Shark Fin Soup Ka Aik Bowl $100 Ka Hota Hay. Aur Ab Is Mehngay Soup Ko Pasand Karnay Walay Aik Mushkil Main Par Gaey Hain. Hua Ye Hay Ke Panama Main Global Wildlife Summit Main Shark Ki 2 Qismain Endangered Species Ki List Main Shamil Ki Ja Rahi Hain. Voting Ho Chuki Hai Aur Final Decision 25 November Ko Hoga.

Agar In Kay Shikar Par Ban Laga To Shark Fin Soup Peenay Walay Phans Jaen Gay. China, Taiwan, Malaysia, Thailand Aur Southeast Asia Main Ye Soup Buhat Pasand Kiya Jata Hay. Shadiyon Main Ye Soup Status Symbol Samjha Jata Hay.

Aur Ye Ab Nahi Balkay Buhat Arsay Say Hota Aaya Hay. Ming Dynasty Ki Hukumat Kay Zamanay Say Chinese Emperors Kay Dastarkhwan Per Ye Soup Hamesha Paish Kiya Jata Raha Hay. Laikin Is Kay Zaiqay Say Ziada, Is Ki Qemat Hairat Angaiz Hai.

Shark Fin Ki Importance

One Pound Shark Fin Global Market Main $450 Main Milta Hay. Last 20 Years Main Is Soup Ki Shuhrat Aur Barh Gai Hay. Khud Samajh Jaen, Social Media Par Khud Ko Ameer Zahir Karna Jo Aasan Ho Gaya Hay. Laikin Aisi Harkaton Ki Waja Say Sharks Ki Abadi Ko Khatra Lahaq Ho Gaya Hay.

Raftar Bharne Do

Ye Fins Hasil Karnay Kay Liye Her Mulk Main Commercial Fishing Fleets Say Shark Ka Shikar Kia Jata Hay. Shark Ko Pakar Ker Sirf Is Kay Fin Ko Alag Kerliya Jata Hay, Aur Baqi Shark Ko Phaink Diya Jata Hay. Is Amal Ko Finning Kehtay Hain.

Is Pooray Process Kay Doran Sharks Zinda Hoti Hain. Laikin Fin Kai Baghair Koi Shark Kuch Nahi Kar Sakti, Na Swim Kar Sakti Hay Aur Na Hi Float Hoti Hay. Shark Ki Kuch Qismain To Fin Kay Bina Saans Bhi Lainay Kay Qabil Bhi Nahi Rehtein. Yeh Fins Dobara Grow Bhi Nahi Hotay.

Shark Khatray Ka Shikar

Shark Ki Jin Qismon Kay Fins Kay Shikar Per Pabandi Lagai Ja Rahi Hay, Un Main Requiem Aur Hammerhead Sharks Shamil Hay.

Raftar Bharne Do
Requiem Shark

Requiem Shark Family Main Tiger shark, Silky shark Aur Grey Reef Shark Shamil Hai. Wildlife Conservation Society Nay Bataya Hay Kay 70% Requiem Sharks Fin Trade Ki Nazar Ho Jati Hain. Yeh Bhi Kaha Gaya Kay Fin Trading Ki Waja Say Shark Mukammal Khatmay Kay Crisis Ka Samna Kar Rahi Hay.

Shark Is Waqt Dunya Main Vertebrate Group Main Doosray Number Per Hai Jis Ki Nasal Ko Khatra Hay.

Raftar Bharne Do
Great hammerhead shark

Shark Fins Ki Annual Market 500 Million $ Hay. Soup Main Istemal Honay Kay Liye, East Asia Main One Kilogram Fin Ki Qeemat $1000 Hay. 

Finning Per Pabandi

Recent Years Main Finning Per Buhat Say Mulkon Nay Pabandi Lagai Hay.

America Main 2000 Main Us Waqt Kay President Bill Clinton Nay Shark Finning Prohibition Act Per Sign Kiye Thay. Is Act Kay Mutabiq, America Ki Samanderi Hudood Main Kisi Bhi Trawler Per Finning Karnay Ki Ijazat Nahi. International Waters Main Kisi Bhi American Vessels Per Fins Rakhnay Ki Ijazat Nahi Hogi.

Is Kay Ilawa, Kisi Bhi Vessel Kay US Port Per Shark Fins Kay Sath Land Kernay Ki Ijazat Bhi Nahi. Haan! Sirf Is Surat Main Kay Jahaz Per Shark Fins Ka Weight, Is Par Maujoud Sharks Ki Baqiyat Say 5% Ziada Na Ho.

1970 Say Ab Tak Shark Ki 18 Qismon Main 71% Kami Aai Hay. Agar Shark Kay Shikar Per Pabandi Na Lagai Gai, To Woh Waqt Door Nahi Jab Shark Ka Qissa Sirf Kitabon Main Hi Milay Ga.

شیئر

جواب لکھیں