Middle Class Se Classic Success Ki Story
1890 Main Us Ne Aik Chhotay Se Gaaun Ke Aik Middle Class Gharanay Main Aankh Kholi. Wo 3 Behn Bhaion Main Sab Se Bara Tha. Wo 5 Saal Ka Tha Ke Walid Ka Inteqal Ho Gaya Aur Problems Ne Un Ke Ghar Ka Rasta Dekh Liya. Us Ki Walida Ne Ghar Chalany Ke Liye Factory Main Kaam Shuru Kar Diya. Wo School Se Aa Kar Chotay Bhai Aur Behn Ka Khayal Rakhta Aur Un Ke Liye Khana Bhi Pakata. 9 Saal Ki Umar Main Us Ne Ne Gosht Pakana Bhi Seekh Liya Tha.
12 Saal Ki Umar Main Jab Wo 7th Grade Main Tha, Us Ne School Chhor Diya Aur Aik Farm Per Kaam Karnay Laga. Step Father Se Relations Acha Na Honay Ki Wajah Se Aglay Saal Us Ne Ghar Bhi Chhora Aur Qareebi Town Main Mehnat Mazdoori Shuru Kar Di.
16 Saal Ka Tha Us Ne Apni Umar Zyada Likhwa Kar Fauj Main Naukri Hasil Kar Li. Aik Saal Mahaz Per Rehnay Ke Baad Wapas Aaya Aur Dobara Rozgar Ki Jang Larnay Laga. Us Ne 2 Mukhtalif Railway Lines Main Ashboy, Laborer, Firemain Ki Job Ki, Ghussay Aur Larai Jhagray Ki Wajah Se Job Se Nikal Diya Gaya.
19 Saal Ki Umar Main Us Ne Shadi Kar Li Thi. Dobara Taleem Hasil Karnay Ka Shauq Jaaga Tou Us Ne Correspondence Course Ke Zariye Law Parhna Shuru Kar Diya Aur Phir Aik Chhotay Shehr Ja Kar Wakeel Ke Tor Per Practice Karnay Laga. Kaam Chal Para Magar Aik Baar Court Room Main Client Se Jhagra Ho Gaya Jis Se Wo Badnam Hua Aur Us Ka Career Khatam Ho Gaya.
Wo Apni Family Ko Le Kar Walida Ke Gaaun Gaya Aur Dobara Mazdoori Shuru Ki. 1916 Main Us Insurance Agent Ban Gaya. Wo Apni Baar Baar Ki Nakamion Se Pareshan Tha. Us Ne Apna Behaviour Badalnay Ki Koshish Ki, Ghussay Per Qabu Pana Start Kiya.
Kamyabi KI Manzil Ka Kathin Safar
Naukri Se Kuch Paisay Jama Huye Tou 1920 Main 30 Saal Ki Umar Main Us Ne Ferry Boat Service Shuru Ki. Us Main Success Hui To Us Ne Ye Business $22,000 Main Bech Kar Acetylene Lamps Manufacturing Ki Company Kholi. Aik Aur Company Ke Electric Lamp Aanay Se Us Ka Business Beth Gaya.
1924 Main Us Ne Aik Oil Company Ki Franchise Li Aur Service Station Khola Magar 1930 Main US Main Aanay Walay Major Depression Ki Wajah Se Wo Service Station Band Ho Gaya. Us Ne Dusri Company Se Contract Kiya Aur Uska Service Station Chalanay Laga. Is Moqay Per Wo Apni Cooking Skills Ko Kaam Main Laya Aur Customers Ko Chicken Dishes Serve Karni Shuru Kar Deen.
Qareebi Service Station Walay Ne Road Per Apne Service Station Ki Taraf Direct Karnay Wala Board Lagaya Tou Us Ka Jhagra Ho Gaya. Competitor Ne Us Per Firing Ki Jo Khushqismati Se Usay Nahi Lagi Magar Service Station Ka Aik Employee Mara Gaya.
1939 Main Us Ka Motel Aur Restaurant Aag Lagnay Se Destroy Ho Gaya Magar Us Ne Himmat Nahi Hari Aur Baray Restaurant Ke Saath Naya Motel Khola. World War II Main America Ke Shamil Honay Ki Wajah Se Ye Business Close Ho Gaya Ur Us Ne Phir Idhar Udhar Jobs Shuru Kar Deen. Is Dauran Us Ne Chicken Ki Aik “Secret Recipe” Tayyar Kar Li Thi.
World War II Ke Baad Us Ne Apni Recipe Mukhtalif Restaurants Ko Franchise Per Dene Ki Koshish Ki Lekin Usay 1009 Baar Reject Kar Diya Gaya. 1952 Main, 62 Years Ki Age Main Pehli Baar Aik Restaurant Ne Us Ki Recipe Ko Accept Kiya Aur “Kentucky Fried Chicken” Jald Hi Logon Main Maqbool Honay Lagi.
Jee Haan Aap Durust Samjahy, Ye Kahani “KFC” Ke Founder Colonel Harland Sanders Ki Hay.
Lekin Ye Tou Initial Success Thi, Colonel Harald Sanders Ki Mushkilat Abhi Khatam Nahi Hui Theen. 1955 Main Kentucky Main Motorway Bannay Se Un Ke Apnay Restaurant Ka Dhanda Thap Ho Gaya. Unhon Ne Usay Becha Aur Shehr Shehr Ja Kar Apni Recipe Ko Franchise Per Dene Ki Dobara Koshish Shuru Kar Di. Wo Restaurant Main Khud Chicken Pakanay Ki Peshkash Kartay Aur Costumers Ko Pasanad Aanay Per Franchise Offer Kartay. Is Dauaran Wo Akasr Safar Main Rehtay Aur Apni Car Ki Back Seat Per Sotay Thay. 1959 Main Unhon Ne Shelbyville Main Naya Restaurant Aur Company Kholi.
Colonel Sanders Ki Legacy
Jald Colonel Sanders Ki Recipe Ki Shohrat Door Door Tak Phelnay Lagi Aur Restaurant Malik Khud Chal Kar Un Ke Paas Aanay Lagay. KFC Un Fast Food Chains Main Se Ban Gai Jo America Ke Elawa Dusray Mulkon Main Bhi Theen. 1962 Main Unhon Ne Apni “Pressure Fried Chicken” Recipe Ka Patent Hasil Kar Liya. 1963 Main Unhon Ne Apni Phrase "It's Finger Lickin' Good" Ko Trade Mark Bhi Karwa Liya.
1964 Main 74 Years Ki Age Main Unhon Ne Company $2 Million (Aaj Ke Almost $20 Million) Main Bech Di. Us Waqt Tak Company Ki 600 Se Zyada Franchises Ho Chuki Theen. Wo Baad Main Company Ke Brand Ambassador Rahay. 1980 Main Unka 90 Years Ki Age Main Inteqal Ho Gaya Magar Aaj Bhi Wo KFC Ki Branding Ka Central Part Hain. Logo Per Aaj Bhi Un Ka Chehra Nazar Aata Hay. Unki Goatee, White Woolen Suit Aur Western String Tie Dunya Bhar Main KFC Ki Pehchan Hain.
Colonel Harland Sanders Ki Life Story Main Un Naujawano Ke Liye Bara Lesson Hay Jo Rejection Se Mayoos Ho Jatay Hain. Failure Ya Failure Ke Dar Se Koi Business Shuru Hi Nahi Kartay Ya Usay Adhura Chhor Detay Hain. Agar Colonel Sanders Bhi Mayoos Ho Kar Give Up Kar Detay Tou Aaj Dunya Mian Lakhon Log Rozana KFC Ke Delicious Fired Chicken Kha Kar Ye Na Keh Saktay Ke "It's Finger Lickin' Good".