistani Market Kay Liye Is Car Main Diesel Engines Ki Choice Rakhi Jaey Gi, Jis Main 1.3L Aur 1.5L, 1.2L Gasoline, SVS Hybrid Aur 3-Chamber 1.0-Liter Shamil Hongi.

Changan UNI-T

Pakistan Most Anticipated Cars In 2023 Main Changan UNI-T SUV Ki Appearance Buhat Stylish Aur Modern Hay. Pehli Nazar Main To Yeh Aik Electric Vehicle Lagti Hay Laikin Ye Hay Nahi. Phir Bhi, Is Kay Features Daikhnay Say Ta'luq Rakhtay Hain.

Iss Kay Front Per Wide Grille Aur Sharp Split Headlights Hain. Iss Kay Ilawa Polygonal Tail Lights, Double Exhausts, Skid Plate, Spoiler Aur Back Per Fog Lights Is Ko Stylish Banati Hain. Side Body Per Polygonal Tail Light Design Nay Is Kay Look Ko Mazeed Dilkash Bana Diya Hay.

Pakistan Most Anticipated Cars in 2023

UNI-T Ka 1.5L Engine Aur 7-Speed DCT Transmission Aik Buhat Hi Khas Feature Hoga. Is Ka Interior Bhi Impressive Hay. Touchscreen Display, Electrically Adjustable Driver Aur Passenger Seats, T-Shaped Center Console Aur D-Shaped Steering Wheel Ka Standard Feature Is Ki Khas Baat Hogi.

Outstanding Baat Yeh Hay Kay Six Airbags, 19-Inch Alloy Wheels, ABS+EBD, Traction Control, Brake Assist, Hill Start Assist, Hill Descent Control, Blind Spot Assist Aur Electronic Stability Programme Ki Waja Say Yeh Customer Kay Liye Behtrareen Option Hogi.

In Kay Ilawa Bhi Kuch Aur New Models Pakistan Main Is Saal Nazar Aayen Gay. Umeed Hay Kay In Kay Aanay Say Auto Industry Aagay Barhay Gi Aur Competition Mazeed Barhay Ga.

شیئر

جواب لکھیں