Pakistan Ke Aksar Elaqon Main In Dinon Sardi Aa Chuki Hay. Sardi Se Bachnay Ke Liye Tarah Tarah Ke Jatan Kiye Jatay Hain. Is Silslay Main Kuch Log Baaz Cheezon Main Negligence Dikhatay Hay Jis Ki Wajah Se Kabhi Kabhi Nuqsan Bhi Uthana Parta Hay. Is Liye Sardi Main Kuch Baton Ka Khayal Rakhna Bohat Zaruri Hay.

1. Heater Chalta Chhor Kar Na Soyen

Raftar Bharne Do
Sardi Ki 7 Ahtiyaten 1

Akasr Aisay Incidents Media Main Report Hotay Hain Ke Log Sotay Huvay Gas Heater Jala Kar So Jatay Hain Jis Ki Wajah Se Oxygen Ki Kami, Heater Band Ho Janay Se Gas Bhar Janay Ya Aag Lag Janay Se Maut Ki Neend So Gaye.

Is Liye Gas Heater Pehlay Se Jala Lain, Jab Room Temperature Munasib Ho Jaye Tou Sonay Se Pehlay Heater Aur Gas Hamesha Band Kar Kae Soyen.

Lakri Ya Coal Jala Kar Sonay Main Bhi Cautious Rahen Ke Karma Bilkul Band Na Ho, Ventilation Hoti Rahay. Coals Aur Burning Logs Ko Wahana Jalayen Jahan Se Aag Phelnay Ka Khatra Na Ho.

Jahan Har Waqt Heater Ke Zarurat Ho Wahan Behtar Hay Ke Electric Heater Use Kiya Jaye Lekin Ventilation Ka Khayal Rakha Jaye.

2. Geyser Ke Use Main Precautions

Raftar Bharne Do
Sardi Ki 7 Ahtiyaten 2

Sardion Main Tap Ya Shower Main Pani Bohat Zyada Garam Ho Sakta Hay. Is Liye Pehlay Tap Ya Shower Khol Kar Pani Bahayen Takay Uskay Temperature Ka Andaza Ho Sakay, Us Ke Baad Shower Lain Ya Haath Dhoyen.

Isi Tarah Electric Geyser Main Fault Se Tap Ya Pani Main Current Aa Sakta Hay. Electrical Geyser Ki Maintenance Ka Khayal Rakhen Aur Use Main Cautios Rahen.

Sardion Main Thnaday Pani Se Mat Nahayen Warna Beemar Par Saktay Hain.

Bachon Ko Bhi Samjhayen Ke Wo In Precautions Per Amal Karen.

3. Gas Cylinder Ahtiat Se Use Karen

Raftar Bharne Do
Sardi Ki 7 Ahtiyaten 3

Sardi Main Pakistan Ke Kai Shehron Main Natural Gas Ki Load Shedding Ki Jati Hay. Aisay Main Log Khana Pakanay Ke Liye Gas Cylinder Ka Use Karnay Per Majbur Hotay Hain. Agar Aap Ko Bhi Gas Cylinder Use Karna Paray Tou Sab Se Pehlay Ye Khayal Rakhen Ke Cylinder Achi Company Ka Ho. Us Main Capacity Se Kam Gas Bharwayen. Koshish Karen Ke Cylinder Kisi Khuli Jaga Per Rakhen. Pipe Fitting Kisi Mahir Plimber Se Karayen. Khana Pakanay Ke Baad Stove Ke Saath Saath Cylinder Bhi Yaad Se Band Kar Den.

Ghar Ki Gas Line Main Compressor Kabhi Na Lagayen, Ye Illegal, Unethical Honay Ke Saath Saath Bohat Dangerous Bhi Hay. Compressor Ki Wajah Se Aag Lagnay Ke Kai Incidents Pesh Aa Chukay Hain.

4. Driving Main Ahtiat Karen

Raftar Bharne Do
Sardi Ki 7 Ahtiyaten 4

Sardiyon Main Fog Aur Smog Bohat Zyada Ho Jati Hay. Aisay Mausam Main Gher Zaruri Safar Na Karen. Agar Safar Karna Par Jaye Tou Bohat Ahtiyat Karen. Fog Lights Use Karen, Speed Kam Rakhen, Gari Ki Screen Saaf Rakhnay Ke Liye Heater Sahi Rakhen.

Motorcycle Per Safar Karnay Walay Aksara Apna Aik Hath Jeb Main Daal Letay Hain. Is Se Accident Ka Khatra Barh Jata Hay. Hamesha Gloves Use Karen Takay Bike Chalatay Huye Aap Ke Haath Sunn Na Hon.

5. Sardi Ki Munasibat Se Libas Pehnen

Raftar Bharne Do
Sardi Ki 7 Ahtiyaten 5

Sardi Main Mausam Ki Shiddat Ke Lehaz Se Libas Pehnen. Kuch Log Ahtiat Nahi Kartay Aur Sweater, Jacket Waghera Nahi Pehntay Jis Se Beemar Parnay Ke Chances Barh Jatay Hain. Sakht Sardi Main Bahar Niklen Tou Gloves, Jacket Waghera Zarur Pehnen. Kaan Bhi Dhanp Kar Rakhen.

6. Khanay Peenay Main Ehtiat Karen

Raftar Bharne Do
Sardi Ki 7 Ahtiyaten 6

Sardi Main Bhook Khoob Lagti Hay, Aur Spicy Dishes Khanay Ka Dil Karta Hay. Is Silslilay Main Bhi Ahitiyat Ka Daaman Haath Se Na Choren. Over Eating Na Karen. Mausam Ki Munasibat Se Khana Khayen. Zyada Thandi Cheezen Khanay Peenay Se Guraiz Karen. Warna Flu Aur Fever Asani Se Aap Ko Apna Shikar Bana Len Gay.

7. Vulnerable Afrad Ka Khayal Rakhen

Raftar Bharne Do
Sardi Ki 7 Ahtiyaten 7

Sardi Se Bachay Aur Buzurg Zyada Mutasir Hotay Hain. Tou Agar Aap Ke Ghar Mian Bhi Buzurg Ya Bachay Hon Tou Un Ko Sardi Se Bachanay Ka Khusui Khayal Rakhen. Isi Tarah Gahreeb Aur Homeless Afrad Ke Liye Sardi Bara Imtehan Ban Jati Hay. Aisay Logon Ko Agar Aap Blankets Aur Jackets Waghera Provide Kar Ke Apni Humanitarian Duty Puri Kar Saktay Hain.

شیئر

جواب لکھیں