Aik Normal Insaan Laitnay Kay Baad 10 Say 20 Minute Mein Hi Neend Ki Wadi Mein Chala Jata Hay. Laikin Hamari Generation To ‘Normal’ Hay Hi Nahi. Un Ka To Sab Say Bara Masla Hi Yahi Hay Ke Unhain Neend Nahi Aati. Experts To Kehtay Hain Neend Dair Say Aanay Yani Poor Sleep Latency Ki Aik Waja Hay Anxiety Ya Mental Stress. Jo Hamari Youth Ka Aik Bara Masla Hay. To Kya Karain? Aaen Aap Ko Batatay Hain Kuch Aisi Tips, Jo Aap Ko Jaldi Sonay Mein Madad Dain Gi. In Tips Ko Military Method Bhi Kaha Jata Hay.
Ideal Position
Pehlay Number Per Ap Ko Chahiye Ke Bistar Par Apni Ideal Position Mein Letain. Apnay Chehray, Eyebrows, Lips, Eyelids, Mouth Ko Relax Rakhain, Hathon Ko Relaxed Halat Main Layein. Shoulders, Elbows Aur Wrists Ko Bhi Pur-Sukoon Rakhain. Letay Letay Apnay Chest Ko Bhi Relax Rakhain Aur Ahista Ahista Gehray Sans Lain. Ab Jism Kay Nichlay Hissay, Waist Say Laiker Feet Tak Ko Aaram-De Halat Main Layein.
Phir Aisay Manazir Kay Baray Mai Sochain Jin Say Aap Ko Sukoon Milta Hay. Aisa Kernay Say Aap Ka Mental Stress Kam Hota Hay Aur Aap Ko Jald Neend Aa Jaey Gi.
20 Minute Rule
Agar Aap Ko Letay Hoay 20 Minutes Ho Gaey, Aur Aap Ko Neend Nahi Arahi Hai Tou Aap Ko Apni Position Badalna Hogi. Aap Ko Chahiye Ke Bed Say Uthain Aur Woh Kaam Karain Jis Say Aap Relax Hotay Hain. Yeh Koi Hobby Bhi Hosakti Hai, Ya Aap Book Reading Bhi Kar Saktay Hain. Is Say To Aap Ko Zarur Neend Aa Jaey Gi.
Waisay Koi Quran-e-Pak ki Tilawat Bhi Suni Jasakti Hai. Gentle Yoga Stretches Bhi Aap Ko Pur Sukon Bana Deti Hain. Nahanay Ya Herbal Tea Peenay Say Bhi Neend Aa Sakti Hai.
Ye Baat Yaad Rakhain Ke Agar Aap Pur-Sukoon Neend Nahi Lay Rahay Tou Yeh Aap Ki Sehat Kay Liye Buhat Nuqsan-De Hay.
Neend Puri Na Honay Say Ap Kay Mood, Metabolism, Cognitive Skills, Immune System Sab Mutasir Hosakta Hay. Is Liye Apnay Zehan Ko Pur-Sukoon Rakhtay Hoye Poori Neend Hi Sehat-Mand Zindagi Ki Zamin Hay.