Woh Aya, Us Nay Dekha Aur Fatah Kerlia. Yeh Jumla Aaj Sarfraz Ahmed Per Suit Kerti Hay, Jin Ki Test Team Main 3 Saal Baad Wapsi Hui Aur Is Shaan Say Hui Hay Kay Jaisay Woh Kabhi Bahar Hoay Hi Nahi Thay. Jab Kuch Pundits Saifi Ko Retirement Ka Mashwara Bhi Day Rahay Thay, Tab Unhon Nay Sab Ko Ghalat Sabit Ker Dikhaya Aur Consecutive 4 Test Innings Main 50+ Score Kiay, Wo Bhi Crisis Situation Main Aur Apni Selection Theak Sabit Kerdi.

Kaptani Chali Gai Aur Phir Team Main Jaga Bhi Haath Say Gai, Laikin Sarfraz Nay Himmat Nahi Hari. First Class Cricket Main Acchi Performance Di To Waheen National Team Kay First Choice Wicketkeeper Mohammad Rizwan Ki Batting Main Downfall Aaya. England Kay Against 3 Matches Ki Test Series Main Rizwan Aik 50 Tak Na Bana Sakay, Aur Wicket Kay Peechay Bhi Sirf 1 Catch Lay Paey.

Pakistan Ko Clean Sweep Hua, To Scene Badla, Pakistan Cricket Board Ki Management Change Hoi Aur New Chairman Aur Chief Selector Aatay Hi Team Main Bhi Badlao Aa Gaya.

Sarfraz Ki Entry

Is Setup Kay Aanay Say Pehlay Hi Sarfraz Ahmed Ki Entry To Ho Hi Chuki THi. New Zealand Kay Against Test Series Kay Liay Unhain Team Main Shamil Kiya Gaya. Sarfraz Nay Apnay Come Back Match Ki Pehli Hi Innings Main 86 Runs Bana Ker Critics Ko Chup Karwa Dia. Un Kay Liye Ye Match Is Liye Bhi Eham Tha Kyunke Ye Un Ka 50th Test Bhi Tha.

Phir Saifi 2nd Innings Main Bhi Us Waqt 53 Runs Score Kiye Jab Team Ko Un Say Aik Barri Innings Ki Expectation Thi.

Sarfraz Ka Jadu Yaheen Khatam Nahi Hoa Aur Baat 2nd Test Tak Ja Pouhanchi. Karachi Main, 2nd Test Ki 1st Innings Main Bhi Unhaon Nay 78 Runs Ki Brave Innings Kheli. Yahan Tak Ke New Zealand Nay Pakistan Ko Match Aur Series Jeetnay Kay Liye 319 Runs Ka Target Day Diya.

2nd Test Ka Hero Sarfraz

Target Chase Kertay Hoay Pakistan Ki 1st 2 Wickets To 0 Per hi Gir Gaein. Baqi Anay Walay Batters Bhi Koi Khaas Performance Nahi Dekha Sakay.

Sarfraz Jab Crease Per Aaey Tou Team Ko Un Say Solid Batting Ki Umeed Thi. Sarfraz Ka Sath Denay Saud Shakeel Bhi Crease Per Maujood Thay.

Donon "Local Boys" Nay Apni Buhat Si Cricket Is Ground Per Kheli Hay, Is Liay Unhain Pitch Kay Behaviour Ka Achi Tarah Andaza Tha. Yahan Sarfraz Nay Career Best 118 Runs Banaey Aur Pakistan Ko Shikast Kay Daagh Say Bacha Liya.

Sarfraz "Mard-e-Bohran" Ban Gaey

Sarfraz Nay 2 Test Matches Ki Series Main 335 Runs Score Kiye. Yeh Kisi Bhi Pakistani Wicket Keeper Kay 3 Ya Us Say Kam Tests Matches Ki Series Main Sab Say Ziada Runs Ka Naya Records Hay.

Former Captain Ko Un Ki Behtareen Performance Per Match Aur Series Kay Behtareen Player Ka Award Bhi Diya Gaya.

Test Team Ka Middle Order Crisis Khatam

Akela Babar Kya Karay?

Middle Order Mein Koi Sanbhalnay Wala Hi Nahi?

Ye Sawal To Hum Roz Suntay Aa Rahay Hain, Laikin Jawab Ab Ja Kar Mila Hay: Wo Hay Karachi Ka “S” Factor, Yani Sarfraz Ahmed Aur Saud Shakeel. Donon Nay 2nd Test Main Bhi Responsibility Nibhai.

1st Innings Main 150 Runs Ki Partnership Aur Phir Last Innings Main Bhi 123 Runs Donon Ki Kamal Performance Thi.

Safraz Ahmed Nay As A Wicket Keeper Batter, Wo Pakistan Ki Taraf Say Sab Say Ziada Runs Aur Fifties Bananay Walay Player Bhi Ban Chukay Hain.

InnsRunsHS50+
Sarfraz Ahmed90299211821
Kamran Akmal922648158*18
Moin Khan98258113718
Imtiaz Ahmed67201020914
Mohammad Rizwan411360115*9

2022 Mein Home Ground Par Aik Test Tak Na Jeetnay Walay Pakistan Kay Liay New Zealand Kay Khilaf Series Is Liay Bhi Important Thi Kyunke Ye PCB Kay New Setup Ka Pehla Imtihan Tha. Baqi To Jo Kuch Bhi Hua, Laikin Saifi Ustaad Nay Apna Kaam Dikha Dia Hay.

شیئر

جواب لکھیں