2022 Ka Saal Bhi Ending Per Hay. Ye Saal Dunya Bhar Ke Liye Khasa Jungama Jhez Raha. Is Saal Covid-19 Ka Zor Kam Raha Tou Dunya Bhar Main Mehngai Kisi Waba Ki Tarah Pheli. Aik Taraf Russia Ukraine War Se World Peace Mtasir Hua Tou Dusri Taraf World Population Ne 8 Billion Ka Milestone Paar Kiya.
Aaiye Dekhtay Hain Is Saal Dunya Bhar Main Kaun Kans Se Major Events Headlines Main Rahay.
5 Super Powers Ka Rare Statement
4 January: United Nations Security Council Ke 5 Permanent Members America, China, Russia, Uk Aur France Ne Aik Rare Statement Issue Kiya, Jis Main Kaha Gaya Ke “ Aik Nuclear War Jeeti Nahi Ja Sakti, Is Liye Kabhi Lari Nahi Jani Chahiye.”
Insan Ko Pig Ka Dil Lagaya Gaya
10 January: America Ke City Baltimore Main Dunya Main Pehli Baar Aik Pig Ka Dil Insan Ko Successfully Transplant Kiya Gaya. Lekin Patient 2 Mahinay Hi Zinda Reh Saka Aur 9 March Ko Inteqal Kar Gaya.
Russia Ukraine War Ka Aagahaz
24 February: Russia Ne Ukraine Per Invasion Kiya Jo Ab Tak Jari Hay.
Covid-19 Ke War Jari
7 March: Covid-19 Se Dunya Bhar Main Deth Toll 6 Million Ho Gaya. 13 Apri 2022 Ko Covid-19 Ke Confirmed Cases Ki Tadad 500 Million Se Zyada Ho Gayi.
Sri Lanka Main Economic Crisis
9 May: Sri Lanka Main Economic Crisis Ke Baad Hungamay Shuru Ho Gaye. Logon Ne Presidential Palace Aur Dusre State Offices Main Ghuss Kar Tor Phor Ki. Prime Minister Mahinda Rajapaksa Ko Resign Karna Para. 3 Din Baad Ranil Wickremesinghe Sri Lanka Ke Prime Minister Banay.
Japan Ke Ex Prime Minister Ka Murder
8 July: Japan Ke Ex Prime Minister Shinzo Abe Ko Nara Main Goli Mar Kar Qatal Kar Diya Gaya. Wo Election Campaign Ke Dauran Public Speech De Rahay Thay.
Mpox Global Risk Qarar
23 July: World Health Organization (Who) Ne Monkeypox (Ab Mpox) Outbreak Ko ‘Public Health Emergency Of International Concern’ Declared Kar Diya. Us Waqt Tak 75 Coutries Main 17,000 Cases Report Ho Chukay Thay.
Ayman Al Zawahiri Ki Killing
31 July: Al Qaeda Ke Leader Ayman Al Zawahiri Afghan Capital Kabul Main American Cia Ke Drone Hamlay Main Maray Gaye. Wo 2 May 2011 May Osama Bin Laden Ki Death Ke Baad Se Al Qaeda Ko Lead Kar Rahay Thay.
Queen Elizabeth II Ki Death
8 September: England Ki Queen Elizabeth II 96 Years Ki Age Main Inteqal Kar Gayeen, Un Ke Baad Un Ke Betay Charles III King Banay.
Iran Main Protest
16 September: Iran Ki Morality Police Ki Custody Main 22 Saal Ki Larki Mahsa Amini Ki Death Ke Baad Iran Ke Mukhtalif Shehron Main Protest Honay Lagay. Kai Mahinon Ke Ehtijaj Ki Wajah Se Iran Ko Morality Police Kahatam Karnay Ka Elan Karna Para.
Indonesia Stadium Stampede
1 October: Indonesia Ke Aik Stadium Main Football Match Ke Moqay Per Stampede Main 131 Afrad Maray Gaye Aur 500 Se Zyada Zakhmi Huye.
UK Ka First Brown PM
25 October: Rishi Sunak Uk Ke Prime Minister Banay. Wo Ye Position Hasil Karnay Walay Pehlay Brown Person Banay.
Musk Ne Twitter Ka Control Sanbhal Liya
28 October: Elon Musk Ne Twitter Ka Control Sanbhal Liya. Unhon Ne Ye Deal Ko $44 Billion Main Ki Thi.
South Korea Crowd Crush
28 October: South Korea Main Halloween Festivities Ke Dauran Crowd Crush Main 158 Afrad Maray Gaye, 200 Se Zyada Zakhmi Huye.
World Population Ka Naya Milestone
1 November: United Nations Ke Mutabiq Dunya Ki Abadi 8 Billion Ho Gai. Prediction Ki Ja Rahi Hay Ke 2100 Tak World Population 10 Billion Ho Jaye Gi.
China Main Protest
7 December: China Main Zero-Covid Policy Ke Khilaf Baray Paimanay Per Protests Ke Baad Chinese Government Ne Restrictions Ease Kar Deen.
Energy Crisis Ka Problem Solve?
13 December: United States Department Of Energy Ne Announce Kiya Ke Fusion Power Energy Production Main Major Breakthrough Hua Hay. Researchers Ne Aisa Reaction Produce Kiya Jis Main Net Energy Gain Hua.