Jab Bhi Hum Dangerous Animals Ki Baat Kartay Hain Tou Hamaray Zehn Main Khoonkhwar Qisam Ke Janwaron Maslan Sher, Cheetay, Bheriye, Sharks Waghera Ka Khayal Aata Hay. Jabkay Reality Is Se Different Hay, Danger Honay Ke Liye Size Aur Strength Itna Matter Nahi Kartay.

Shark Ko Aat Tor Per Bohat Deadly Perceive Kiya Jata Hay, Lekin Wo To Human Deaths Ke Lehaz Se Top 10 Main Jaga Bhi Nahi Bana Sakti. Shark Annually Sirf 6 Human Deaths Ka Cause Banti Hay Aur Lions Sirf 22 Logon Ki Zindagi Ka Khatam Kartay Hain.

Dusri Taraf Deadliest Animals Aksar Chhotay Hotay Hain Aur Wo Apni Strength Se Nahi Balkay Diseases Aur Toxins Se Humans Deaths Ka Reason Bantay Hain.

10. Hippopotamus

500 Deaths Per Year
Raftar Bharne Do

Jab Afirca Ke Jungle Ka Zikar Ho Tou Lagta Hay Ke Sher Wahan Ka Most Dangerous Janwar Ho Ga. Jabkay Facts Ke Mutabiq Hippo Zyada Logon Ko Nishana Banatay Hain.

Annually 500 Human Deaths Ke Sath (Lions 22 Human Deaths Per Annum) Hippos Khatarnak Land Mammal Hain. Average 1500 Kg Weight Wala Ye Janwar Bohat Aggressive Hota Hay. Ye Boat Per Hamla Kar Ke Usay Dubo Deta Hay Aur Phir Us Main Sawar Insan Ya Tou Doob Jatay Hain Ya Hippo Ke Tez Danto Ka Shikar Ban Jata Hay.

9. Elephants

500 Deaths Per Year
Raftar Bharne Do
African Elephant © Manoj Shah/Getty

Hum Usually Elephants Ko Sharif Aur Human Friendly Animal Samajhtay Hain Magar Ye Bhi Kabhi Kabhi Dangerous Sabit Hotay Hain. Apnay Sheer Size Aur Weight Ke Lihaz Se Ye Largest Living Land Animal Hay.

Farmlands Ki Encroachment Aur Habitat Loss Ki Wajah Se Ab Elephants Aur Humans Ka Contact Zyada Honay Laga Hay. Elephants Ke Groups Farms Aur Villages Per Attack Kartay Hain Aur Rastay Main Aanay Walay Har Insan Ko Kuchal Detay Hain. Elephant Ka Aik Blow Bhi Insan Ko Marnay Ke Liye Kafi Hota Hay.

8. Saltwater Crocodile

1,000 Deaths Per Year
Raftar Bharne Do
Saltwater Crocodile © ePhotocorp/Getty

Crocodile Bhi Pani Main Rehnay Wala Aisa Janwar Hay Jis Ka Samna Insanon Ke Liye Acha Nahi Hota. Crocodiles Collectively Har Sall 1,000 Afrad Ko Maut Ke Munh Main Pohncha Detay Hain. Sab Crocodile Humans Ko Hunt Nahi Kartay  Lekin Sal Water Crocodile Be Raham Hotay Hain. Ye Khatarnak Aur Tezraftar Janwar Largest Living Reptile Hay. Male Crocodile 6 Meter Tak Lamba Aur 1300 Kg Wazni Tak Ho Sakta Hay.

7. Ascaris Roundworms

2,500 Deaths Per Year
Raftar Bharne Do
Ascaris lumbricoides. © Sinhyu/Getty

Ye Deadly Animal Aik Parasite Hay, Yani Aisa Janwar Jo Dusray Janwar Ke Opper Ya Andar Rehta Hay Aur Usko Nuqsan Pohnchata Hay. Ascaris Roundworms Us Waqt Human Main Transmit Hotay Hain Jab Koi Accidently In Ke Eggs Ingest Kar Lay. Aisa Aam Tor Per Us Time Hota Hay Jab Koi Food Ya Drink Human Feces Se Contaminated Ho.

Ye Worm Small Intestine Main Rehtay Hain Aur Waheen Grow Aur Reproduce Kartay Hain. In Se Honay Wali Disease Ascariasis Kehlati Hay. Is Main Fever, Abdominal Pain, Swelling Aur Shortness Of Breath Hoti Hay.

6. Scorpions

2,600 Deaths Per Year
Raftar Bharne Do
Indian Red Scorpion © ePhotocorp/Getty

Scorpions Ya Bichhu Humans Ko Kill Karnay Ke Liye Nahi Bulkay Apay Prey Ko Subdue Ya Kill Karnay Ke Liye Produce Kartay Hain. Lekin Scorpion Ki 25 Species Ka Venom Human Ke Liye Bhi Deadly Hota Hay.

Scorpions Humans Ko Zyada Tar Us Waqt Sting Kartay Hain Jab Koi Bare Foot Ho Aur Us Per Paaun Rakh De. Ya Agar Ye Kisi Ke Shoe Main Chhupay Huye Hon. Scorpion Apnay Sting Ko Attack Ke Bajaye Defence Ke Liye Use Kartay Hain.

Dunya Main Sab Se Khatarnak Bichhu Indian Redscorpion (Hottentotta Tamulus) Ko Samjha Jata Hay.

5. Assassin Bugs

10,000 Deaths Per Year
Raftar Bharne Do
Assasin Bug © Vini Souza/Getty

Assassin Bug Is Naam Se Is Liye Jana Jata Hay Kiun Ke Ye Apnay Bite Ke Zariye Disease Aur Death Spread Karta Hay. Central Aursouth American ‘True Bug’ Ki Kuch Species Chagas Disease Phelati Hain Jin Se Yearly 10,000 Human Deaths Hoti Hain.

4. Snakes

138,000 Deaths Per Year
Raftar Bharne Do
Saw-Scaled Pit Viper © Lensalot/Getty

Saanp Ki Zyada Types Venomous Nahi Hoteen, Phir Bhi Ye Deadly Animals Ki Top 5 Main Shamil Hain. Ye Dunya Ke Har Part Main Paye Jatay Hain. Sab Se Dangerous Saanp Saw-Scaled Viper Ko Qarar Diya Jata Hay, Jo Bohat Aggressive Hota Hay.

3. Freshwater Snails

200,000 Deaths Per Year
Raftar Bharne Do
Planorbarius Snails ©Getty

Freshwater Snails Main Aik Deadly Parasitic Flatworms  Flukes Hotay Hain. Flukes Ki 24,000 Se Zyada Species Hain. In Main Se Aik Schistosoma Bhi Hay Jo Bohat Dangerous Hotay Hain.

Snails Ye Flukes Pani Main Release Kartay Hain, Contaminated Water Se Ye Human Body Main Penetrate Kar Jatay Hain Aur Chistosomiasis Naami Disease Ya Snail Fever Ka Reason Bantay Hain. Who Ke Mutabiq Is Beemari Se Har Sall 200,000 Se Zyada Log Maut Ki Neend So Jatay Hain.

2. Mosquitos

725,000 – 1,000,000 Deaths Per Year
Raftar Bharne Do
Orient mosquito © Smith Collection/Gado/Getty

Mosquito Aik Small Animal Ke Big Impact Ki Ultimate Example Hay. Ye Humans Ko Directly Kill Nahi Kartay Bulkay Ye Mukhtalif Diseases Ke ‘Vector’ Ya Carrier Hotay Hain. Ye Jab Humans Ko Bite Kartay Hain Tou Infectious Pathogens, Bacteria, Viruses, Aur Parasites Transmit Kartay Hain. Is Ke Natijay Mian Malaria Aur Dengue Jesi Diseases Phelti Hain. Sab Se Zyada Deaths Malaria Se Hoti Hain. Ye Disease Itni Widespread Aur Lethal Hay Ke Is Ka Impact Na Sirf Human History Bulkay Hamari Evolution Per Bhi Para Hay. Isi Liye Kuch Lists Mian Mosquitos Ko Most Dangerous Qarar Diya Jata Hay.

1. Humans

1,000,000+ Deaths Per Year
Most Dangerous Animals
Soldiers Marching © Frank Rossoto Stocktrek/Getty

Surprised Ho Gaye? Wese Tou Ye Cliché Ban Chukka Hay Magar Reality Yehi Hay Ke Dunya Kay ‘Most Dangerous’ Ya ‘Most Deadly’ Animal Insan Hi Hay. Known History Ke 10,000 Saal Se Insan Insan Ko Qatal Kartay Chalay Aaye Hain. Sirf Wars Main Humans Ne 150 Million Se 1 Billion Tak Humans Ko Kill Kiya Hay. Homicides Mian Annually 450,000 Insanon Ko Maut Ke Ghaat Utar Diya Jata Hay. World War I aur World War II Ki Causalities 100 Million se Zyada Theen. Yani Wars Mila Kar Annually 1,000,000 Sy Zyada Insan Dusray Insano Ke Haathon Maray Jatay Hain.

Dunya Ke Dusray Animals Apnay Zyada Tar Apnay Defense Main Humans Ko Kill Kartay Hain Magar Insan Apnay Faiday Ke Liye Bhi Begunah Ka Khoon Baha Deta Hay. Aur Is Maqsad Ke Liye Deadliest Weapon Bhi Ijad Karta Ja Raha Hay. Gun Violence Hon Ya Terrorist Attacks, Insan Ki Senseless Enseless Brutality Ko Prove Kartay Hain.

Insan Na Sirf Apnay Liye Bulkay Dusre Animals Ke Liye Bhi Dangerous Hain. Climate Change Ko Hi Le Lain, Ye Bhi Insano Ki Activates Ka Destructive Impact Hay. Climate Change Se Bhi Yearly 150,000 Afrad Ki Zindagi Ka Khatam Ho Jata Hay.

WHO Ka Estimate Hay Ke 2030 Se 2050 Ke Dauran Climate Change Ki Wajah Se Honay Wali Malnutrition Aur Diseases Se Yearly 250,000 Additional Deaths Hon Gi.

شیئر

جواب لکھیں