Aksar Zehreelay Saanp Bohat Khubsurat Hotay Hain. Wo Apni Dilkashi Se Skhikar Ko Lubhatay Hain. Usay Mesmerize Kar Detay Hain Aur Phir Apnay Zehar Se Shikar Ko Maut Ki Neend Sula Detay Hain. Wo Bhi Apnay Shikar Ko Apni Handsome Personality Se Impress Karta Tha, Apni Baaton Ke Jaal Main Usay Phansa Kar Usay Bebas Kar Deta Tha Phir Zehar Ya Kisi Aur Tareeqay Se Apnay Victim Ki Jaan Le Leta Tha. Saanp Ki Speed Aur Skin Badalnay Ki Ability Bhi Mashhoor Hay. Wo Bhi Apna Kaam Barq Raftari Se Karta Tha Aur Behroop Badalany Ka Mahir Tha. Isi Liye Dunya Ke Badnam Serial Killer Charles Sobhraj Ko ‘The Serpent’ Bhi Kaha Jata Tha.

Charles Sobhraj
Chalres Sobhraj, 1997 Main Paris Main. Courtesy Sipa Press/Newscom

Charles Sobhraj Kaun Hay?

70s Main Bikini Killer Aur The Serpent Ke Naam Se Jana Janay Wala Charles Sobhraj France Main Pala Barha.  Chhoti Umar Hi Se Se Chori Chakari Karnay Laga. Jawani Ki Ibtida Main Hi Jail Gaya Magar Harkaten Na Badleen. Girfatrai Se Bachnay Ke Liye Apni Pregnant Biwi Ke Sath Fake Documents Per Eastern Europe Se Hota Hua Asia Main Aaya Aur Mukhtalif Mulkon Main Fraud Aur Drugs Related Crime Karnay Laga. Us Ke Biographers Ke Mutabiq Us Ne Pehla Qatal 1972 Main Pakistan Main Aik Taxi Driver Ka Kiya Tha.

1973 Main Mumbai Ke Ashoka Hotel Main Jewelry Ki Dukan Main Armed Robbery Ke Dauran Pakra Gaya Magar Jail Se Bhag Nikla. Us Ke Baad Wo 10 Se Zyada Fake Passports Per Iran, Afghanistan, Turkey Aur Europe Ke Mukhtalif Mulkon Main Raha Phir Thai Land Chala Gaya.

1975 Main Wo Greece Main Robbery Ke Ilazm Main Arrest Hua Magar Jail Main Aag Laga Kar Farar Ho Gaya. Usi Saal Us Ne Thailand Main Allegedly At Least 6 Logon Ko Qatal Kiya Jin Main Kai Larkiya Aur Aik Dutch Couple Shamil Tha.Kai Larkion Ke Lashen Costume Main Mili Theen Isi Liye Usay Bikini Killer Ka Naam Diya Gaya.

Us Ke Zyada Tar Victim Western Tourist Aur European Hippie Thay Jin Se Wo Drug Ya Gem Dealer Ban Kar Dosti Karta. Baad Main Un Ko Kisi Drink Main Zehar Ya Behoshi Ki Dawa Mila Kar Pila Deta. Phir Un Ko Gala Ghont Kar Mar Deta Aur Un Ke Paisay Aur Documents Chura Leta Tha.

Raftar Bharne Do
May 1976, Bangkok Ke Newpaper Main Charles Sobhraj Se Mutaliq Khabar. Courtesy Herman Knippenberg

Delhi Ki Tihar Jail Se Farar

Thailand Main Aik Ke Baad Aik Qatal Huvay Tou Police Ne Zor O Shor Se Us Ko Dhundna Shuru Kar Diya. Dutch Couple Ke Qatal Per Netherlands Ke Diplomat Bhi Us Ki Girftari Ke Liye Dabao Daal Rahay Thay Aur Interpol Ko Bhi Aagah Kar Chukay Thay. Thai Police Se Bachnay Ke Liye Charles Sobhraj Dobara India Aa Gaya. India Main Bhi Us Ne Crime Jari Rakhay Aur 2 Afrad Ke Muder Ke Ilzam Main Pakra Gaya. 1977 Main Usay 12 Saal Qaid Ki Saza Hui Aur Delhi Ki Infamous Tihar Jail Main Rakha Gaya Magar 1986 Main Wo Wahan Se Bhi Bhaag Nikla. Kuch Hi Din Baad Usay Goa Se Arrest Kiya Gaya Aur Us Ki Saza 10 Saal Mazeed Barha Di Gayi.

Raftar Bharne Do
April 1977, Charles Sobhraj Ko Delhi Ki Tihar Jain Le Jaya Ja Raha Hay.

1997 Main Wo Jail Se Riha Hua Aur Dobara France Chala Gaya Tha. 2003 Main Jab Wo Nepal Gaya Tou Wahan Ki Polce Ne Bhi Usay 1975 Main Aik American Tourist Ke Murder Ke Ilzam Main Arrest Kar Liya. Court Ne Usay Life Imprisonment Ki Saza Sunai Thi. Magar Ab Adalat Ne Unhen Medical Grounds Per Release Kar Ke France Bhejnay Ka Hukm Diya Hay. Sobhraj Ki Age 78 Years Ho Chuki Hay Aur Wo Dil Ki Bimari Main Mubtala Bataya Jata Hay.

Raftar Bharne Do
Charles Sobhraj Ke Crime Ka Circle Kai Mulkon Tak Phela Hua Tha.

Last Year Netflix Per BBC Ki Aik Series “The Serpent” Pesh Ki Gayi Jo Franc Eke Is Badnam Conman Aur Serial Killer Ki Zindagi Per Banai Gayi Thi. Is Main Chalers Sobhraj Ka Role Tahir Rahim Ne Ada Kiya Tha. Bollywood Main Bhi Us Ki Zindagi Per "Main Aur Charles" Nami Film Ban Chuki Hay.

Raftar Bharne Do
Charles Sobhraj Ki Rihai 1
شیئر

جواب لکھیں