Dunya Ke Ameer Tareen Shaks Elon Musk Ka Shayad Khayal Tha Ke Twitter Ka Malik Bannay Ke Baad Un Ki Popularity Barhi Hay. Agar Wo Twitter Ke CEO Ki Post Chhornay Ka Faisla Karen Gay Tou Logon Ki Akasariyat Un Ki Minnat Samajat Karay Gi Aur Unhen Roknay Ki Koshish Karay Gi. Isi Khush Fehmi Main Unhon Ne Twitter Per Poll Karaya Ke Kiya Unhen Ye Ohda Chhor Dena Chahiye? Unhon Ne Wada Bhi Kiya Ke Wo Poll Ke Result Per Amal Karen Ge.

Poll Main 1 Crore 75 Lakh Se Zyada Logon Ne Hissa Liya Aur 57% Yani Almost 1 Crore Afrad Ny Un Ke Khilaf Vote Diya.

Shayad Elon Musk Ko Is Result Ki Expectation Nahi Thi, Isi Liye Tou Unhon Ne Apna Koi Substitute Bhi Nahi Dhunda Hua Tha. Poll Ke Baad Unhon Ne Kaha Ke Jesay Hi Un Ko Koi ‘Foolish Enough’ Person Mila Wo Resign Kar Den Gay Aur Us Ke Baad Wo Sirf Software Aur Servers Ki Teams Chalayen Ge.

Twitter Per Criticism Kiun Ho Rahi Hay?

October Main Twitter Ko $44 Billion Main Kharidnay Ke Baad Se Elon Musk Ne Aisay Bohat Se Kaam Kiye Hain Jin Per Un Ko Criticism Ka Samna Karna Para.

Sab Se Pehlay Unhon Ne Twitter Ke 50% Staff Ko Job Se Nikal Diya. Twitter Per Verified Blue Tick Account Ke Liye Payment Program Announce Kiya, Phir Kuch Issues Ki Wajah Se Wo Rok Diya Gaya Aur Ab Last Week Dobara Shuru Kiya Gaya Hay. Unhon Ne Twitter Per Dusray Social Media Platforms Ke Links Share Karnay Per Bhi Pabandi Laga Di Hay. Elon Musk Ne Aik Poll Ke Baad Ex Us President Donald Trump Ka Account Bhi Reinstate Kar Diya Tha.

Civil Liberties Groups Ne Content Moderation Main Un Ki Approach Ko Criticize Kiya. Ilzam Lagaya Ke Is Se Hate Speech Aur Misinformation Barhay Gi.

Last Week Musk Ne Twitter Aur Musk Ki Coverage Karnay Walay Kuch Journalist Ke Accounts Ko Suspend Kar Diya Tha Jis Per United Nations Ne Bhi Un Ko Condemn Kiya. UN Ne Tweet Kiya Ke Media Freedom Koi Toy Nahi Hay. EU Ne Threat Kiya Ke Yehi Harkaten Rahi Tou Twitter Per Sanctions Bhi Laga Saktay Hain.

Elon Musk Ke Mutabiq Twitter Ka Naya Head Talash Karna Aik Challenge Ho Sakta Hay. Musk Ne Reportedly Last Month Apnay Workers Ko Kaha Tha Ko 2023 Main Company Se Kai Billions Dollars Ka “Net Negative Cash Flow” Ho Sakta Hay Aur “Bankruptcy” Bhi Out Of Question Nahi Hay.

Poll Ke Baad Aik Tweet Main Jab Claim Kiya Gaya Ke Musk Ne Naye CEO Ko Select Kar Liya Hay Tou Musk Ne Jawad Diya Ke Unhon Ne Tweet Kiya Ke Koi Bhi Aisa Nahi Mil Raha Jo Twitter Ko Zinda Rakh Sakay.

Twitter Ka Naya CEO Kaun Ho Sakta Hay?

Kuch Log Speculate Kar Rahay Hain Ke Twitter Ke Co-Founder Jack Dorsey Dobara Ye Post Sanbhal Saktay Hain. Unhon Ne November 2021 Main Resign Kar Diya Tha. Dusray Naamo Main Facebook Ki Former CEO Sheryl Sandberg, Musk Ke Qareebi Dost Aur Engineer Sriram Krishnan, US Ke Ex-President Donald Trump Ke Son In Law Jared Kushner Ka Naam Bhi Liya Ja Raha Hay.

Past Main Musk Ne Twitter Polls Per Amal Kiya Hay. Wo Aksar Aik Latin Pharse Quote Kartay Hain Vox Populi, Vox Dei, Yani Voice Of Prople Voice Of God Hoti Hay. Magar Latest Poll Main Unhon Ne Confirm Kiya Ke Ab Twitter Per Har Kisi Ki Voice Nahi Suni Jaye Gi. Policy Matters Per Poll Main Sirf Paid Subscriber Vote De Saken Gay.

Ye Jawab Unhon Ne Chief Operating Officer Ki Post Chornay Ke Poll Main Aik Tweet Ke Jawab Main Diya. Aik Tweet Main Claim Kiya Gaya Ke  Musk Ke Khilaf Zyada Tar Votes Bots Ne Diye Hain. Is Per Elon Musk Ne Likha Ke “Interesting”.

Experts Kehtay Hain Ke Elon Musk Waqai Main Twitter CEO Ki Post Chhorna Chahtay Hain. Kiun Ke Investors Un Ko Is Ke Liye Push Kar Rahay Thay Jo Samjhtay Hain Ke Twitter Ki Wajah Se Musk Tesla Per Focus Nahi Kar Pa Rahay. Aik Saal Main Tesla Ki Share Price 65% Kam Hui Hay.

Behar Haal Agar Musk Twitter Ke CEO Ki Post Chhor Bhi Den Tab Bhi Wo Company Ke Malik Rahen Ge Kiun Ke Koi Bhi Un Se Utni Qeemat Per Twitter Kharidnay Ke Liye Tayyar Nahi Ho Ga Jo Unhon Ne Di Hay.

شیئر

جواب لکھیں