Sports Car Kay Shoqeen Hain? To Aap Kay Liye Aik Good News Hay. Italian Company Ferrari 2023 Main First Time 4 Doors SUV Introduce Kerwanay Jarahi Hay. Is Model Main Modern Day Demands Ka Poora Poora Khayal Rakha Gaya Hay.

Agar aap ferrari ko thora sa bhi jantay hain to aap ko sun kar hairat ho rahi hogi Ke Ferrari Bhi Sports Utility Vehicle (SUV) Banaey Ga? Jee Han, Yeh Such Hogaya Hay Aur Ab Ferrari Ki 2023 Purosangue Buhat Jald Market Main Ajaei Gi. Is Say Pehlay Porsche Aur Lamborghini Bhi 4 Door SUV Bana Chuki Hay. Iss Ultra Luxury Model Ka Competition Bentley Bentayga Aur Rolls- Royce Cullinan Say Hoga.

Features Kia Hain?

Purosangue Main Jahan Modern Day Kay Hisab Say Innovative Features Maujood Hain Waheen Is Ka Thundering V-12 Engine Is Model Ko Shandaar Aur Jaandar Bana Dai Ga.

Raftar Bharne Do

Car Start Honay Kay Sirf 3.3 Seconds Main 62 Miles Per Hour Ki Speed Tak Pauhanch Jai Gi. Aur Is Ka 6.5 Liter Powerful Engine 193 Miles Per Hour Tak Car Ki Speed Ko Lai Janay Ki Salahiyat Bhi Rakhta Hay. Suspension System Main, SUV Kay Charon Corner Per Aik Aik Motor Lagai Gai Hai Jo Iss Sports Car Kay Balance Ko Maintain Rakhnay Main Faida Mand Rahay Gi.

Is Model Main Traditional Anti-Roll Bars Ki Zarorat Nahi Hogi Aur Na Hamwar Rastay Per Bhi Araam-Deh Rides Ho Sakain Gi.

Price Kitni Hay?

Ager Aap Kay Pass 4 Lakh Dollars Ya 9 Crore Pakistani Rupees Hain To Aap Ferrari Ki Ye SUV Zarur Khareedain Gay. Kion Kay Is Model Main Kuch Luxury Aur Performance Based Features Bhi Shamil Kiye Jarahay Hain Jo Kisi Aur Brand Ki SUV Main Nahi Thay.

Fuel Economy

V-12 Powered Purosangue Bilashuba Ferrari Ki Least Fuel-Efficient Offering Hay. Is Kay Fuel Economy Ki Details Ager Chay Abhi Tak Samnay Nahi Aei Hain Leken 12-Cylinder Bentayga Ki Fuel Rating Bauhat Hi Alla Hay. Is Ki Earn Ratings Main 12 Mpg City, 17 Mpg Highway, Aur 14 Mpg Combined Hay.

Interior Kaisa Hoga?

Ferrari Kay Yeh Woh Wahid Model Hay Jo 4 Riders Ko Space Daita Hay. Is Kay Slick Rear-Hinged Coach-Style Rear Doors Dekhnay Say Taluq Rakhtay Hain.

Raftar Bharne Do

Purosangue Kay Interior Main Ferrari-Quality Materials Lagay Gai Hain Jo Is Ki Value Ko Mazeed Barha Daitay Hain.

Car Kay Ziada Tar Controls Steering Wheel Say Chalay Jaein Gay. Surprise Ki Baat Yeh Hay Kay Center-Mounted Infotainment Touchscreen Is Main Shamil Nahi Ki Gai Hay.

Raftar Bharne Do

Creativity

Is SUV Main Koi Centrally Mounted Infotainment Display Tou Nahi Hay, Tahaam 10.2-Inch Digital Gauge Cluster Aur Separate 10.2-Inch Screen  Front Passenger Kay Liye Di Gai Hay.

Raftar Bharne Do

Apple Carplay Aur Android Auto Dono Standard Qualities Is Main Moujoud Hain. Is Main Koi In-Dash Navigation System Nahi Diya Gaya Hay.

Driver-Assistance Features

Purosangue Main Bauhat Saray Driver-Assistance Features Bhi Diye Gaey Hain Jin Main Automated Emergency Braking, Automatic High-Beam Headlamps, Aur Adaptive Cruise Control Shamil Hoga.

Experts Ka Kehna Hai Is Main Kuch Aisay Features Nahi Hain Jo Ager Purosangue Main Shamil Hotay Tou Chaar Chand Lag Jatay. Jaisay Ager Is Ki Front Seats Per Massaging Ka Feature Bhi Moujod Hota Tou Yeh Pooray Din Ki Thakun Ya Long Driver Kay Baad Stress Doar Kernay Kay Liye Madadgar Sabit Hota. Electrochromic Glass Roof Say Sunseekers (Dhoom Khanay Kay Shouqeen Afraad) Kay Zouq Ka Khayal Bhi Rakha Jata Tou Maza He Ajata, Lekin Koi Baat Nahi, Anay Walay Years Main Shahyed Aisay Features Include Kerliye Jaein.

Dilchasp Baat Yeh Hay Kay Ferrari Kay Deegar Models Ki Tarhan Is Model Main Bhi 7 Years Ki Complimentary Scheduled Maintenance Ki Facility Hay.  

Ferrari Kay Fans Hopeful Hain Kay Year 2023 Main Purosangue Dhoom Macha Ker SUV Range Main Revolution Lai Aei Gi, Tahaam Iss Kay Liye Thora Intezar Kerna Hoga.

شیئر

1 تبصرہ

جواب لکھیں