Aaj Kal Ki Fast-Paced Life Main Jahan Sahuliyat Ziada Hain, Waheen Pareshaniyan Bhi Kam Honay Ka Naam Nahi Laiteen. Depression, Anxiety Aur Mental Stress To Ab Aam Ho Chuka Hay, Especially Young Generation Mein. Aayen Aap Ko Kuch Aisi Mobile Apps Batayen Jo Anxiety Kum Karnay Mein Madad Day Sakti Hain.

Anxiety Stress Ki Waja Say Hoti Hay, Aur Ho Jaey To Raat Ko Neend Nahi Aati, Din Mein Aaram Nahi Milta, Kaam Main Dil Nahi Lagta Aur Thakan Zehn Par Sawar Rehti Hay. Focus Aur Concentration Buhat Kum Ho Jati Hay. Kabhi Kabhi To Heart Rate Increase Ho Jati Hay Aur Rapid Breathing Jaisay Maslay Bhi Samnay Aatay Hain.

Pur-Sukoon, Shaant, Calm!

Anxiety Ko Control Kernay Kay Liye Calm Buhat Maqbool Horahi Hai. Is App Main Maujod Aik Feature Aap Kay Daily Mood Ka Record Rakhta Hay. App Main Mood Ki Report Banti Rehti Hai, Aur Free Version Main Bhi User Kay Liye Guided Exercises Hain. Phir, Meditative Audio Say Bhi Anxiety Aur Stress Ko Kaam Kernay Mai Madad Milti Hay.

Calm Kay Features Main Nature Sounds Aur Sleep Stories Bhi Shamil Hain, Jin Say Aap Pur-Sukoon Neend Lay Saktay Hain. Taham, In Features Kay Liye Subscription Darkaar Hoti Hai.

Is App Ka 1 Week Ka Free Trial Hota Hay. Jis Kay Baad User Per Depend Kerta Hay Kay Woh Is Ki Subscription Hasil Kerta Hay Ya Nahi.

Neend Aaey Gi!

Agar Aap Ko Neend Main Masail Ka Samna Hai Tou Is App Main Aap Ki Is Mushkil Ka Hal Maujoud Hai. Nature Sounds Main Aisi Gentle Sounds Aur Sights Maujood Hain Jo Aap Ki Neend Kay Hawalay Say Madadgar Sabit Hosakti Hain.

Barish Say Aur Bird Sounds Tak, Is App Main Sab Shamil Hay. App Timer Ko Set Kar Kay Aap Jab Tak In Features Ko Enjoy Kerain Gay, Tab Tak Ap Ko Neend Bhi Ajaey Gi.

Yaad Rakhain, Nature Sounds Say Stress Kaam Hota Hay Aur Isi Liye Yeh App Anxiety Reduce Kernay Mai Bhi Behtar Rahay Gi.

Coloring Buhat Zaruri

Colorfy App Un Logon Kay Liye Best Hay, Jo Coloring Kay Zariay Sukoon Hasil Karnay Ki Koshish Kartay Hain. Is Main Different Coloring Options Maujod Hain.

2020 Ki Aik Study Report Kay Mutabiq Coloring Kar Kay Logon Main Anxiety Kam Karnay Mai Madad Milti Hay.

Iss Ap Main Ziyada-Tar Images Per Color Karna Free Hay. Haan! Full Library Tak Access Kay Liye User Ko Subscription Lena Paray Gi.

What’s Up? A Mental Health App

Jahan WhatsApp Aap Ko Anxiety Aur Frustrator Aur Stress Deta Hay, Waheen What’s Up Aap Ko Aisi Jazbaat Control Karnay Main Madad Deti Hay. Iss Free Application Main Aisi Diary Moujoud Hai Jis Main Aap Apna Daily Mood Aur Habits Note Kar Saktay Hain.

Iss Mai Shamil Feelings Tracker Aap Kay Emotions Ko 1–10 Rate Karta Hay. Iss Main Positive Aur Negative Habit Tracker Bhi Hay. Jis Say Aap Healthy Habits Ko Apnanay Kay Goals Bhi Set Ker Saktay Hain.

Agar App Kay User Ko Kabhi Panic Attack Ho Tou Iss Main Aisay Game Bhi Shamil Hain Jo Stress Ko Reduce Karnay Main Helpful Rehtay Hain.

Yeh Apps Aap Ko Anxiety Say Relax Karkay Pur-Sukoon Banati Hay.

شیئر

جواب لکھیں