Sardi Aa Chuki Hay Aur Northern Areas Main To Baraf Bari Bhi Shoro Ho Gai Hay. Is Liay National Disaster Management Authority (NDMA) Nay Tourists Kay Liye Zaroori Instructions Jaari Kar Di Hain.

Agar Aap Winter Tourism Ka Program Bana Rahay Hain Aur Baraf Bari Dekhnay Ja Rahay Hain, To In Hidayaat Ko Aik Baar Zaroor Parhain. Aur Agar Aap Ka Koi Jan’nay Wala Jana Chah Raha Hay To Un Say Share Karain.

Tourists Kay Liay Hidayaat

Winter Tourism
  1. Weather Forecast Ko Rozana Ki Bunyad Par Dekhain. Pakistan Meteorological Department Ki Website Par Nazar Rakhain. Weather Ki Mobile APP ‘PDM Weather’ Mobile Main Install Karlain.
  2. Social Media Par Un Ilaqaon Kay Groups Join Karain. Is Kay Ilawa Twitter Handlers Ko Bhi Follow Karain. Maslan Agar Aap Naran Jana Chahtay Hain To Facebook Par Naran Kay Groups Join Kar Lain Aur Twitter Par Aisay Kisi Handle Ko Follow Karain Jis Main Ziada Say Ziada Relevant Information Mojoud Ho.
  3. NDMA, PDMA Aur GBDMA Ki Websites Par Ilaqay Kay Hawalay Say Alerts Ya Advisories Ko Bhi Dekhtay Rahain.
  4. National Highways & Motorway Police (NH&MP) Ki Website Ko Dekhtay Rahain. Ya Un Ki Mobile App Install Karlain. In Ki Helpline 130 Ka Number Apnay Mobile Main Save Kar Lain To Ziada Behtar Hay.
  5. Agar Apni Gari Par Jana Hay To Mechanic Ko Check Karayen Aur Us Ko Batayen Kay Aap Nay Baraf Bari Dekhnay Jana Hay. Agar Woh Engine Oil Ya Kuch Aur Bataye To Sath Rakh Lain. Petrol Pupms Ki Kami Ki Waja Say Koshish Karain Gari Ka Petrol Tank Kisi Bhi Waqt Adhay Say Kam Na Ho.
  6. Anti-Skid/Tyre Chains Apnay Shehar Say Lay Kar Niklain. Instant Puncture Ka Thora Bohat Saman Aur Automatic Air Pump Bhi Rakh Lain To Behtar Hay.
  7. Winter Tourism Garam Kapray, Shoes, Socks Rakhain Aur Agar Upper Parachute Ka Ho To Ziada Behter Hay. Baaz Ilaqaon Main ATM Dastyab Nahi Hoga, Is cheez Ka Bhi Khiyal Rakhain.
  8. Tamam Afrad Ki Mumkina Beemari Kay Liye Medicines Rakhain. Sinus Kay Mareez Apnay Inhaler Ya Ho Sakay To Nebulizer Bhi Sath Rakhain.
  9. Aap Kaheen Bhi Hon, Aap Kay Paas 24 Ghantay Kay Liay Khanay Peenay Ka Stock Hona Chahye. Snacks, Nimco, Balkay Lahore Aur Karachi Say To Tin-Packed Food Bhi Mil Jata. Mumkin Ho To Apnay Sath Lay Jaen.
  10. Bahter Hay Janay Say Pehlay Kisi Hotel Ki Booking Kara Lain. Aisi Websites Available Hain.
  11. Shadeed Sardi Main Gari Main Fresh Air Kay liye air conditioning mechanism Ko chalu Rakhain, Ya Koi Window Thori Si Khuli Rakhain.

Jo Tourist Na Hon, Un Kay Liay

Winter Tourism
(Photo: Reuters)

Kuch Hidayat Un Afrad Kay Liye Bhi, Jo Tourist Nahi Hain Ya Baraf Bari Nahi Dekhnay Ja Rahay.

  1. Aisay Log Baraf Bari Ya Land Sliding Ka Shikar Hotay Hain Woh Social Media Par Bhi Appeal Daal Daitay Hain. Koshish Karain Un Ki Appeal Related Idaaray Ko Forward Karain.
  2. NDMA, PDMA, Met Office, Muree, Swat, Naran KI Muqami Intazamia KI Taraf Say Koi Bhi Message Ho To Usay Share Karain.
  3. Kisi Bhi Information Ko Share Karnay Say Pehlay 10 Baar Check Karain, Kay Wo Fake News To Nahi. Aisi Kisi Pic, Video Ya Information Ko Bilkul Share Mat Karain.

Muqami Intazamia Kay Liye Hidayaat:

Winter Tourism
Winter Tourism Par Jana Hay? Pehlay Ye Parhain 1

NDMA Nay Muqami Intazamia Aur Hotels Kay Liye Bhi Hidayaat Jari Ki Hain. Takay Ab Murree Jaisa Koi Disaster Dubara Naa Ho.

  1. District Disaster Management Authorities (DDMA) Shehri Intazamia Kay Sath Mil Kar Tamam Idaron Kay dermain Coordination Ko Behtar Banaye Aur Berwaqt Reporting Ko Yaqeeni Banaye, Especially Jahan Baraf Bari Ya Land sliding Ho.
  2. Local Communities Jaisay NGOs, Trade Unions Kay Sath 24 Ghantay Rabtay Main Rahain, Takay Kaheen Kisi Bhi Maslay Par Barwaqt action Ho Sakay.
  3. Apnay Ilaqay Kay Hawalay Say Awareness Campaign Chalayen, Jis Ko Social Media Par Bhi Barwaqt Update Kartay Rahain.
  4. Baraf Ki Safai Aur Road Clearance Ka Aik Mukammal Plan Banayen, Aur Is Ko Madd-e-Nazar Rakhtay Hovey National Highway Authority (NHA) Aur Dusray Affiliated Departments Say Rabtay Main Rahain. Mosam Kay Lihaz Say Apni Machinery Ki Requirement Barwaqt Bataen.
  5. Field Main Kaam Karnay Walay Staff Say Rabta Rakhain. Higher Authorities Ko Apni Additional Demands Batanay Kay liye Tahseel Level Par Centralized Emergency Control Rooms Banayen.
  6. Tourists Aur Travelers Kay Liye Facilitation Center Qaim Kiye Jain. In Kay Number Social Media Par Bhi Share Karain, Takay Awam Ki Har Mumkin Rahnumai Ho Sakay.
  7. Muqami Hotel Aur Transport Associations Kay Sath Rabtay Main Rahain. Aur Kisi Bhi Ghair Yaqeeni Sorat-e-Haal Ko Barwaqt Public Karain.
  8. Local Aur National Level Par Social Media, Electronic Media Aur Print Media Kay Sath Close Coordination Rakhain Takay Information Barwaqt Awam Tak Puhanch Sakay.
شیئر

جواب لکھیں