ye to hum sabhi jantay hain ke exercise jismani mazbooti kay liay kitni achi hay. health behtar say behtar hoti jati hay, laikin aap ko maloom nahi hoga ke is ka dimagh par kya impact parta hay?

aik aisay daur mein, jis mein Stress, Depression Aur Anxiety har taraf pheli hui hay, ye sawal zehn mein aata hay ke kya physical exercise ka mental health par bhi koi asar parta hay? jee haan! Science Exercise Ko Brain Relaxing Method kehti hay.

Psychiatrists And Neuroscientists kehtay hain ke Depression Aur Fatigued Patients Ko Laazmi Apnay Routine Main Exercise Ko Shamil Karna Chahiye. Aisa Karnay Say Un Ki Life Aur Daily Routine donon Main Behtar Tabdeeli Aati Hay.

Brain Biology Aur Exercise

daily workout ya Exercise Brain Biology ko Change karti Hay. laikin Sirf Walk Karnay say Ya Halki Phulki Exercise say baat nahi banay gi, Balkay Daily Aik Set Routine Main Exercise Karna zaruri Hay. Cardio exercises lazmi hon kyunkay ye Aap ki Brain Biology Ko Change Karnay Main Madagar Sabit Hoti hain. is say dimagh mein rozana new neuronal connections bantay hain aur is kay important hisson mein naey cells generate hotay hain. cardio kay ilawa Aerobic Aur High-Intensity Interval Training Exercises Bhi Zaropri Hain.

Waisay Moderate Exercise Kay Bhi Immune System Par Effects Partay Hain. Aap Kay Neurotransmitters Strong Hotay Hain, Aur Aap Aik Active Lifestyle Guzaartay Hain.

Exercise Ka Magic

Execise Kay Brain Function Per Measurable Effects Partay Hain. Study Main Depression Aur Anxiety Kay Symptoms Ko Bhi Note Kiya Gaya Hay. Exercise Karnay Say Memory Bhi Behtar Hoti Hay. Is Ka Cognitive Performance Aur Academic Achievement Per Bhi Asar Parta Hay. Phir Regular Exercise Ka Depressive Symptoms Per Bhi Effect Hota Hay Aur Yeh Psychotherapy Say Behtar Hay.

Laikin Experts Kehtay Hain Ke Anxiety Aur Mental Health Kay Liye Sirf Exercise Kafi Nahi. Agar Kisi Ko Koi Medicines Bhi Prescribe Ki Gai Hain To Mental Health Care Kay Liye Exercise Ko Replacement Qaraar Nahi Diya Ja Sakta, Balkay Medicines Aur Exercise Dono Ko Sath Sath Lay Kar Hi Chalna Hoga.

Exercise Kay Aur Benefits

Waisay Exercise Kay Kai Doosray Neurobiological Impacts Bhi Hotay Hain. Jaisa Ke Jab Aap Walk Par Jatay Hain To Sun Light Ka Exposure Milta Hay. Fresh Air Aur Nature Ki Beauty Bhi Aap Kay Mood Aur Health Per Acha Asar Dalti Hay.

شیئر

جواب لکھیں