Ye Twitter Par #RIP_Twitter Kiun Trend Kar Raha Hay. Kiya Twitter Band Honay Jaraha Hay? International Media Kay Mutabiq Sekron Mulazmeen Resign Kar Chukay Hain. Twitter Nay Apnay Offices Bhi Aarzi Tor Par Band Kardiye Hain.
16 November Ko Twitter Kay Naye Maalik Elon Musk Nay Employees Ko E mail Ki. “Mehnat Say Kaam Karen Ya Company Chor Dain. Employees Mail Ka Jawab “Yes” Likh Kar Dain Warna 3 Maheenay Ki Salary Lay Kar Ghar Chalay Jayen. Twitter Employees Shayad Moqay Kay Intezar Main Thay . Dhara Dhar Resign Karna Shuru Hogaye.
Abb Twitter Ka Kaam Kon Karega? Elon Musk Pehle Hi 50% Employees Ko Farigh Kar Chukay Hain. Lagta Aisa Hay Kay Elon Musk Bhi Twitter Ki Tabahi Chahtay Hain. Musk Nay Pehle Death emoji Tweet
Blue Tick Maamlay Nay Bhi Twitter Ki Saakh Kharab Ki. 10 November Ko Blue Tick Bara e Farokht Howe To Jaal Sazon Nay $8 Ka Blue Tick Khareed Kar Bari Bari Companies Ko Billion Dollars Ka Nuqsaan Puhnchaya.
Elon Musk Ka Tabahi Plan Daikh Kar Log Twitter Kay Best Alternatives Talash Kar Rahay Hain